Ek Jumah Dusre Jumah Tak ke Gunahon ka Kaffara hai Ek Jummah Dusre Jumah Tak ke Gunahon ka Kaffara hai Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Ek Jummah Dusre Jumuah tak ke Gunahon ka Kaffara hai Jab tak Kabeera Gunahon ka Irtikaab na kiya jaye.” 📕 Ibn Maaja, Hadees: 1086 (Sahih)
Hadees: Rozi talaash karne mein halaal aur paakeeza… Rozi talaash karne mein halaal aur paakeeza tareeqa ikhtiyaar karo Hadees: Abdullah bin Masood (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Tum Allah se daro aur rozi talaash karne mein halaal aur paakeeza tareeqa ikhtiyaar karo aur rozi milne mein kuchh der ho jaana tumhein haraam tareeqa ikhtiyaar karne par majboor na kar de." 📕 Shoebul Imaan, Hadees : 10376
Shaitan ki 3 girah (knot) jo wo har insan ke peeche… Shaitan ki 3 girah (knot) jo wo har insan ke peeche raat mein baandh deta hai: Hadees Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki - "Shaitan insan ke sir ke peeche raat mein sote waqt teen girah (gaath) laga deta hai aur har girah par ye phunk deta hai ki - So ja abhi raat bahut baqi hai phir agar koi bedar hokar Allah Subhanahu ko yaad kare tou Ek girah khul jati hai phir…
Azan ke Baad ki Dua (अज़ान के बाद की दुआ) – Arabic,… 📿 अज़ान के बाद कौन सी दुआ पढ़नी चाहिए? जब अज़ान पूरी हो जाती है, तो एक बहुत ही प्यारी दुआ है जिसे पढ़ना नबी ﷺ ने सिखाया है। यह दुआ पढ़ने से हमें क़यामत के दिन नबी ﷺ की शफाअत (सिफ़ारिश) नसीब होगी। 🌙 Azan ke Baad ki Dua in Arabic اللَّهُمَّ رَبَّ هَذِهِ الدَّعْوَةِ التَّامَّةِ، وَالصَّلَاةِ الْقَائِمَةِ، آتِ مُحَمَّدًا الْوَسِيلَةَ وَالْفَضِيلَةَ، وَابْعَثْهُ مَقَامًا مَّحْمُودًا الَّذِي وَعَدْتَهُ 🕋 Azan ke Baad ki Dua in Hindi (उच्चारण सहित) अल्लाहुम्मा रब्बा…
Namaz chut jaye to kya kare Hadees ki roshni mein Kisi wajah se agar Namaz chut jaye to kya kare janiye Hadees ki roshni mein Namaz padhna bhool jaye aur Waqt Nikal Jaye tou kya kare ۞ Hadees: Hazrate Anas (R.A.) riwayat karte hain ke RasoolAllah ﷺ ne farmaya: "Jo Shakhs Namaz bhool jaye (ya so jaye) toh us ka kaffara iske siwa koi nahi ke jis waqt usey yaad aaye us Namaz ko padh le." 📕 Sahih al Bukhari, Hadees 597, Sahih Muslim: al Masaajid, 684 TAFSEER: 👆 Is hadith ki Tafseer me…
Bheek Mangna Hadees ki roshni mein anjaam Bewajah logo se Bheek Mangna Hadees ki roshni mein jaaney. Hadees: Hazrate Abdullah ibn Masud (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya "jo shakhs maaldar honey ki halat me bhi sawaal kare (maange) tou wo Qayamat ke din iss tarah aayega ki uska mooh kharocha hua ya kata ya phata hoga." Sahaba ne pucha "insan kitne maal se maaldar kehlata hai?" Tou Aap (ﷺ) ne farmaya "50 dirham ya uski qeemat ka sona (rakhne wala)." 📕 Sunan Abu Dawud, Vol-1, Hadees 1613-Sahih…
Namaz kisi bhi Haal mein Muaf nahi Namaz kisi bhi Haal mein Muaf nahi Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Khade ho kar Namaz padha karo, Agar Uski bhi Taaqat na ho to Baith kar aur Agar uski bhi na ho to Pehlu ke Bal Let kar padh lo.” 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 1117
Sadqa Gunahon ko Khatm kar deta hai Jis tarah Paani… Sadqa Gunahon ko Khatm kar deta hai Jis tarah Paani Aag ko bujha deti hai ۞ Hadees: Ka'b bin Ujrah (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Sadqa Gunaahon ko iss tarha khatam kar deta hai jis tarah paani Aag ko bujha deti hai." 📕 Jami` at-Tirmidhi 614; Grade: Hasan
