Jis Shakhs Ko Sirf Duniya Ki Fikr Ho Tou ….

♥ Mafhoom-e-Hadees (Roman Urdu)

Abdul Rahman (R.A) se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya:

“Jis shakhs ki fikr sirf duniya ho, Allah Ta’ala uske kaam me pareshani daal deta hai. Uski muflisi (ghurbat) dono aankhon ke darmiyan kar deta hai. Aur duniya usko sirf utni hi milti hai jitni uski taqdeer me likhi hoti hai.

Lekin jiski niyat aakhirat ki taraf ho, Allah Ta’ala uske sab kaam durust kar deta hai. Uske dil me be-parwahi daal deta hai. Aur duniya bhi bina shuba uske paas aa jaati hai.”

📕 Sunan Ibn Majah


👉 Lesson:

  • Sirf duniya ki fikr insaan ko pareshani aur tangdasti ki taraf le jaati hai.
  • Aakhirat ki niyat banane se Allah Ta’ala duniya aur deen dono me barkat ata karta hai.
WhatsApp Channel Join Now
Telegram Channel Join Now

Leave a Reply