✦ Mafhum-e-Hadees:
Abdullah bin amr bin aas (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya ki,
Qayamat ke din Allah Subhanahu Ta’ala meri Ummat me se ek shakhs ko juda karega aur uske Gunaho ke 99 daftar khole jayenge, har daftar itna bada hoga jaha tak insan ki nazar pahuchti hai. phir Allah Subhanahu Ta’ala farmayenge ki “Kya Tujhe ismein se kisi baat (Gunaah) ka inkar hai , kya mere likhne wale Muhafiz Farishto ne tujh par Zulm kiya hai ?.”
Wo arz karega “Nahi ya Rabb!.”
Phir Allah Subhanahu Ta’ala farmayenge ki “Humare paas teri ek Neki hai Aaj tujh par Zulm nahi hoga phir kagaz ka ek tukda nikala jayega jis par ‘Ashhadu Alla ilaha il-Allahu, Wa ash-hadu anna Muhammadan Abduhu Wa Rasuluh’ Likha hua hoga, Allah Subhanhu Ta’ala farmayega ki Meezan (Tarazu) ke Paas hazir hoja.
Wo kahega ‘Ya ALLAH unn (Gunaho ke) daftaro ke Samne is chotey se kagaz ka kya wazan hoga ?.’
Allah Subhanahu Ta’ala farmayega ki “Aaj tujh par koi Zulm nahi hoga.”
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya “phir ek palde me wo 99 daftar rakhe jayenge aur dusre palde me kagaz ka wo tukda rakha jayega. daftaro ka palda halka ho jayega jabki wo (kalme wala) kagaz ka tukda bhari ho jayega.”
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya ki “Allah Subhanahu Ta’ala ke Naam ke barabar koi cheeez nahi ho sakti.”