۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Darood Sharif
✦ Darood e Ibrahim ✦
‟ Allahumma Salli Ala Muhammad
wa Ala Aali Muhammad
Kamaa Sallaita Ala Ibrahima
wa Ala Aali Ibrahima
Innaka Hamidum majid. “
‟ Allahumma Baarik Ala Muhammadiw
wa Ala Aali Muhammadin
Kamaa Baarakta Ala Ibrahima
wa Ala Aali Ibrahima
Innaka Hamidum majid. “
Tarjuma (Meaning)
Aye Allah!! Salamati aur Rehmat Ata farma !
Nabi-e-Kareem Mohammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) par aur unki aal par,
Jis tarha tuney Salamati ata farmayi Ibrahim (Alahi Salam) par aur unki aal par.
beshaq tu badi tareef wala aur buzurgi wala hai.
Aye Allah!! Barqat ata farma !
Nabi-e-Kareem Mohammad(Sallallahu Alaihay Wasallam) par aur unki aal par,
Jis tarha tuney Barqat nazil farmayi Ibrahim (Alahi Salam) par aur unki aal par.
Beshaq tu badi tareef wala aur buzurgi wala hai.
Darood Sharif ki Ahmiyat:
❝ Allah Ta’ala aur iskey Farishtey Nabi (ﷺ) per Rehmat bhejtey hain,
Aye Imaan waalo! Tum bhi in per Durood bhejo
aur khoob Salaam bhejtey raha karo.❞
📕 Al-Quran; Surah Al-Ahzaab 33:56 © www.ummat-e-nabi.com/home
Darood Sharif ki Fazilat:
۞ Hadees: Anas-bin-Malik (R.A.) se riwayat hai ki
Rasool’Aallah (ﷺ) ne farmaya:
❝Jo Shakhs Mujh par ek martaba Durood bhejega tou
Allah Ta’ala uss par 10 martaba Rehmat bhejega
aur 10 Gunaah Muaf honge aur
10 Darjaat buland honge.❞
📕 Sunan An Nasai 1300-Sahih © www.ummat-e-nabi.com/home
۞ Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
❝ jab koi Mujhpar Durood bhejta hai to
farishte us waqt tak uske liye Rehmat ki
Duae karte rehte hai jab tak wo mujh par durood
padhta rehta hai,
ab bande ki marzi hai ke wo kum padhe ya jyada.❞