Hadees: Numan Ibn Bashir (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –
“Dua hi tou Ibadat hai,”
phir Aap (ﷺ) ne “Surah (40) Momin” ki Aayat 60 tilawat farmayi,
“Tumhare Parwardigar ne farmaya ke mujhe pukaro!Main tumhari Dua qabool karungaaur jo log meri ibadat se takabbur karte hainwoh Zaleel-O-Khuwar ho kar Jahannum me dakhil honge.”
Hadees: Allah ke Hukm ki hifazat karo, Allah tumhari… Allah ke Hukm ki hifazat karo, Allah tumhari hifazat karega Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Tum Allah Taala ke Hukm ki hifazat karo, Allah Taala tumhari hifazat karega." 📕 Tirmizi, Hadees 2516
Tumhare RAB ne farmaya hai ki Mujhse Dua karo ♥ Bismillahi-r-Rahmani-r-Rahim ♥ "Aur tumhare RAB ne farmaya hai ki Mujhse Dua karo Main tumhari Dua Qubul karunga." - Al-Quran 40:60 ♥ Mafhoom-e-Hadees: Thabit (RaziAllahu Anhu) se rivayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Tum me se har shakhs ko chahiye ki wo apni tamam hajatein apne RABB se hi maange, yaha tak ki namak bhi us se maange, aur agar jute ka tasma (less) bhi tut jaye tou wo bhi usee se maange.." - Jamia tirimizi, Jild…
Purey yakin se Allah se Dua mange kyunki Allah ke… Purey yakin se Allah se Dua mange Hadees: Abu Huraira (R.A) ne kaha ki, RasoolAllah (ﷺ) ne Irshaad farmaya: "Jab tum me se koi Dua kare tou yeh na kahe ki 'Ya Allah mujhe bakhsh de agar tu chahe tou, mujh par reham farma, agar tu chahe tou mujhe rizq de,' balki yakin ke sath Dua kare Kyuki Allah Ta’ala jo chahata hai karta hai aur koi uss par zabardasti karne wala nahi hai." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees: 6339
Allah ki Rehmat Allah ke Gusse se badhkar hai Allah ki Rehmat Allah ke Gusse se badhkar hai RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : “Jab Allah Ta'ala ne Makhlooq ko Paida kiya tou Arsh ke Upar Apne Paas apni Kitab me likh Diya ki Meri Rehmat mere Gusse par Galib hai.” 📕 Sahih Bukhari, Hadees : 3194
Jab Jannati Bandey Allah ka Deedar Karenge: Allah ka… Hadees: Suhaib (R.A) se Riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad farmaya: "Jab Jannati Jannat me paunch jayenge, To Allah Ta'ala Unse Irshad farmayenge: "Kya Tum Chahte ho ki Mai Tumko Mazeed Ek Cheez Ata karun Yaani Tumko jo kuch ab tak Ata hua hai us par Mazeed Ek khaas Cheez Inayat karun ?" Wo Kahenge: "Kya Aap ne Humare Chehre Roshan nahi kar diye aur kya Aapne Hume Dozakh se Bacha kar Jannat me Dakhil nahi kar diya ? (Ab…
Allah se darto! Allah Tumhare kaamo se bakhabar hai Allah se darto! Allah Tumhare kaamo se bakhabar hai "Allah se darte raho, Allah yaqeenan tumhare tamam kaamo se poori tarah ba khabar hai." 📕 Surah Maidah 5:8
Taraweeh Ki Ibadat Ko Ladayi Ka Mouju Na Banaiye ,... Ramzan Ke Mahine Me Taraweeh Ki Shakl Me Hum Tilawat-e-Quraan Sun Saktey Hai Ye Bhi Ek Acha Tareeka Hai ,.. .... Lekin Meharbaani Kar Ke Inn Taraweeh Ki Namazo Ko Humara Aur Tumhara ,.. Apna Aur Paraya , Wo Jamat Ka Aur Ye Jamat Ka Farq Karnewali Cheez Mat Banaiye ,. *Aakhir Kitna Bhi Kahey Tou Ye Ibadat "Nafeel Ya Sunnat Hai ,..." Farz Tou Nahi Hai Na,.. * Faraiz Ki Pabandi Ho Rahi Hai Mua’mla Bus Thik Hai,.. Acha…
Rizq me Barkat ki Dua | ilm mein izafa ki Dua Rizq me Barkat ki Dua aur ilm mein izafa ki Dua in Arabic, Roman, Tarjumah & Hindi Quran wa Sunnat ki roshni mein. Rizq me Barkat ki Dua in Arabic اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ عِلْمًا نَافِعًا، وَرِزْقًا طَيِّبًا، وَعَمَلًا مُتَقَبَّلًا Rizq me Barkat ki Dua in Roman "Allahumma inni Asaluka ilman Nafiaa, Wa Rizqan Tayyiba Wa Amalan Mutaqabbala" Rizq me Barkat ki Dua in Tarjumah Aye Allah! main tujhse nafa dene wale Ilm aur pakeeza Rizq aur qubool hone wale amal…
