Qayamat ki Nishaniyan Series: Part-12
72. Isa Alaihi Salam ka Nuzool
1 Nuzool Isa Alaihe Salam Quran majeed ki roshni me
۞ Hadees: Irshad Bari Ta’ala hai: “Wo (Isa A.S) bhi sirf banda hi hai jis par hum ne Ahsan kiya aur isey Bani Israel ke liye nishaani banaya. agar hum chahtey tou tumhare jaga farishton ko zameen ka janasheen kar detey aur yaqeenan wo (Isa A.S) Qayamat ki nishani hain. tou logo is mein shak na karo.”
۞ Hadees: Raas al mufasireen Abdullah bin Abbas (R.A) mazkora aayat ki tafseer mein farmatey hain: Bilashuba wo Qayamat ki alamat hai. yaani Hazrat Isa Ibne Mariyam A.S Qayamat se pehle zahir hongey.
📕 Masnad Ahmad 329/4
📕 Ibne hibban 228/15
Aur in (yahoodion) ke is qoal ki wajah se ke hum ne Allah ke Rasool maseeh Isa bin Mariyam (A.S) ko qatal kar dia (Allah ne in ko maloon kar dia). halankey naa tou Unho ne isey qatal kia na sooli charhaya balkey in ke liye waisi soorat bana di gayi thi.
❝Bilashuba Isa A.S ke mutaliq ikhtalaf kerne waley shak o shubha mein hai inhe takhmeeni baton ke siwa koi yaqeeni ilm nahi aur yeh yaqeeni (baat) hai ke unho ne isey qatal nahi kia balkey Allah Ta’ala ne inhe apni taraf utha lia hai aur Allah Ta’ala bada zabardast aur puri hikmaton wala hai. Ahle kitab mein se koi bhi aisa nahi bachega jo Hazrat Isa A.S ki wafaat se pehle un par iman leaye aur wo roz e Qayamat un par gawah hongey.❞
2 Nuzool Maseeh Alaihe Salam Aahadees ki roshni me
۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya: Qayamat qayem nahi hogi hatta ke tumhare darmayan Hazrat Isa bin Maryam A.S hakim aur adil ban kar nazil hongy. wo saleeb ko tor dalien gy, khanzeer ko qatal karenge, jiziye (aur jang) ka khatma karenge aur phir maal bakasrat hoga hatta ke isey qabool kerne wala koi nahi hoga.
📕 Sahih Bukhari; Kitab ul Muzalim 2476
۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne irshad farmaya: “Tumhare naseeb kaisey (acchey) hongey jab tumhare darmayan Isa bin Maryam A.S nazil hongey aur tumhara imam (is waqt) khud tum mein se hoga. (yaani Imam Mahdi R.h).”
📕 Sahih Bukhari; Kitab ahadees Al Ambiya 3449
۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qasam hai is zaat ki jis ke hath mein meri jaan hey, zaroor utrien gy tum mein ibne maryam a.s hakim adil ban kar phir wo saleeb torien gy, khanzeer ko qatal karenge, jaziye ko mokoof kar denge phir maal o dolat ki kasrat hogi hatta ke isey koi lene wala nahi hoga aur (halat yeh hogi k) ek sajda kar lena dunia aur dunia ki tamam cheezon se behter hoga phir Hazrat Abu Huraira (R.A) ne farmaya ke agar chaho tu yeh ayat perh kar dekh lo.”
“Aur Ahle Kitab mein se koi bhi aisa nahi bachega jo Hazrat Isa A.S. ki maut se pehle in per iman na laye.”
📕 Sahih Bukhari; Kitab Aahadees al Ambiya 3448
3 Sifat o muqaam e Nazool e Isa Alaihe Salam
۞ Hadees: Hazrat Nawas bin sam’aan (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“phir Allah Ta’ala Hazrat (Isa) maseeh ibne maryam a.s ko bejh denge aur wo demishq ke mashraqi hisse mein safaid minar ke pas zard rang ke 2 kapron mein malboos 2 frishton ke bazoon per apne hath rakhe huwe utrenge. jab wo sir jhukayen gy tu aisa mehsoos hoga ke qatrey tapak rahe hai aur jab sir uthayen gy tu moti ki tarah qatre dhalkte nazar ayen gy. in ki sans ki hawa jis kafir tak pohanchayenge wo zinda na bachega jab ke in ki sans had nigah tak pohanchenge phir Ibne Mariyam a.sdajjal ka pecha karenge aur ludd ke darwaze par isey ja pakarenge aur qatal kar daliegey.”
