Al-Quran: Aye aurto! Tum apne Gharon me thehri raho… Allah Taala Quraan me farmata hai: "Aye aurto! Tum apne Gharon me thehri raha karo aur Zamana-e-jahiliyat ki tarah be parda mat phiro." 📕 Surah Ahzab, 33:33
Behtreen Din Jumma ka Din hai Hadees of the Day | Jumma Series Behtreen Din Jumma ka Din hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Behtreen Din Jis par Sooraj Tuloo hota hai, Jumuah ka Din hai." 📕 Sahih Muslim: 854 (1976)
Jis Shakhs ke paas koi ilm mehfuz go aur wo usey… 📖 Hadith (Roman Urdu) Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: "Jis shakhs ke paas koi ilm ho aur wo use chhupaye, to Qayamat ke din usay dozakh ki aag ki lagaam pehnayi jayegi." 📕 Sunan Ibn Majah: Arabic 272 | English 261 ✦ English Hadith It was narrated from Abu Hurairah (R.A) that the Prophet ﷺ said: "Whoever has knowledge and conceals it, will be brought on the Day of Resurrection bridled with reins…
Apne Maa Baap ki Kabhi Nafarmani Na karna: Hadees Apne Maa Baap ki Kabhi Nafarmani Na karna Nabi-e-Kareem (ﷺ) farmatey hai: "Apne Maa-Baap ki Kabhi Nafarmani Na Karna, Chahe Woh Tumko Ghar aur Maal Wa Jaydaad Chhodne ka Huqm Dein." 📕 Musnad-e-Ahmad: Hadees 21570 • Note: Bashartey Baat Khilaf-e-Shariyat Na ho
Kisi Ko Burey Naam se na Pukaro ... Hadees: Rasool'Allah (ﷺ) ka Farman-e-Ibrat nishan hai, "Jis Ne Kisi Musalman ko Iss Ke Naam ke Ilawa Kisi Lafz Yaani Burey Naam se Pukara tou Uss Par Malaika (Farishte) Lanat bhejte hai." - (Geebat Ki Tabah Kariyan Page No 170) Dekhe: Zuban ki Halakatain by Aalim Adv Faiz Sayed https://www.youtube.com/watch?v=ctla25l3Xg4
Padosi ka haq Hadees: Jab Tum Salan Pakao Tou… Jab Tum Shorba (Salan) Pakao Tou Padosiyon ko bhi do ۞ Hadees : Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya : "Jab tum Shorba (Salan) Pakao tou usme paani jyada rakho aur padosiyon ko bhi yaad karo (diya karo)." 📕 Sahih Muslim, Hadees 6688 (2625)
Al-Quran: Tum aise kanjus na bano ke ke apne hath ko… Tum aise kanjus na bano ke ke apne hath ko gardan se bandh kar rakho Allah Taala Quran me farmata hai: "Tum aise (kanjus) na (bano ke) ke apne hath ko gardan se bandh kar rakho aur na (aise fuzool karch ke) hath ko bilkul hi khula chdod do; ke jis ke nateeje me tumhe qabile malamat aur khali hath ho kar baithna padey." 📕 Surah Bani Israeel, 17:29
Aye Logon Tum Par Hajj Farz kiya Gaya : Hadees Aye Logon Tum Par Hajj Farz kiya Gaya : Hadees Hadees: Hazrat-e-Abdullah Ibne Abbas(R.A) se riwayat hai,RasoolAllah (ﷺ) Irshad farmate hai - Jab Hazrate Ibrahim (Alaihay Salam) Khaana-e-Kaaba Ki Tameer Muqammal kar liye tou Allah Ta'ala ki Bargaah me Marooza kiye - 'Ilaahi Maine Tameer Muqammal Kar Li Hai!' Tabhi Allah Ta'ala ne hukm farmaya 'Logon me Hajj ka Ailaan karo" Unhone Arz Ki Ilaahi Meri Aawaz Kaise Pahuchegi.? Allah Ta'ala ne irshad farmaya - 'Aawaz Dena Tumhara Kaam hai…
Tum doosron par kharch karte raho, Allah tum par… Tum doosron par kharch karo, Allah tum par kharch karega Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmate hai ke: "Allah Taala ne farmaaya: Aye logo! tum doosron par kharch karte raho, main tum par kharch karta rahunga." 📕 Bukhari, Hadees 5352
Tum Apne kisi Bhai se Jhagda na karo Hadees of the Day Tum Apne kisi Bhai se Jhagda na karo Abdullah ibn Abbas (R.A) se Riwayat hai ke,Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Tum Apne Kisi Bhai se Jhagda Na Karo aur na Us se Aisa mazaq karo (Jis se us ko Taqleef ho) aur Us se aisa Waada na karo jisko poora na kar sako.." 📕 Tirmizi, Hadees 1995 अब्दुल्लाह इब्न अब्बास (रजीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के,अल्लाह के रसूल (ﷺ) ने फ़रमाया: "तुम अपने किसी भाई…
Sacha aur Amanatdar Tajeer Qayamat ke din Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ka farman hai: “Sacha aur Amanatdar Tajir Qayamat ke din Ambiya Siddiqeen aur Shuhda ke sath hoga.” 📕 Tirmidhi, Hadees 1209
Hadees: Quran ki tilawat karo, yeh Qayamat ke din… Hadith: 19 -July: Abu Umama (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: ❝Quran ki tilawat kiya karo, is liye ke yeh Qayamat ke din tilawat karne waalo ke haq me Sifarish karega.❞ 📕 Sahih Muslim 804
Maa Baap Par Laanat Karne Se Bacha Karo .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Irshad Farmate Hai - "Gunaho Me Se Bada Gunaah Yeh Hai Ki Aadmi Apne Maa-Baap Par Lanat Kare, Logon Ne Kaha - 'Aye Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Bhala Kaun Apne Maa Baap Par Lanat Karega ?' *Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Matlab Ki, 'Ek Shakhs Dusre Ke Baap Ko Gaali De! Aisa Hai Ki Woh Apne Baap Ko Gaali De, Aur Dusre Ki Maa Ko Gaali De! Aisa He…