Youm-e-Arfa ka Roza aur Uski Fazilat

Arfa – 9 Zil Hijja ka Roza 2022 (India)

India me Youm-e-Arfa ka Roza Saturday, 9 July 2022 ko hoga.

SEHRI 4:22 | IFTARI 7:17 (Mumbai, Pune)

<<<<<<<<< ۞ >>>>>>>>>

Mafhum-e-Hadees

Youm-e-Arfa ke Roze ki Fazilat

Abu Qatada (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke,
Rasool’Allah (ﷺ) se Youm-e-Arfa (9 Zil Hajj) ke Rozey ke baarey me poocha gaya tou Aap (ﷺ) ne farmaya: “Is din ka Roza guzishta(guzre hue) saal aur aainda(aane wale) saal ke Gunnaho ka kaffara hai.

📕 Sahih Muslim, Kitabul Siyaam, Hadith no. 367

Read More

4.9/5 - (14 votes)
Hadees: Dhul Hijjah ke Amaal-e-Swaaleh ki Fazilat

Hadees: Dhul Hijjah ke Amaal-e-Swaaleh ki Fazilat

Hadees of the Day

Dhul Hijjah ke Amaal-e-Swaaleh ki Fazilat

Ibn Abbas (R.A) bayan karte hain ke, Rasool’Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:

Ashrah Dhul Hijjah ke Amaal-e-Swaaleh Allah Ta’ala ko Jis Qadar Mahboob wa Pasand hain, Dusre dino ke Aamal iss Qadr mahboob nahi.

Sahaba-e-Kiram (R.A) ne arz kiya: “Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! Dusre dino ka jihaad bhi ?”

Aap (ﷺ) ne farmaya:

“Dusre dino ka Jihaad bhi iss Qadr mahboob nahi, haan! Mujaahid apni jaan aur maal Allah Ta’ala ke raastey me Qurbaan kar dey tou aisa Jihaad afzal aur pasandeedah ho sakta hai.”

📕 Bukhari, Tohfatul Ahwazi Jild 2 Pg 58,

Read More

5/5 - (3 votes)
Ashra Zul-hijjah mein qasrath se Karne waale Amaal

Ashra Zul-hijjah mein qasrath se Karne waale Amaal

1 se 13 Zul Hijjah ko Sooraj Ghuroob Hone Tak Padhi Jane Wali Takbeeraat

الله اكبر الله اكبر لا اله الا الله والله اكبر الله أكبر ولله الحمد

Allah Sabse Bada hai, Allah Sabse Bada hai, Allah ke Siwa koi Ma’bood nahi, aur Allah Sabse Bada hai, Allah Sabse Bada hai, aur Allah ke Liye hi Sab Tareef hai.

📕 Musannaf Ibn Abi Shaybah: 5694

Read More

5/5 - (3 votes)
जो क़ुरबानी ना कर सके वो क़ुरबानी का सवाब कैसे पाए ?

जो क़ुरबानी ना कर सके वो क़ुरबानी का सवाब कैसे पाए ?

जो शख़्स कुरबानी करने की ताक़त नहीं रखता हो उसे कुरबानी करने का सवाब कैसे मिलेगा?

रसूलअल्लाह (ﷺ) ने एक आदमी से फ़रमाया :

मुझे कुरबानियों वाले दिन को ईद बनाने का हुक्म दिया गया है जिसे अल्लाह तआला ने इस उम्मत के लिए मुकर्रर फ़रमाया है। 

उस शख़्स ने अर्ज़ किया अगर मेरे पास दूध वाली बकरी के इलावा कोई और जानवर कुरबानी के लिए न हो तो फरमाइए क्या मैं उसे ही ज़बह कर दू ? 

आप ने फ़रमाया नही! लेकिन तू (कुरबानी वाले दिन) अपने (जिस्म के) बाल काट ले , नाखून और मुंछे तराश ले और ज़ेरे नाफ बाल साफ़ कर ले अल्लाह तआला के यहां तेरी तरफ़ से यहीं मुकम्मल कुरबानी शुमार होगी।

( सुनन निसाई #4370 / सहीह )

5/5 - (1 vote)
Khassi janwar ki Qurbani kya jaiz hai?

Khassi janwar ki Qurbani kya jaiz hai?

Ji Haa! Khassi kiya hua Janwar Qurbani me istemal karna Sunnat se sabit hai, tafseeli jankari ke liye post me di hui hadees ka muta’ala kare…

Qurbani ki Niyat / Dua kya hai?

Qurbani ki Niyat / Dua kya hai?

Qurbani ki Dua, Qurbani ki niyat se murad woh Dua hai Jo Sunnat se Sabit hai. « Bismillaahi wallaahu ‘Akbar » [Sahih Muslim: 1965]

Qurbani kin logon par Farz hai ?

Qurbani kin logon par Farz hai?

Qurbani Wajeebi hukm nahi ikhtiyari mu’aamla hai. Lihaja jo Qurbani karne ki taqat rakhta ho woh Qurbani kare…

Qurbani kis din karna Afzal hai?

Qurbani kis din karna Afzal hai?

Qurbani Eid ke Din Namaz ke baad karna Afzal hai, agarche Qurbani Ayyame Tashreeq yaani 4 din tak kar sakte hai…

Qurbani ke kuch Aham Ahqam aur Masail

♫ Qurbani ke kuch Aham Ahqam aur Masail

♫ Ek Azeem Waqia – Hum Qurbani kiyon karte hai ?

♫ Qurbani kis par wajib hai ?

♫ Qurbani ke kuch Aham aur Maqsoos Ahkam aur Masail

۞ Related Post:

5/5 - (1 vote)

Qurbani Kya Hai ?…

♥ Mafhoom-e-Hadees: Zaid Bin-Arkam (RaziAllahu Anhu) Se Riwayet Hai Ki, Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke …

Read More