Baaz log Kinare par khade ho kar Allah ki ibadat karte hai Baaz log Kinare par khade ho kar Allah ki ibadat karte hai ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ “Aur Baaz Log Aise hai Jo Allah ki Ibaadat Kinare par Khade ho kar karte hai, Agar Unhe Faida Pahuncha tou Mut’mayin honge, aur Agar Musibat Aa Padi tou Usi Waqt Mooh Ferlia,Ye Dunia Wa Aaqirat Dono me Nuksaan Utaane Wale hai, Aur Yahi Khula Nuksaan hai” 📕 Al-Quran, Surah Hajj 22:11 Lihaja Allah ki taraf se aane waali har Aazmaish me poora Utarna aur Allah…
Bhai ke liye Ghaibana Dua qabool hoti hai Hadees of the Day Bhai ke liye Ghaibana Dua qabool hoti hai Abu Darda (R.A) se Riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ”Jab koi apne bhai ke liye (ghaybane) me dua karta hai to farishte ameeen kehte hain aur kehte hain : tere liye bhi isi jaissa ho.“ 📕 Sunan Abi Dawud 1534-Sahih Abu Darda (R.A) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Kisi Musalman ki apne bhai ke liye Ghaibana Dua qabool hoti hai, uske paas ek farishta hai…
Allah se Magfirat aur Aafyiat mangne ki Dua ✦ Mafhum-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Allah Subhanahu Ta'ala se Magfirat aur Aafyiat manga karo, kyuki Yaqeen ke baad Aafiyat se behtar koi cheez kisi ko nahi di gayee." 📕 Jamia Tirmidhi, Jild 2, 1482-Sahih ✦ Mafhum-e-Hadees: Ibn Umar (R.A) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Subah aur Shaam ko ye Dua maangna kabhi nahi chorha, yaani rozana Subah aur Shaam mein isko padha karte they: ❝Allahumma inni Asalukal-Afwa Wa Al-Aafiyah fid-dunya wa Al-Aakhirah.❞ (Ya Allah…
Iman par Isteqamat ki Dua (Qurani Dua) ♥ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ♥ Iman par Isteqamat ki Dua (Qurani Dua) رَبَّنَا لاَ تُزِغْ قُلُوبَنَا بَعْدَ إِذْ هَدَيْتَنَا وَهَبْ لَنَا مِن لَّدُنكَ رَحْمَةً إِنَّكَ أَنتَ الْوَهَّابُ "Rabbana la tuzigh quloobana ba'da idh hadaytana wa hab lana milladunka rahmah innaka antal Wahhab" - (Surah Aale Imran; 3:8) ✦ इमांन पर इस्तेक़ामत की दुआ (हिंदी तर्जुमा) ✦ "हमारे रब! जब तू हमें सीधे मार्ग पर लगा चुका है, तो इसके पश्चात हमारे दिलों में टेढ़ न पैदा कर और हमें अपने पास से…
Qurani Dua-7 : Aye Allah hum par Aisa boz na daal… ♥ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ♥ Rabbana Wala Tahmil رَبَّنَا وَلاَ تَحْمِلْ عَلَيْنَا إِصْرًا كَمَا حَمَلْتَهُ عَلَى الَّذِينَ مِن قَبْلِنَاRabbana wala tahmil alayna isran kama hamaltahu ‘alal-ladheena min qablina “Aye Allah! Hum par aisa bojh na daal jaise Tune humse pehle ke logon par daala tha.”– (Al Quran; Surah Baqarah: 2:286) Translation & Meaning Hindi: “ऐ अल्लाह! हम पर ऐसा बोझ न डाल जैसा तूने हमसे पहले के लोगों पर डाला था।” English: “Our Lord! Lay not on us a burden like that…
Dua ibadat ka Magaz hai Hadees Dua ibadat ka Magaz hai Hadees Hadees: Anas-Bin-Malik (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ka farmane hai ke - "Dua Ibadat ka Maghaz (Brain) hai." 📕 Tirmizi, Kitaab Al-Doawat, Hadees: 3382 • Note: Dua Ibadat ka Maghaz Isliye hai ke - "Dua Mangne Wala har Ek (1) se Alag ho kar Apne Rab ki Bargah me Munajaat (Tareef) karta hai." 📕 Faiz Al-Qadeer, Jild: 3, Page: 721
Allah Hates: Allah Ta'ala uss shakhs se Nafrat karta… Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne irshad farmaya ke - "Allah Ta'ala uss shakhs se Nafrat karta hai jo sakht mijaz ho, Zyada khane wala ho, Bazaro me chikhne wala ho, Raat me murde ki tarah (padaa sota rehta) ho, din me gadhe ki tarah (duniyawi kaamo me zikr-e-ilahi ke bagair fansa rehta) ho, Duniya ke muamlo ka jaan'ne wala aur Aakhirat ke Umoor se bilkul jaahil (bekhabar) ho." 📕 Ibn Habban: 1/274