Iss Unwan me Quran ke Fazail ke taaluk se Hum chand Ahem Fazilate aapke samne rakhne ki koshish karenge jo Duniya ki Zindagi, Qabr ki Zindagi aur Aakhirat me Fayde ka bayis hongi.
Aur Isko chorrne se Duniya me, Qabr me aur Aakhirat me kya-kya nuqsaan hoga ? , wo badi-badi Fazail In’sha’Allah-Ul-Azeez!! Allah ki kitab aur Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki Sunnat ke hawale se Aapke samne rakhne ki hum koshish karenge.
✦ FAZAIL 1: Quran Hidayat ki Kitab hai –
Sabse pehli baat ke Quraan kitabe hidayat hai! jo gumraahi se logon ko nikalti hai aur sidhey rastey par le aati hai. kyunki Nabi-e-Karam (Sallallahu Alaihay Wasallam) jab aaye aur apni Qoum ko jo Dawat di sabse pehle unko Gumraahiyo se nikaala aur hidayat ki taraf bulaya.
Tou Quraan Kitabe Hidayat hai , ye Iska buniyadi maqsad hai ke sari Insano ko hidayat ki taraf bulaye, Inhe Sirate Mustaqeem bataye aur uspar chalaye.
» Tou Quran Kitabe Hidayat hai yaad rakhiye aur Iska padhne wala siway Hidayat ke aur kuch nahi haasil karta , Iske Radd (Khilaaf) me baaz log kehte hai ke “Quraan ke padhney se Gumraahi aati hai” In’sha’Allah hum aakhir me iss bewakufana baat ke talluk se wo Shaq-o-Shubhat aapke samne rakhne ki jarur koshish karenge.
✦ Quraan ke Kitab-e-Hidayat hone ke talluk se Allah Rabbul Izzat farmata hai:
“ Aye Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Aapke paas Aapke Rab ki taraf se ek khuli Daleel aur Nishani aa chuki aur Hidayat aa chuki hai aur Rehmat aa chuki hai. ”
– (Surah Al-Anaam: 6:157)
“ Ye Quraan tou Aye Nabi Hidayat hai Momineen ke liye ”
– (Surah An-Nahal: 27:77)
Tou Quraan Insan ko haq ki taraf bulata hai, aur Iski misaale angeenat Aahadees me milti hai ke kis tarha se Sahaba (RaziAllahu Anhu) ne Quraan suna aur mutaseer hue, Imaan laye aur unki zindgiya jo jahalat me thi, Gumraahi me thi wo kaisi tabdil hui aur Iss kitaab ko jab apni zindagi me le liya tou kaise duniya ko in logon ne badal diya, tabdeel kar diya.
Sahaba (RaziAllahu Anhu) jo Registaan me Bakariya aur Unth Charatey they, lekin jab Inhi logon ne Quraan ko thama tou Aaj ye Roshni ke minaar ban gaye, ye Sirat-e-Mustaqeem par meenar jaise kaam karte hai, logon ke liye inki zindagiya hidayat aur namoona ban gayi.
» Warna Pehle inhe koun pehchanta ? Aise Hazaro Qoume aur Nasle aayi aur Naist-o-Nabood bhi ho gayi, Aaj koi Unka Naam bhi nahi leta hai ,..Lekin ye Quran tha Jisne Unn Sahaba ki Zindagi me tabdili laayi aur inhe aisa badla ke rehti Duniya tak inka naam liya jayega, iss kitab me ye taqat hai.
• In’sha’Allah ! Agley part me Hum unn chand Sahaba ka zikr karenge jinke Quran se Mutasir ho kar Imaan laaney ki dastaan aaj bhi Qabile Gour hai tamam puri Insaniyat ke liye.
To be Continue …