♥ Mafhoom-e-Hadees: Anas Bin Malik (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Jab Mujhe Meraj Ata Ki Gayee Tou Uss Raat Mera Guzar Ek Qoum Par Se Hua Jinkey Nakhun Taanbey(Copper) Ke They Aur Wo Un Nakhuno Se Apney Chehrey Aur Seeney Ko Khurach Rahey They Tou Mainey Kaha Ye Kaun Log Hain Aye Jibril ?,..
To Unhoney Kaha Ki – Ye Wo Log Hain Jo Logon Ka Gosht Khatey Hain (Yaani Unki Geebat Kartey Hain) Aur Unki Izzat Aur Aabru Ke Peechey Parey Rahtey Hain,..”
– (Sunan Abu Dawud , Vol 3, 1449 Sahih)
Geebat Karney Walon Ka Azaab ….
Leave a comment
Leave a comment