Ayatul Kursi | Transliteration | Ahmiyat aur Fazilat | Mp3 Download

♫ Ayatul Kursi Mishary-Al-Afasy With Urdu Tarjuma Ayatul kursi arabic mp3 free download

Ayatul Kursi

Ayatul Kursi in Roman Urdu Transliteration,
Ayatul Kursi ki Ahmiyat aur Fazilat Quran wa Sunnat ki Roshni mein …

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

❝ Allahu laa ilaha illa Huwa, Al-Hayyul-Qayyum.
La ta’khudhuhu sinatun wa la nawm,

lahu maa fis-samawati wa maa fil-‘ard.
Man dhal-ladhi yashfa’u ‘indahu illa bi-idhnih.

Ya’lamu ma baina aidihim wa ma khalfahum,
wa la yuhituna bi shai’im-min ‘ilmihi illa bima shaa’a.

Wasi’a kursiyuhus-samawati wal ard,
wa la ya’uduhu hifdhuhuma Wa Huwal ‘Aliyyul-Adheem. ❞

[ Al Quran; Surah Baqrah 2:255 ]

Tarjuma :

“Allah hi Mabood hai barhaq hai, Uske siwa koi Mabood nahi hai, wohi humesha Zinda aur Qayam rehne wala hai, Usey tou na Oongh aati hai na hi Nind aati hai, Har cheez ussi ki hai jo Aasmaanon me aur Zameenon me hai,

Kaun hai ke Uski Ijaazat ke baghair uss se kisi ki sifaarish kare, jo logon ke Roo-ba-Roo ho raha hai aur jo unke peeche ho chuka hai, woh sab Allah ko khoob maloom hai. aur woh Allah ke Ilm me se zarra barabar bhi kisi cheez par koi Ahaate nahi kar sakte magar jis qadar chaahe,

Ussi ki baadshahi (aur Ilm) Aasmaanon aur Zameen me sab par haawi hai aur Allah ko unki hifaazat koi dushwaar nahi, wo bada Aali Rutba aur Jaleel-ul-Qadir hai.”

📕 Aayatul Kursi (Surah Baqrah 2:255)


Aayatul Kursi ki Fazilat:

Aayatul kursi ke fazilat ke talluk se Allah ke Rasool (ﷺ) Mubarak farman:

1. Har Cheez ki koi Bulandi hoti hai, Quraan ki bulandi Surah-Baqrah hai Usme ek Aayat sab Aayato ki Sardar hai. Matlab Ayatul Kursi. 

📕 Hadith: Tirmizi Sharif

2. Raat ko soney se pehle Ayatul Kursi padhne waale ke liye Allah ki taraf se ek farishta hifazat ke liye Muqarar kar diya jata hai aur uskey paas shaitan nahi aata.

📕 Hadith: Bukhari Sharif

3. Jisko Shaitani wasaawis aatey hai wo Aayatul Khursi tilawat kar ley.

📕 Hadith: Sahih Bukhari

♥ In’sha’Allah-ul-Azeez! Allah Taala hume Kehne Sun’ne se jyada Amal Ki Taufik.




WhatsApp Channel Join Now
Telegram Channel Join Now

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *