!!! Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
Aaj Hum Choti Choti Musibato par Allah se mayus ho jatey hai, Allah ki rehmat se Na’ummid ho jatey hai jabki ye Imanwalo ko Zeba nahi deta,..
– kyunki humse pahle Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam), Aapke Sahaba, aur Jo Nek aur Saleh log they unpar Is se Jyada Mushkile aur pareshani Aayi,. lekin iske bawajud wo log Haq par Majbuti ke sath jamey rahe aur Allah ki rehmat se mayus aur Na’ummid na hue ,. Aur Allah ki Raah me Jaddo Jehad karte rahe jabtak ke Allah Ki Madad untak pohoch na gayi ,..
Isi Ke Zeeman Me Quran-e-Kareem Ki Rehnumayi Hum Sab ko Sakht se sakth haal me bhi Housa Deti Hai:
♥ Al-Quraan: “Kya tum ye Gumaan kiye baithey ho ke “aise hi Jannat” me chale jaoge ?
Halanke ab tak tum par wo Halaat nahi Aaye Jo tumse agle logon par Aaye they,
Unhe Bimaariyan aur Musibaten Pahunchi aur wo hila diye gaye,
yahan tak ke Rasool aur uske saath ke Iman waley kahne lage ke Allah ki madad kab Ayegi ?
(fir unhe Tasalli di gayi ke) Ha! Allah ki Madad kareeb hi hai”
– (Sureh Baqra 2: Ayat 214)
♥ Subhan’Allah !!!
♥ Al-Quraan: “Kya logon ne ye gumaan kar rakha hai ke unke
sirf is Daawe par ke hum Imaan laye hai, hum unhe bagair Aazmaye huwe hi chorr denge?
Unse Aglon ko bhi Humne khoob Jaancha, Yaqinan Allah unhe bhi jaan lega Jo sach kahte hai
aur unhe bhi Maalum kar Lega Jo Jhoote hai”
– (Sureh Al-Ankabut 29: 1-3)
*Lihaja Mere Azeezo ! hume Har Aazmasih me Sabr se kaam lena hai ,.
har kism ke Gair Sharayi Rusumat se parhez kar khalis Rab Ki Nazil Karda hidayat
aur Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Pakiza Talimat par jam jana hai..
fir Jaisa ke Allah Ka Wada Kal bhi Pura hua in’sha’Allah ul Azeez !! Waisa Aaj bhi Pura hona lazim hai ,.
basharte ke hum Kamil Iman Wale yaani “Momin” ban Jaye ,,.
♥ In’sha’Allh-Ul-Azeez !!!
# Allah Taala Hume Kehene Sun’ne Se Jyad Amal Ki Taufik Dey ,..
# Hume Kitabo Sunnt ka Paband Banaye ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
🔖 ummat-e-nabi.com/home
🔖 Fb.com/HadiseNabwi