Ek Saath Khana Khane Mein Barakat 📖 Roman Urdu Wahshi bin Harb (R.A.) se riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Ek saath khana khao aur us par Allah ka naam le liya karo, is mein tumhare liye barqat hai.”(Abu Dawood, Hadith 3764) 📖 हदीस हिंदी वह्शी बिन हरब (र.अ.) से रिवायत है कि रसूलअल्लाह ﷺ ने फ़रमाया: “एक साथ खाना खाओ और उस पर अल्लाह का नाम ले लिया करो, इसमें तुम्हारे लिए बरकत है।”(अबू दाऊद, हदीस 3764) 📖 Hadith English Wahshi bin Harb (R.A.)…
Rizq me Barkat ki Dua | ilm mein izafa ki Dua Rizq me Barkat ki Dua aur ilm mein izafa ki Dua in Arabic, Roman, Tarjumah & Hindi Quran wa Sunnat ki roshni mein. Rizq me Barkat ki Dua in Arabic اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ عِلْمًا نَافِعًا، وَرِزْقًا طَيِّبًا، وَعَمَلًا مُتَقَبَّلًا Rizq me Barkat ki Dua in Roman "Allahumma inni Asaluka ilman Nafiaa, Wa Rizqan Tayyiba Wa Amalan Mutaqabbala" Rizq me Barkat ki Dua in Tarjumah Aye Allah! main tujhse nafa dene wale Ilm aur pakeeza Rizq aur qubool hone wale amal…
Gusse mein ek Doosre ke Raaz kholna kaisa hai? Gusse mein ek Doosre ke Raaz kholna kaisa hai? ۞ Hadees: Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: "Jab tumhe koi shakhs tumhari (kisi kamzor amal) ko buniyad banakar bura bhala kahe, jiska usey ilm hai, tou tum usey us ki aisi baat par bura bhala na kaho jo tumhe maloom hai (lekin logon ko maloom nahi). pas iska ajar tumhe milega, aur uska wabaal usi shakhs par hoga." 📕 Sahih al jame' lil albaani: 594
Shabe Qadr ki Nishaniyan Aahadees ki roshni mein Shabe Qadr ki Nishaniyan Aahadees ki roshni mein ۞ Hadith: Hazrate Ubada (RaziAllahu anhu) se rivayat hai ki, Nabi ﷺ ne farmaya: "Shab e Qadr Ramazan ke mahine ke aakahri ashre mein hoti hai jo shakhs is ka sawab hasil karne ke liye un mein Qiyam kare to Allah is ke agle pichle Sare Gunah Muaf farma dega aur ye Taaq Raaton mein hoti hai. yaani Aakhri Ashre ki 9, 7, 5, 3, ya aakhri raat ( yani 29,27,25,23,21). Aur…
Shab-e-Qadr mein Ibadat karne ki fazilat Shab-e-Qadr mein Ibadat karne ki fazilat ۞ Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jo shakhs Shab e Qadr Imaan ke saath aur sirf Aakhirat ke sawab ke liye Zikr aur ibadat mein guzare to uske pichle Gunah bakhsh diye jate hain." Sahih Bukhari, 35 ۞ हदीस: रसूलअल्लाह सलअल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फरमाया: "जो शख्स शब ए कद्र इमान के साथ और सिर्फ आखिरत के सवाब के लिए ज़िक्र और इबादत में गुज़ारे तो उस के पिछले गुनाह बख्श दिए जाते हैं।" …
Janaze ki Duayein | Janazah ki Dua Quran wa Sunnat… Mayyat ki ankhen band karte waqt ki dua ((اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِفُلاَنٍ (بِاسْمِهِ) وَارْفَعْ دَرَجَتَهُ فِي الْمَهْدِيِّينَ، وَاخْلُفْهُ فِي عَقِبِهِ فِي الْغَابِرِينَ، وَاغْفِرْ لَنَا وَلَهُ يَا رَبَّ الْعَالَمِينَ، وَافْسَحْ لَهُ فِي قَبْرِهِ، وَنَوِّرْ لَهُ فِيهِ)). (Allahummagh-fir li-name the dead- warfaAA darajatahu fil-mahdiyyeen, wakhlufhu fee AAaqibihi fil-ghabireen, waghfir lana walahu ya rabbal-AAalameen wafsah lahu fee qabrih, wanawwir lahu feeh.) Ae Allah! fulan (mayyat ka naam) shakhs ko maaf farma aur hidaayat yafta logon mein is ka darja buland farma aur is ke…
Museebat mein pareshaan aadmi ko tasalli dene ka sawab Museebat mein pareshaan aadmi ko tasalli dene ka sawab ❖ Hadees: Abdullah (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: "Jo shakhs museebat mein pareshaan aadmi ko tasalli deta hai toh usko bhi pareshaan aadmi ki tarah sawaab milta hai." 📕 Jami` at-Tirmidhi, Hadees 1073