Aur yaqeenan jo koi Sabr se kaam le, aur darguzar… jo koi Sabr se kaam le, aur darguzar kar jaaye "Aur yaqeenan jo koi Sabr se kaam le, aur darguzar kar jaaye, tou yeh badi Himmat ki baat hai." 📕 Surah Shora 42:43
Narmi Ikhteyar karo, Sakhti aur badzubani se apne… Narmi Ikhteyar karo, Sakhti aur badzubani se bacho Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Narmi Ikhteyar karo, Sakhti aur badzubani se apne aap ko bachao." 📕 Bukhari; Hadees: 6401
Hadees ke muamle me chaan-bin aur Ahtiyaat Hadees ke muamle me chaan-bin aur Ahtiyaat Allah Rabbul Izzat Quran-e-Kareem me fermata hai: Aur humne Aap(ﷺ) ki taraf Zikr naazil kiya hai taake Aap logon par in taleemaat ko waazeh kare jo inki taraf naazil ki gayi hain taake wo Gour-o-fikr karen. 📕 Al-Quran; Surah Nahal 44 Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: Yaad rakho! mujhe Quran-e-Majeed aur iske saath is jaisi ek aur cheez (Sunnat) di gai hai). 📕 Abu Dawood: as Sunnah, Baab Fee luzoomus Sunnah 4604)…
73 Firqon wali Hadees : Jannati Firqe me Hum Ummid… Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ka farmane Aalishan hai ke,“Meri Ummat 73 Firqon me bategi, sab jahannumi honge, sirf 1 Firqa Jannati hoga Jo mere aur mere Sahaba ke Aqeede par hoga”. [Tirmizi Sharif, Jild:2 Safa:255] Ab kuch log Samjhtey hai ke wo Ahle Sunnat-Wal-Jamaat ka Jannati Firqa (Firqa-e-Najia) me se Mai hi Hu aur meri hi puri Jamaat hai, jab ki Iss Jamaat ki khususiyat tou yeh hai ke yeh Quantitatively nahi aayngi balke Qualitatively aaynge. Apni Khususiyat se nikalkar, alag alag…
Hadees: Jisne Ramzan ke Roze rakhe aur is ke baad… Hadith: 6-June: ✦ Roman Urdu: Abu Ayyub (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Jisne Ramzan ke Roze rakhe aur is ke baad Shawaal ke 6 Roze rakhe tou goya is ne poore saal ke roze rakhe." ✦ हिंदी हदिस: अबू अयूब (र.अ) से रिवायत है के, अल्लाह के रसूल (ﷺ) ने फ़रमाया: " जिसने रमज़ान के रोज़े रखे और इस के बाद शवाल के 6 रोज़े रखे तो गोया इस ने पूरे साल…
Hadees: Logon ko Deen sikhaao aur aasaniya paida… Logon ko Deen sikhaao aur Aasania paida karo Hadees: Abdullah Ibne Abbas (R.A.) se riwayat hai ke,Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Logon ko Deen sikhaao aur aasaniya paida karo, tangi paida na karo." 📕 Musnade Ahmed, Hadees 2136
Sona aur Chandi Ki Zakat Kaise aur Kitni De? https://www.youtube.com/watch?v=cxscBeqAoTw Sona aur Chandi Ki Zakat Kaise aur Kitni De? Sone aur chandi ke Zakat ke masail , How to Give Zakah On Gold And Silver & How Much, chandi ki zakat ka nisab, sone ki zakat nikalne ka tarika, sadqa aur zakat mein farq in urdu, zakat kitni hoti hai in urdu, sone ki zakat
Allah Hates: Allah Ta'ala uss shakhs se Nafrat karta… Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne irshad farmaya ke - "Allah Ta'ala uss shakhs se Nafrat karta hai jo sakht mijaz ho, Zyada khane wala ho, Bazaro me chikhne wala ho, Raat me murde ki tarah (padaa sota rehta) ho, din me gadhe ki tarah (duniyawi kaamo me zikr-e-ilahi ke bagair fansa rehta) ho, Duniya ke muamlo ka jaan'ne wala aur Aakhirat ke Umoor se bilkul jaahil (bekhabar) ho." 📕 Ibn Habban: 1/274