📕 Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2937
4 Waqt Nazool Isa Alaihe Salam
۞ Hadees: Hazrat jabar bin Abdullah se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Meri ummat se ek giroh Qayamat tak haq per ghalib reh kar larta rahega phir Isa A.S nazil honge tou in (Musalmano) ka Ameer (Mahdi R.H) kahega ke Aaye Namaz padhaye. Wo (Isa A.S) inkar karenge aur kahenge ke ameer tum mein se hi hoga. yeh Allah Ta’ala ki is ummat par nawazish hai.”
📕 Sahih Muslim; Kitab ul Iman 395
۞ Hadees: Hazrat Usman (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Isa Ibne Maryam A.S fajar ke waqt utrenge tou musalmano ka ameer kahega: Aye Roohullah! Aaye Namaz padhaye tou Isa A.S kahenge is ummat ke afrad hi ek dusre par ameer hai phir in ka ameer (Imam Mahdi R.h) imamat karayenge.”
📕 Masnad Ahmad 295/4
📕 Hakim; Kitab ul Fitan 524/4
📕 Ibne Abi Shaiba 650/8
Ek riwayat mein hai ke “jab wo (Hazrat Isa A.S) subah ki Namaz ada kar lengey tou dajjal ki taraf niklenge.”
📕 Masnad Ahmad 466/3
📕 Majma al Zawaid 659/7
5 Alamaat e Isa Alaihi Salam
۞ Hadees: Hazrat Abdullah bin umer (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Main soya huwa (khuwab mein) Kabbah ka tawaf kar raha tha ke ek sahib jo gandam goon they aur in ke sir ke baal seedhey they ke goya in se pani tapak raha hai (par meri nazar padi tou) maine pucha ke yeh koun hain? logon ne kaha: yeh Isa ibne Maryam Alaihe Salam hain.”
📕 Sahih Bukhari; Kitab ul Fitan 7168
۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Mere aur in (Isa A.S) ke darmayan koi Nabi nahi aur beshak wo nazil hone waley hai lihaza jab tum inhe dekho tu pehchan kar lena ke wo ek mayana qad aadmi hain, rang mayel surkhi o safaid hai, zard rang ke 2 kapdey pehne honge, sir ke baal aisey hai ke goya in se paani tapak raha hai halankey wo bheege huwe na hongy, wo deen islam per logon se jung karenge, Allah Ta’ala in ke zamane mein islam ke siwa tamaam adyaan ka khatma farma denge aur wo maseeh dajjal ko qatal karenge phir zameen per her taraf aman o amaan ka dor dora hoga.”
📕 Masnad Ahmad 535/6
📕 Abu Dawood 4324
📕 Abdul Razaq 401/11
6 Hazrat Isa Alaihi Salam Deen-e-Islam ghalib kar denge
۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne irshad farmaya:
“phir wo (Isa A.S) saleeb todenge, khanzeer ko qatal karenge, jaziya khatam kar denge (yani islam ya jang) tamaam adyaan mo’atal kar denge hatta ke Allah Ta’ala islam ke siwa tamaam millaton ka qala qama farma dengey.”
📕 Masnad Ahmad 535/2
📕 Sunan Abu Dawood 4324
📕 Abdul Razaq 401/11
7 Hazrat Isa Alaihe Salam Hajj aur Umrah karenge
۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“is zaat ki qasam! jis ke hath mein meri jaan hai Hazrat Isa A.S rooha ki ghati se hajj ya umrah ya dono ke liye talbiya pukarenge.”
📕 Sahih Muslim; Kitab ul Hajj 1275
8 Isa Alaihi Salam ke Naam RasoolAllah (ﷺ) ka Paigam
۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Muje Umeed hai ke agar meri umer lambi huyi tou mein Isa ibne Maryam A.S se mulaqat karoonga aur agar mujhe maut ne aa liya tou tum mein se jo shakhs in se mulaqat karey wo meri taraf se inhe salam kahey.”
📕 Majma al Zawaid; Kitab ul Fitan 12/8
📕 Masnad Ahmad 393/2
📕 Musanaf ibne Abi Shayba 654/8
9 Isa Alaihi Salam aur Aman o Amaan
۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Allah Ta’ala in ke dour mein jhootey maseeh dajjal ko halaak karenga aur zameen par aman o amaan qayem ho jayega hatta ke oont aur shair, cheetey aur gayen, bhediye aur bakrian sab ek sath charengey aur bacchey sanp se kheleneg magar koi kisi ko nuqsan nahi pohanchayega.”
۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Isa ibne Maryam A.S hakim aur aadil ban kar nazil hongey, Saleeb ko tod denge, khanzeer ko qatal karenge, sulah louta denge, talwarien darantiaan hongi, har zaher alooda cheez ka zaher khatam ho jayega, aasman apna rizq utarega, zameen apni nabataat ugayenge hatta ke baccha Azdahe se khelega magar wo Azdaha bachey ko nuqsan nahi dega, bhariya bakrion ke sath charega magar inhe nuqsan nahi dega, sher gaaye ke sath charega magar isey nuqsan nahi pohanchayega.”
