Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne irshaad farmaya –
“Har Peer aur Jumeraat (Monday & Thursday) ke din Allah Ta’ala ke saamne bando ke amaal pesh kiye jaate hain,Chunache Allah Ta’ala uss din har uss shakhs ki jo Allah Ta’ala ke saath kisi ko Shareek na thehraata ho magfirat farmata Hai,
Albatta woh shakhs uss bakhshish se mehroom rehta hai kejiski apne kisi (Musalman) bhai se dushmani ho,(Allah Ta’ala ki taraf se farishto) ko kaha jayega:‘un dono ko rehne do jab tak aapas me Sulah wa Safaayi na kar le,unn dono ko rehne do jab tak aapas me sulah wa safaayi na kar le.”
Ramzan ki Fazilat: Part 4 4. Ramzan ka Umrah Hajj ke barabar sawab deta hai: ۞ Hadees: Hazrate Ibne Abbas (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (ﷺ) ne ek Ansari Sahabiya se farmaya “Ramzan Ke Mahine Me Umrah Karna Hajj Ke Barabar Hai.” [ Sunan Nasaii, Vol2, 21 – Sahih ] Subhan’Allah! Gour karne wali baat hai ke Ramzan ka Umraah Hajj ke barabar sawab deta hai. lekin yaad rahe ye Hajj ko saaket nahi karta. Hajj ko Exceptional nahi kar deta ke Hajj…
Tahajjud ki Namaz ka Tarika, Ahmiyat aur Fazilat https://www.youtube.com/watch?v=20kQaRec_S8 Tahajjud ki Namaz ka Tarika, Ahmiyat aur Fazilat Tahajjud ki Namaz ka Tarika, Ahmiyat aur Fazilat, Tahajjud ki namaz padhne ka sahi tarika complete tutorial. Fazail e Tahajjud, Qiyaam ul Layl Aur Taraweeh By @Adv. Faiz Syed, Tahajjud Ki Namaz Ka Tarika Aur Us Ki Fazilat
Ramzan ki Fazilat: Part 5 6. Roze ka Azr aur Sawab be'hisaab hai: ۞ Hadith: Ek riwayat me Rasool’Allah (ﷺ) farmatey hai ke: “Roza Dozakh (Hell) se bachne ke liye ek dhaal hai isliye (jo Rozedar ho) wo na tou Biwi se Hum*bi*stari karey aur na fahash (Buri) aur jahalat ki batein kare aur agar koi shakhs uss se ladey ya usey gaali de tou uske jawaab me sirf ye kehna chaahiye ki mai rozedar hun." Uss jaat ki Qasam jiske haath me meri jaan…
Subhanallah ki Fazilat, Alhamdulillah ki Fazilat,… Subhanallah ki Fazilat, Alhamdulillah ki Fazilat, Allahu Akbar ki fazilat Subhanallah ki Fazilat, Alhamdulillah ki Fazilat, Allahu Akbar ki Fazilat Hadees: Abdullah bin Amr (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: 'Do Aadatein aisee hain ki agar koi Musalman isko ikhtiyar kar le to wo Jannat mein jayega. Wo Dono aasan hain magar us par Amal karne wale bahut kum hain, 1). Pahli ye ki Har Namaz ke baad -Dus (10) baar SubhanAllah , 10 baar Alhamdulillah aur 10 baar Allahu Akbar kahe ,…
Surah Ikhlas ki Fazilat aur Mukhtsar Sa Taruf Surah Ikhlas ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ قُلْ هُوَ اللَّـهُ أَحَدٌ﴾ 1 ﴿اللَّـهُ الصَّمَدُ﴾ 2 ﴿لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ﴾ 3 ﴿وَلَمْ يَكُن لَّهُ كُفُوًا أَحَدٌ﴾ 4 ﴿ "Aye Nabi (ﷺ)! Aap Keh Dijiye,Woh Allah Ek Hai.Woh Maabood Barhaq Beniyaaz hai.Woh Na Kisi ka Baap Hai aur Na Kisi ka Beta hai,Aur Na koi Uska Humsafar hai." 📕 Surah Al-Iklaas 112 Tashreeh (Ahsanul Bayan) yaani sabhi us ek Allah ke mohtaaj hai, lekin wo kisi ka mohtaaj nahi -Wo na kisi se paida…
Tauba aur Astaghfar ki Fazilat ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Astagfirullah Al-lazi la ilaha illa Huwa Al-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih." ✦ Al-Quran: Apne RABB se maafi maango, Wo bada muaf karne wala hai, Wo Aasman se tum par (Rahmat ki) baarish barsayega Aur maal se tumhari madad farmayega Aur aulad se (tumhari madad farmayega) Aur tumhe baag (garden) ata karega Aur unmein tumhare liye nahrein baha dega. 📕 Surah Al-Nooh (71), Verse 10-12 ۞ Hadees: RasoolAllah (SalAllahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "jo Astigfar karne ko apne upar lazim karega to Allah subhanhu usko har tangi se nikalne…