Puraa Badla De Diya Jayega: Hadees Hadees: Hazrate Sa'ad bin Abi Waqqas (R.A) bayan farmate hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki - "Allah ki Raza (Allah ko Raazi Karne) ke liye jo bhi Tumne Kharch kiya Uska Tumhe Allah se pura pura badla de diya jayega, Yaha Tak ki Agar Tumne apni Biwi ke Mooh me Niwala bhi Rakha hoga tou uska bhi." 📕 Sahih Bukhari Book 2, Hadees 53
Nikah Nigaah aur Sharmgah ki hifazat karta hai aur… Nikah Nigaah aur Sharmgah ki hifazat karta Hadees: Abdullah bin Masud (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne Irshad farmaya - "Aye Jawaano Jo Tum me se Aurato ke Hakooq (Haq) ada karne ki Taaqat rakhta hai tou wo Nikah zaroor kare, Kyunki Nikah Nigaah ko Zukaata hai aur Sharmgah ki Hifazat karata hai Aur jo iski taaqat na rakhe tou woh Roza rakhe kyunki ye Sehwat (Waasna/S*x) ko kum karta hai." 📕 Bukhari Sharif, Jild 3,…
Gaali Galoch karne Waale Shaitaan hai: Hadees Gaali Galoch karne Waale Shaitaan hai: Hadees Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaaya -"Gaali-Galoch karne waale Dono Shaitan hain,Woh Ek-Doosre par Ilzaam Lagaate aur Jhoot boltey hain." 📕 Musnad-e-Ahmad, Hadees: 17483 Ek aur riwayat me aata hai ke - Hadees: RasoolAllah (ﷺ) farmatey hai ke:"Ek Munafiq ki Alamat hai Gaali dena.” 📕 Sahih Al-Bukhari, Hadees: 2459 Afsos ki baat hai -- Aaj ye Khabahat yeh Burayi Ummat-e-Muslima ko Nasoor ki tarha lag gayi hai.- Chote Se Chote Ikhtelaf me bhi Gaali…
Hadees: Apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke… Apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke liye bad-dua mat karo! Jabir (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Tum apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke liye bad-dua mat karo! kahin qubooliyat ka waqt ho aur Allah us bad-dua ko qubool kar le (phir tum pachhtaate raho)." 📕 Muslim, Hadees 7705
Usne Iman ki Mithaas ko paa liya (Hadees) Usne Iman ki Mithaas ko paa liya Anas (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya : Teen (3) Khaslate Aesi hai ki Jisme ye Paida ho jaye Uss ne Emaan ki Mithaas ko paya. ∗1. Pehli ye ki Allah aur Uske Rasool (ﷺ) ke Nazdeeq sab se Ziyada Mehboob ban jaye. ∗2. Doosri ye ki woh Kisi Insan se Mahaz Allah ki Raza ke liye Mohabbat rakhe. ∗3. Teesri ye ki woh Kufr me wapis Loute Jane ko…
Asslamu Alaikum Sister,
isme likha hai ke,
Allah us Shakhs par reham kare jo Bechte wakt, Kharidte wakt aur len den ke saude karte wakt narmi se kaam leta hai.
means Allah aise bande ko pasand karta hai.
PLZZ ap thore easy words bhi likha kre side me q.ki bahot se log ayse hai to pura nhi smjha pate mai new Islam me aai hu to muje smjh nhi ata
Asslamu Alaikum Sister,
isme likha hai ke,
Allah us Shakhs par reham kare jo Bechte wakt, Kharidte wakt aur len den ke saude karte wakt narmi se kaam leta hai.
means Allah aise bande ko pasand karta hai.