Ilm Ki Ahmiyat: Part-12

Ilm Ki Ahmiyat 12 image

✦ AVERROES (Ibn Rushd):

Jo Log Falsafa(Philosophy) Padhtey hai Wo Jarur Jantey Honge Averroes Ko, Inka Asal Naam “Ibn Rushd” Tha ,Ye Bohot Badey Falsafi (Philosopher) They, aur Tamam Ki Tamam Jitni Bhi Paintings “Leonardo Da Vinci” Ne Banayi Jo Bohot Mash’hur Italiyan Painter Tha! Wo Jarur Apni Paintnings Me Har Jagah (Aksar Paintings Ke) Koney Me Kahi Na Kahi Ibn Rushd Ko Khada (Mention) Karta Hai Ke Yeh Iss Musalman Scientist Ki Deyn Hai Jo Europe Ke Andar Renaissance (Tabdili ) Aayi.

* Aur Europe Ki Tabdili Ka Wakiya Hai Ke – Jab Ibn Rushd Ne Pahli Kitab Likhi Aur Kaha – “Ke Agar Mai Imaan Lata Hu Apne Rab Par Tou Jaruri Nahi Ke Mai Duniya Me Inkashafat Na Karu, Balki Mera Rab Yeh Ijajat Deta Hai Ke Uspar Iman Latey Hue Uskey Makhlooq Me Uski Kaaynat Me Inkashafat Kiye Jaaye.”

Isliye Church yaani Christianity Ke Nazdik Yeh Akida Tha Ke Agar Tum Imaan Latey Ho Bible Par Tou Inkashafat Karna Haraam Hai ,…

* Lekin Ibn Rushd Ne Kaha Ke Nahi! Haraam Nahi Hai.. Aur Inki Kitab Padhkar Europe Ne Sabse Pahle Ye Tarakki Ki, Ke Majhab Ko Alag Kardo! Kyunki Majahb Ijajat Nahi Deta Duniyawi Ilm Ki ,.. Tou Fir Unhone Majhab Ko Chorr Diya ,.. Lekin Ibne Rushd Ne Kaha Ke – “Aap Deen Par Yaani Akida-e-Tawheed Par Bhi Chal Sakte Hai Aur Sath Me Duniya Me Inkhshafat Bhi Kar Sakte Hai.”

Isliye Ke Church Yeh Samjhta Tha Ke Agar Koi Inkashafat(Discoveries) Karega Tou Bible Ke Khilaf Ho Jayega.

✦ IBN FIRNAS (Father of Modern Aviation):

Inka Naam “Abbas Ibn Firnas” Tha , Aur Yeh Bohot Mash’hur Scientist Gujre Hai Musalmano Me Se, Jo “Father Of Modern Aviation” Kehlatey Hai , Jitne bhi Aaj Jahaaz Udd Rahe Hai Yeh Inki Deyn Hai, Isliye Ke Ye Pahle Insan They Jinhone Socha Ke Insan bhi Udd Sakta Hai Hawa me , Aur Na Sirf Udd Sakta Hai, Balki Alag Alag Aalat Ke Jarye Tajurbaat(Experiment) Bhi Karte, aur Inhi Tajurbaat Me Inki Wafat Bhi Ho Gayi.

* Yeh Tajurbaat Kiya Karte They Ke Kaisa Insan Udd Sakega, Tou Parindo Ke Paro Ki Banawat Par Gour Karke Inhone Pahla “Glider” Banaya Aur Uspar Khud Sawaar Hokar Apni Soch Ko Duniya Me Sahi Sabit Kar Dikhaya , aur Inki Tajurbaat Ki Tasweero Ko “Leonardo Da Vinci” Ne Apni Paintings Me Dikhaya , aur Inki Painting Ko Log Dekhkar Kehte They Ke – “Dekho Leonardo Kitna Advance Ho Gaya Tha, Kaisi-Kaisi Painting Bana Raha Hai, Jo Cheez Aaj Ijad Ho Rahi Hai Wo Gliders Apne Zamane Me Bana Raha Hai..”

Jabki Yeh Painting Uski Apni Soch Nahi Thi! Balki Usney ‘Ibn Firnas’ aur Digar Muslim Scientist Ki Tajurbaat(Experiments) Bhari Tasweero Ko Apni Painting Me Utaarkar Europe Me Di – “Ke Dekho Musalman Kya-Kya Tarjubat Kar Rahe Hai Aur Tum Kaha Apne Andhere Me Baithe Ho ,.. Apne Dark Ages Se, Iss Andheri Duniya Se Niklo Aur Dekho Muslamano Ko Kaise-Kaise Tajurbaat Kar Rahe Hai, Jao Aur Sikho Unsey ..”

Lihaja Wo Musalmano Ki Inkhashafat Ki Paintings Banakar Diya Karta tha,.. Jis Se Europe Me Tabdili (Renaissance) Aayi.

* Yeh Musalmano Ki Deyn Hai Ke Duniya Bhar Me Renaissance(Tabdili) Aaya Aur Church Ke Shikanje Se Europe Bacha , Aur Yeh Wo Zamana Tha Jab Europe Ke Andar Inkashafat Karna Haraam Tha.

✦ Inkashaf Ki Wajah se Church ne Galileo Ki Mout Ka Farman Sunaya:

*Telescope ko ijad karne wale Mashoor Scientist “Galileo” Ne Ek Inkashaf Kar Diya Tha, Usney Kaha Ke “Duniya Bich Me Nahi Hai, Suraj Bich Me Hai Aur Dunia Uske Atraf Ghumti Hai..”

– Jabki Bible Kehti Hai Duniya Bich Me Hai Aur Suraj Aur Chand Uske Atraaf Ghumtey Hai ,.. Jab Usney Yeh Inkashaf Kiya aur Likh Diya Tou Usko Church Ne Sunday Prayer Ke Baad Saza Sunayi aur Sadak Par Laa Kar Usko Zinda Jalaya Gaya , Kyunki Usney Bible Ke Khilaf Baat Ki Thi ,..

Tou Yeh Wo Zamana Tha Jab Ek Cheez Bhi Aap Bol Nahi Sakte They Bible Ke Khilaf Uss Zamane Me Musalman Inkashafat Kar Rahe ,.. Naye-Naye Uloom Duniya Ko De Rahe Hai ,.. Muslaman 1000 Saal Aagey Chalti Thi Uss Zamane Me.

*Lekin Aajka Muamla Bilkul Ulta Hi Hai ,.. Isliye Ke Humne Duniyawi Uloom Ko Chorr Diya …

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!! Agley Part Me Bhi Hum Unn Musalman Scientist Ka Zikr Karenge Jinhone Apne Rab Ka Naam Lekar Ilm Haasil Kiya Aur Duniya Ko Kayi Aise Uloom Diye Jo Aaj Humari Zindagi Ka Hissa Hai ,…

To Be Continue …


Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish

Subscribe to get the latest posts sent to your email.




WhatsApp Channel Join Now
Telegram Channel Join Now

Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *