Yeh Duniyawi Ilm bhi Yaad Rakhiye Hissa hai Dini Uloom ka Kyunki Bohot se log Samjhtey hai ke Geography, Physics, Mathematics, Biology, Anatomy aur Digar Jo bhi Subjects hotey hai Yeh Sab Islam se Hatkar hai! Jabki yeh Islam ka Hissa hai yaad rakhiye.
*Kyunki Jab Insan Zameen aur Aasmaan Ka Ilm Haasil Karta Hai Jis’se Uske Rab Ki Marifat Usey Haasil Hoti Hai Tou Yakinan Uska Imaan Aur Pukhta Ho Jata Hai ,..
• Allah Rabbul Izzat Ne Quraan me Baar-Baar Tazkira kyu kiya?
“Ke (Aye Ibne Aadam) Kya Tum Apni Paidaish Ko Nahi Dekhtey?”
* Kya Muraad Hai Yaha Kounsey Ilm Ki Baat ho rahi hai?
Zaahir Si Baat Hai Yaha Paidaish Ka Ilm Yaani Embryology Ki Baat Ho Rahi Hai…
Ke Insani Janiniyat Kaisa Badhta Hai Apni Maa Ke Pait Me?
Tou Rabbul Izzat Apne Bando Se Farma Raha Hai Ke Mere Bando Tum Apne Paidaish Par Gour Nahi Karte? Agar Gour Karoge Tou Yakinan Dobara Uthaye Jaaney Par Jarur Imaan Laaoge…
Isliye Ke Pahli Baar Tou Hum Tumhe Bagair Kisi Cheez Ke Paida Karte Hai, Sirf Paani Hotey Ho, Lekin Baadme Tou Bohot Kuch Hota Hai Uthaney Ke Liye (Roze Qayamat) Me …
# Insan Yahi Sochta Hai Na Ke Kaise Roze Qayamat Hume Uthayega Allah ?
Iska Jawaab Quraan Me Kayi Jagah Hume Batlaya Gaya Hai – Jaise Ek Aayat me Quraan Kehta Hai Ke –
“ Allah Hi Khalqat Ko Pehli Baar Paida Karta Hai Wo Hi Uss Ko Phir Paida Karega Phir Tum Ussi Ki Taraf Laut Jaoge. ”
(Al-Quran; Surah Room 30:11)
* Tou Yaha Bhi Rabbul Izzat Yahi Farmata Hai Ke Dekho Tum Apni Paidaish Ko, Pahli Baar Tou Paani Hotey Ho, Do Paani Ko Milaakar Hum Tum Ko Banatey Hai, Baadme Tou Haddi, Chamda Kya-Kya Nahi Bachta Hai Uthaaney Ke Liye.. Tou Kya Mumkin Nahi Humare Liye Ke Hum Tumhe Wapas Khada Kar Sakey ?
# Aise hi Beshumaar Sawalat Hai Jo Quraan Hume Duniyawi Uloom Par Mutawwajo Karne Ko Ubharta Hai –
* Ke Dekho Aasman se Allah Baarish Kaise Barsaata hai ?
* Kya Dekhtey Nahi Allah Ne Zameen Par Apni Makhlukaat Ko Kaise Faila Rakha Hai ?
* Kya Tumney Dekha Nahi Ke Allah Ne Zameen Me Se Kaise Tumhare Liye Rizq Ata Kiya ?
Kya Ye Saare Sawaal Hume Dawat nahi deti wo tamam Uloom ki taraf jisey Duniyawi Ilm samajh kar Humney chorr diya.
# Lihaja Yaad Rakhiye Ye Dono Ilm Shariyat ka hissa hai !!
✦ Ek Sharayi Ilm Hota Hai, Dusra Kouneni Ilm Hota Hai!
(Religious Knowledge and Universal Knowledge)
1. Ek Shariyat Ka Ilm Jo Quraano Hadees Me Milta Hai ,..
2. Dusra Kaaynat Ka Ilm Jisey Insan Haasil Karke Apne Rab Ki Marifat Haasil Karta Hai, Apne Rab Ke Kareeb Aata Hai, Balki Bohot Se Martba Log Kouneni Ilm (Kaaynat Ko Dekhkar) Apne Haqiki Rab Ki Taraf Aatey Hai ,…
♥ Nabi-e-Kareem ( ﷺ) Nabuwat se Pahle Kounsi Ibadat Karte They ?
Aahadees mMe Aata Hai Ke Jaa Kar Gaare Hira Me Kayi-Kayi Din, Haftey, Mahine Waha Rehte Aap (ﷺ). Gaare Hira Ki Gufa Me Rehte Aur Sirf Zameen aur Aasmaan Ko Dekhte aur Kahtey “Yeh Laat, Yeh Manaat, Ujja Aur Yeh Digar Mabood Jo Patthar Aur Mitti Ke Logone Bana Rakhe Hai! Yeh Rab Nahi Ho Saktey ..”
Itni Badi Kaaynat Jo Chal Rahi Hai Yeh Mabood Jo Itney Chotey-Chotey Hai Aur Itni Naaqis Aur Halki Cheezo Se Baney Hai Yeh Tou Rab Nahi Ho Sakte” Sirf Gour-O-Fiqr Hii Aapki 40 Saal Ki Ibadat Hua Karti Thi.
# Tou Kabhi-Kabaar Yeh Ilm Wajah Banta Hai Logon Ko Haq Ki Taraf Aaney Ki,. aur Aise Kayi Wakiyat Tarikh Me Bhare Padey Hai… Tou Maloom Hua Ke Humey Dono Ilm Haasil Karna Hai …
♥ In sha Allah! Aagey Ke Parts me Hum Dekhenge ke Kaaynat ke Wajud me Aaney ka Ilm Allah Rabbul Izzat ne Kis Tarha Se Quraan Me Bayan Kiya, Aur Aaj Ki Morden Science Ne Kis Tarah Se Iss Theory Ko Tasleem Kiya Jiska Zikr Allah Ne 1400 Saal Pahle hi kar diya.
To Be Continue …