Allah Rabbul Izzat Qur’an Kareem mein farmata hain:
“Beshaq jo log apne deen ke tukde-tukde kar chuke hain aur firqo-firqo mein taqseem ho chuke hain, unka aapka (Aye Nabi ﷺ) koi ta’alluq nahi. Unka mu’amla sirf Allah ke hawale hai, phir jo kuch bhi woh duniya mein kiya karte the, Allah unhein bata dega.”
– (Surah Al-Aan’am: Ayat 159)
Tafseer aur Hadees ka Mafhoom
RasoolAllah (ﷺ) ne is ayat ka tafseer khud bayan farmaya:
Umar bin Khattab (R.A) se riwayat hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne Ummul Mo’minin Ayesha (R.A) ko farmaya:
“Jo log apne deen ke andar mukhalifat karke firqo-firqo mein bant gaye, wo log biddati hain. Wo apne-apne nafs ki tabedari karte hain. Unki koi taubah qubul nahi hogi. Mai un logon se na khush hoon aur wo bhi mujh se na khush hain.”
– [Tafseer Ibne Kaseer, Vol 2, Page 263; Mazmaul Zawayed, Vol 2, Page 75, Tabrani]
Wajahat: Humara Haal
Afsos ki baat hai ke aaj humari zindagi ke tamaam shobey Kitabo aur Sunnat se khaali hain:
- Humare tamaam aamaal RasoolAllah ﷺ ki sunnat ke barkhilaf hote hain.
- Allah Ta’ala hume us Nabi ki sunnat par amal ki hidayat de raha hain, jo Imam-ul-Ambiya hain.
- Lekin hum aksar unki baatein chhod kar apni manmani, falan-falan ki baaton par amal karte hain.
- Quran aur Hadees ko chhod kar hum jahilana aqeede par iman late hain.
- Mafadparast logon ki baaton me aa kar firqo mein bant jate hain.
Biddat aur Shirk se Hifazat
- Hum khud ko Aashiq-e-Rasool, Ahle Sunnat wal Jamat samajhne lagte hain, lekin woh bhi aksar biddat aur khurafat hoti hain.
- Rasool Allah (ﷺ) ne khule taur se shirk aur biddat ko mana farmaya hai.
- Allah hume la-ilmi aur jahalat ke fitno se bachaye.
Dua aur Hidayat
Insha’Allah, Allah Ta’ala se dua hain:
- Hume tamaam kism ki gumrahi se bachaye.
- Shirk aur biddato se humare iman ki salamati ata farmaaye.
- Jabtak Zinda rahe Islam aur Iman par qaim rakhe.
- khatma humara iman par ho.
Wa Akhiru Dawana, Alhamdulillahi Rabbil A’lameen!