10 Muharram / Ashura ke Roze ki Fazilat Hadees of the Day ★ Ashure ka Roza ۞ Hadees: Abdullah bin Abbas (R.A.) se riwayat hai ki, Jab Allah ke Rasool (ﷺ) ne Ashure ke Din 10 Muharram ka Roza rakha aur Hukm (Order) kiya is Rozey ka, tou logo ne Arz kiya, Ya RasoolAllah(ﷺ) ! ye din to aisa hai ki iski Taazim Yahud aur Nasara karte hain. Tou Aap (ﷺ) ne farmaya ki Jab Agla Saal aayega to In' sha' Allah Hum 9 ka Roza Rakhege, Aakhir…
Mah-e-Shaban ki Fazilat, Hamare Amal aur Shabe Barat… https://www.youtube.com/watch?v=XVYHON8_FTc Mah-e-Shaban ki Fazilat, Hamare Amal Shaban ke mahine ki fazilat kya hai aur is mahine humare amal kaise ho ? Shabe Barat ki Galatfehmiya, aur iske talluk se tafseeli jankari ke liye Aayiye hum Janab Mohtaram Aalim Advocate Faiz Sayd ke Bayan ka mutala karte hai,. baraye meharbani isey jyada se jyada share karne me humara tawoon kare,. JazakAllahu Khair kaseera
Ramadan Day 17 | Ramzan aur har Maah ke 3 Roze ki Fazilat Ramadan Day 17 ✦ Hadees: Ibne Abbas (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:❝ Sabr ke mahine (Ramzan) ke Roze aur har Maah ke 3 Roze seene me moujud kharabiyo ko ....
Ramadan Day 2 : Jisne Imaan ke Saath Sawab ki Niyat… 02nd Ramzan Hadith Quote: Abu huraira (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki RasoolAllah (Sallallhu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ❝ Jisne Imaan ke saath Sawab ki niyat se Ramzan ke Roze rakhe uske pichle saare Gunaah bakhsh diye jayenge." Sunan Ibn Majah, 641-Sahih
Sab Rozo me Afzal Ramzan ke Baad Muharram ke Roze ki Fazilat Muharram ke Roze ki Fazilat Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya "Sab Rozo me Afzal Ramzan ke baad Muharram ke Roze hain, Jo Allah ka Mahina hai aur Baad Namaz-e-Farz ke Tahajjud ki Namaz hai." 📕 Sahih Muslim, Vol-3, 2755 Dekhe: Muharram / Ashure Ka Roza aur Uski Fazilat Ramzan ke baad sabse ziyada fazilat wale Roze Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, Ek Sahaabi RasoolAllah (ﷺ) ki khidmat me hazir hokar Arz karney…
Ramzan ki Fazilat: Part 3 2. Nuzul-e-Quraan ke liye iss Mahine ka Intekhab kiya: Iski dusri sabse badi fazilat ye hai ke Allah Rabbul Izzat ne iss Mahine ka Intekhab apni aakhri kitab Qurane Majid ko nazil karne ke liye kiya. Andaza lagaiye kitni aham baat hai ye ke 'Allah Rabbul Izzat ne apna aakhri qalam utara, jiske talluk se Allah Taala ne Quraan hi me bayan farmaya ke "Ramzan ka wo Mahina jis me Quraan ka Nuzool hua saari Insaniyat ki Hidayat aur Rahnumai…
Husn-e-Akhlaq ki Ahmiyat aur Fazilat ✦ Neki Acche Akhlaq ka Naam hai : ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nawas bin Samaan Ansari (RaziAllahu Anhu) se Riwayat hai ke, Maine Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) se Neki aur Gunaah ke baare me Poocha tou Aap ne farmaya "Neki Acche Akhlaaq ka Naam hai aur Gunah Jo tere Seeney me Khatke aur tujhe pasand na ho ke log usey jaaney." (Sahih Muslim 2553) ✦ Kaamil Iman ki Alamat : ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) farmate hai ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya "Momino…