📕 Masnad Ahmad 638/2
📕 Ibne Majah 4129
📕 Sunan Tirmizi 2233
۞ Hadees: Ek riwayat mein hai ke: jawan ontni ko chor dia jayega magar isey hasil kerne ki koshish nahi ki jayegi, keena, hasad aur bughaz ka khatma ho jaye ga aur maal ki dawat di jayegi magar isey qabool karne wala koi nahi hoga.
📕 Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2940
۞ Hadees: Hazrat Abdullah bin umer (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“phir Allah Ta’ala “Isa ibne Maryam A.S ko naazil farma dega goya ke wo Urwa bin Masood (R.A) (sahabi) hai aur wo dajjal ko talash kar ke halak karenge phir log 7 saal tak zameen par (zinda) rahien gy aur 2 bandon ke darmayan bhi adawat nahi hogi.”
۞ Hadees: Hazrat Nawas bin Sam’aan (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“……. phir Allah ke Nabi Hazrat Isa A.S. aur in ke sathi Allah Ta’ala se dua karenge tou Allah Ta’ala in ki gardano mein keedey paida kar ke inhe aan wahid mein ek nafs ki maut ki tarah halak kar denge phir Allah ke Nabi Hazrat Isa A.S. aur in ke sathi zameen per utrenge magar zameen mein har jagah in ki saraand aur badboo phaili hogi phir.
Hazrat Isa A.S. aur in ke sathi Allah Ta’ala se dua karenge tu Allah Ta’ala bakhti onton ki gardan ke barabar (chiryon jaisay) prinday bejhien gy jo inhe wahan se lay ja phenkenge jahan Allah ka hukam hoga phir Allah Ta’ala barish barsayenge jo har matti aur khaimey waley ghar me pohanchenge aur is ke zariye Allah Ta’ala zameen ko is tarah paak saaf kar denge jis tarah koi houz ya bagh (ya khubsurat aurat) ho phir zameen ko hukam hoga ke apne phal uga, barkatein nikal, is din ek anar puri jamat khaa sakenge aur is ke chilkey se wo saya hasil karenge.
Ek gabhan ontni ki doodh kai jamaton ke liye kafi hoga, hamla gaye ka doodh ek qabeelay ko kifayat kare ga aur bakri ka doodh ek khandan ko kafi hoga, log is haal mein hongy ke achanak Allah Ta’ala ek hawa bejhay ga jo in ki baghlon ke neche se asar kerti hoye guzray ge aur her momin o muslim ko foat kar day ge phir sirf badtareen log baki reh jayen gy jo gadhon ki tarah baham jhagrenge (ya badkarian karenge) aur inhi per Qayamat qayem hoge.
📕 Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2937
📕 Masnad Ahmad 248/4
📕 Sunan Abu Dawood 4321
10. Isa Alaihe Salam kitna arsa zameen per rahenge
۞ Hadees: Hazrat Abdullah bin umer (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya: phir Allah Ta’ala Isa ibne Maryam A.S ko nazil farma denge goya ke wo urwa bin Masood (R.A) (sahabi) hai aur wo dajjal ko dondh kar qatal kren gy phir log 7 saal tak zinda rahien gy hatta ke 2 shakhson ke darmayan b adawat nahi hogi phir Allah Ta’ala shaam ki taraf se ek thandi hawa bejhien gy jo her is admi ki rooh qabaz kar lay ge jis ke dil mein rai barabar bhi khair ya iman hoga aur agar koi shakhs kisi pahaad ki soorang mein bhi ghoos jayega tou yeh hawa wahan pohanch kar is ki rooh qabaz kar legi.”
📕 Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2940
۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaya: ….
“Aur wo (Isa A.S.) 40 saal tak thehreinge.”
📕 Masnad Ahmad 535/2
📕 Abu Dawood; Kitab ul Malahim 432
📕 Abdul Razaq 401/11
11. Hazrat Isa Aaihe Salam ki wafaat aur tajheez o takfeen
۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaya: phir wo (Isa A.S ko zameen par) jitni der Allah Ta’ala ki marzi hogi thehrenge phir faut ho jayenge aur musalman in ki Namaz e janaza ada kar ke inhe dafan kar dengey.
📕 Masnad Ahmad 576/2
📕 Abu Dawood 4324
📕 Silsala al Saheeha 2182
۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne irshad farmaya……….
“phir wo 40 saal tak aqamat karenge aur foat ho jayen gy tu musalman in ki Namaz e janaza ada karenge.”
📕 Masnad Ahmad 535/2
📕 Abu Dawood 4324
📕 Silsala Saheeha 2182
12. Isa A.S ke Baare me kuch Aham Baatein
Note: Nuzool-e-Isa A.S Qayamat ki aakhri chand ek badi badi nishanion mein se hai jis ka waqoo tahaal zahir nahi huwa.
✦ Hazrat Isa A.S. ko rooh ma’a al jism zinda asman per utha lia gaya tha aur Qayamat se pehle isi tarah zinda dobara utaray jayengey.
✦ Hazrat Isa A.S ke nuzool ke waqt tamaam Isai in par iman la kar islam qabool kar lengey aur jo islam qabool nahi karenge wo halakat se dochaar hongey.
✦ Hazrat Isa A.S. jab aasman par uthaye gaye they tou Nabi they lekin Qayamat se pehle Khatim ul Nabeyeen Hazrat Muhammad (ﷺ) ke Ummati aur sahaabi ban kar tashreef layengey, mustaqil Nabi ki hasiyat se nahi.
✦ Hazrat Isa A.S. khurooj e dajjal aur zuhoor e Mehdi R.H ke baad nazil hongey.
✦ Hazrat Isa A.S. kisi Namaz ke waqt utrien gy aur aghlab guman yehi hai ke wo Namaz e fajar hogi.
✦ Hazrat Isa A.S. 2 farishton ke paron par apne baazu rakhey demishq ki mashraqi janib (kisi masjid ki) safaid minar ke paas utrenge.
✦ Hafiz Ibne Kasir R.H farmatey hai ke yeh jamia Ummvi ka Safaid pathron se tayar karda wo minar hai jisey 741 hijri mein Isaion ke maal se tayar karwaya gaya kyon ke unho ne isey shaheed kiya tha. (bataur tawan in se tayar karwaya gaya) aur yeh Hazrat Muhammad (ﷺ) ki naboowat par wazeh daleel hai.
✦ Hazrat Isa A.S Imam Mehdi ki iqtada mein Namaz ada karenge.
✦ Nabi Kareem (ﷺ) ne apni Ummat ki rehnumai ke liye Hazrat Isa A.S. ki kuch alamaat bayan farmai hai jinhe dekh kar har musalman balkey har Isaai bhi in par iman layega, chand ek alamaat yeh hain.
✦ Frishton ke saharey aasman se nuzool karenge.
✦ 2 zard chadron me malboos hongy.
✦ Sir ke balon se qatrey tapaktey maloom hongey halankey wo khushk hongey.
✦ Rang surkh o safaid ke mabeen gundami sa hoga.
✦ Qadd mayana sa hoga.
✦ Dajjal ke 2 tukrey kar ke halaak karenge.
✦ Roo-e-Zameen par aman o amaan aur adal o insaaf jari karenge.
✦ Khanzeer qatal karenge jisey Isaii halal samajhte hain.
✦ Musalman jo pehle jihad kar rahe hongey wo Hazrat Isa A.S ke sath mil kar bhi jihad karenge.
✦ Saleeb tod dalenge yaani Isaiyat ka khatma kar dengey kyonke Nuzool Isa A.S darasal Isai nazriyat ka batlaan hai.
✦ Jahan tak saans jayegi kafir halak ho jayega aur saans wahan tak pohanchegi jahan tak in ki nazar pohanchegi.
✦ Hazrat Isa A.S. ke nuzool ke baad kuffar aur zulm ka yaksar khatma ho jayega. moozi janwar aur insan ek sath chalein phirenge. koi kisi ko nuqsan nahi pohanchaye ga.
✦ Hazrat Isa A.S hajj aur umrah ki sa’adat bhi hasil karenge.
✦ Nabi (ﷺ) ne Hazrat Isa A.S ke naam har is musalman ke zariye salam bejha hai jo in se Sharaf e Mulaqat hasil kare.
✦ Hafiz ibne Kaseer R.H farmatey hai ke: Isa A.S. padaish se lekar maut tak qul 40 saal tak zameen par iqamat karenge jin mein se 33 saal wo guzar kar asman par uthaye ja chukey hai aur baki 7 saal wo qabal az Qayamat nazool ke baad purey karenge.
✦ Isa A.S. nazool e saani ke baad wafaat payenge aur Musalman in ki Namaz e janaza ada kar ke inhe dafan karenge.
✦ Hazrat Abdullah bin salam farmatey hai ke Hazrat Muhammad (ﷺ) aur Hazrat Isa A.S ki tourat mein yeh sifat marqoom hai ke Hazrat Isa A.S Nabi Kareem (ﷺ) (ki qabar) ke sath madfoon hongey. [Sunan Tirmizi 3617]
InshaAllah ! Series ka agla hissa kal Subah 8 baje post kiya jayega