Jo Shakhs Allah ke Bulaane Wale ka kaha na Maanega Woh (Quran 46:32)

Jo Shakhs Allah ke Bulaane Wale ka kaha na Maanega Woh…

Aaj ki Aayat | Verse of the day

Jo Shakhs Allah ke Bulaane Wale ka kaha na Maanega

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Allah Taala ka farman hai:

“Aur Jo Shakhs Allah ke Bulaane Wale ka kaha na Maanega Pas Woh Zameen mein Kahin (Bhaag kar Allah ko) Aajiz Nahi kar Sakta, Na Allah ke Siwa aur koi Uske Madadgaar Honge, Yeh Log Khuli Gumraahi mein hain.”

📕 Surah Al-Ahqaaf, 46:32

4.5/5 - (31 votes)
Allah se kuch bhi chupa hua nahi

Allah se kuch bhi Chupa nahi

Aaj ki Aayat | Verse of the Day

Allah se kuch bhi Chupa nahi

Allah Ta’ala ka farman hai:

“Aur Aap ke Rabb se koi cheez zarrah barabar bhi ghaib nahi na Zameen mein aur na Aasman mein.”

📕 Surah An-Naml: 82

“Jab darakhton, zarron, jaanwaron aur tamaam tarr-o-khushk cheezon ke haal se Allah waaqif hai to bhala yeh kaise mumkin hai ke un bandon ke aamaal se woh be-khabar ho jinhein Rabb ki ibadat karne ka hukm diya gaya hai.”

📕 Tafseer Ibn-e-Kaseer

5/5 - (3 votes)
Us Qayamat ke din se Daro

Uss Qayamat ke din se Daro …

Uss Qayamat ke din se Daro

✦ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ✦

Allah Taala Quran-e-Kareem me farmata hai:

“Us Qayamat ke din se Daro jab na koi jaan kisi jaan ke kaam aayegi.”

📕 Al-Quran; Surah Baqrah 2:48

© HindiQuran.in

5/5 - (2 votes)
Aulad ki Dua in Quran

Aulad ki Dua in Quran

Allah se Nek, Deendar aur Farmabardar Aulad maangne ki Qurani dua

Aaj ki Aayat 25 September

Shirk ka Anjam Jahannam hai

Aaj ki Aayat | Verse of the Day

Shirk ka Anjam Jahannam hai

Allah Taala farmata hai:

“Beshak Jisne Allah ke Saath Shirk kiya Allah Ta’ala ne us par Jannat Haraam Kar di hai aur Uska Thikaana Jahannam hi hai.”

📕 Quran, 5:72

5/5 - (2 votes)
Hadees Of The Day | 12 September

Un Logo ki tarah mat ho jana

Hadees Of The Day

Un Logo ki tarah mat ho jana

RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya :

“Aur Tum Un Logon ki tarha Mat Hojana Jinhone Allah (ke Ahkaam) ko Bhula diya.”

📕 Qur’an 59:19

5/5 - (3 votes)
Allah ne tumhare jins se tumhare liye biwiya paida ki

Allah ne Tumhare liye Tumhare jins se hi jodey banaye

Aaj ki Aayat | Verse of the Day

Allah ne Tumhare liye Tumhare jins se hi jodey banaye

Allah Ta’ala farmata hai:

“Aur Uski Nishaniyon mein se hai ki Usne Tumhare liye Tumhari Jins hi se Biwiyan Paida ki Taaki Tum Araam Pao.”

📕 Quran 30:21

5/5 - (2 votes)
Jis Maut se Tum Bhaagte ho Woh to Tumhein Pahunch kar Rahegi

Jis Maut se Tum Bhaagte ho Woh Tum tak pahunch kar rahegi

Aaj ki Aayat | Verse Of The Day

Jis Maut se Tum Bhaagte ho Woh Tum tak pahunch kar rahegi

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ 

Allah Ta’ala Quran-e-Majid me farmata hai:

“Jis Maut se Tum Bhaagte ho Woh to Tumhein Pahunch kar Rahegi,
phir Tum Sab Chhupe khule ke Janne wale (Allah) ki taraf Lautaye jaoge aur
Woh Tumhein Tumhare kiye hue Tamaam kaam bata dega.”

📕 Quran, 62:8

5/5 - (1 vote)