∗ Sawaal: Piney aur Khane ki Cheez me Makhhi Gir Jaye Tou Kya Karna Chahiye ?
» Jawaab: Abu Dawood Ne Hazrate Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Ki Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya:
“Jab Khaane Me Makhkhi Gir Jaye Tou Uss Ko Gota (Dubana) Do
– Kyun Ki Uss Ke Ek Parr(wings) Me Bimaari Hai Aur Doosre Me Shifa Hai.
– Aur Usi Parr Se Apne Ko Bachati Hai Jis Me Bimaari Hai (Wahi Par Khane Me Pehle Dalti Hai Jisme Bimaari Hai – Lihaza Puri Ko Gota (Duba) Do.”
– (Sunan Abu Dawood; Hadith no.3844, Jild-3, Page No.511)
SCIENTIFIC VIEW:
Britain Ke Mashoor Medical Magazine (DOCTORIAN EXPERIENCES) No 1057 Taba Saal 1927, Me Makkhi Ke Mutaallik Nayi Tahqeeq Yun Bayan Ki Gayi Hai –
“Makkhi Jab Khetiyon Aur Sabziyon Par Baithti hai Toh Apne Saath Mukhtalib Bimaariyon Ke Jaraaseem Utha Leti Hai,
– Lekin Kuch Arsa Baad Ye Jaraaseem Marr Jaate Hai Aur Unki Jagah Makki Ke Peit Me “Baktar Falog” Naami Ek Maadah Paida Ho Jaata Hai Jo Zehareele Jaraaseem Ko Khatm Karne Ki Khaasiyat Rakhta Hai,..
– Agar Tum Kisi Namkeen Paani Me Makki Ke Pait Ka Maadah Daalo Toh Tumhe Wah “Takbar Faloj” Mil Sakta Hai, Jo Mukhtalif Bimariyan Failaane Waale Chaar Qism Ke Jaraaseem Ka Muhlak Hai,..
– Iske Elawa Makkhi Ke Pait Ka Ye Madah Badal Kar ‘Takbar Faloj’ ke Baad Ek Aisa Madah Ban Jaayega Jo 4 Mazeed Qism Ke Jaraaseem Ko Khatm Karne Ke Liye Mufeed Hoga”…
♥ Alahmdulillah !!! Allah Ke Nabi(Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Aaj Se 1400 Saal Pahle Hi Wajeh Farma Diya Ke –
“Hakikatan Makkhi Ke Ek Parr me Bimaari hoti Hai aur Dusre Parr me Shifaa Yaani Uss Bimaari ka Antidote hota hai.
– Lihaja Maloom Ho Jaye Ke Khaane Pine Ki Kisi Cheez Me Makkhi Gir Jaye tou Uss Makkhi Ko Uss Me Puri Taraha Se Dubo Kar Bahar Nikaal Do.. Taaki Uske Pahle Parr Se Aayi Bimaari ka Antidote Uske Dusre Parr Se Uss Cheez me Ghool-Mill Jaye,.. Aur Wo Khaane-Pine Ki Cheez Uss Bimaari ke Sharr Se Mehfuz Ho Jaye ,..
• WAJAHAT: *Makkhi Ko Dubana Uss Surat Me Mumkin Hoga Jab Ki Khane Ya Piney Ki Cheez Patli(Liquid) Ho ,..
– Jaise Ki Paani, Sharbat , Daal, Saalan Wagaira.
– Agar Liquid Na Ho Tou Aap Uss Thodi Jagah Se Us Cheez Ko Kinare Dal De Take Chinti Wagaira Khale.