Pabandi se Namaz ada karne ki Fazilat aur Ahmiyat RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jo Shakhs Namaz Pabandi se ada karega tou Yeh Uss ke liye Qayamat ke din Noor hogi, (Iskey Imaan aur Allah se iski wafadari ki) daleel hogi, aur (Jahannum se) Nijaat ka sabab ban jayegi." "Aur Jo Shakhs Namaz ki Pabandi nahi karega tou Namaz Uss ke liye Roshni, Daleel aur Nijaat ka sabab nahi banegi aur woh Qayamat ke din Qaroon, Hamaan aur Obai bin Khalaf ke saath hoga." 📕 Ahmed: Hadees 6576
Beshaq Namaz Behayai aur Burey Kamo se Rokti hai Beshaq Namaz Behayai aur Burey Kamo se Rokti Allah Ta'ala farmata hai: "Aye Rasool ! Jo Kitaab Tumhare Paas Nazil ki Gayi hai Uski Tilawat karo aur Pabandi se Namaz Parho, Beshaq Namaz Behayai aur Burey Kaamo se Baaz(Rokti) Rakhti hai aur Allah ki yaad yakinan bada Martaba rakhti hai aur Tum Log jo kuch karte ho Allah Uss se wakif hai." 📕 Al-Ankabut 29:45
Namaz Ki Niyat Ka Tarika | Qurano Sunnat ki Roshni me Rasool'Allah (ﷺ) Ne Farmaya: ❝ Amalo’n ka Daromadar Niyyato’n par hai.❞ [ Bukhari: Bida Al Wahee 1, Muslim: Al Imaarah 1907] is liye zaroori hai ke hum apne tamam (Jayez) amaal me (sab se pehle) pur Khuloos Niyat kar liya karey kyunke jaisi Niyyat hogi waisa hi Ajar (badla) milega. Wuzu karte waqt dil me ye niyyat karei’n ke Allah ke huzur (Namaz me) hazir hone ke liye Taharat (Wuzu) karne laga hu’n aur phir jab Namaz padhne lagein tou…
Qarz Ke Adayegi ke Baigair Momin Ki Rooh Jannat se Mehroom Qarz Ke Adayegi ke Baigair Momin ki Rooh Jannat se Mehroom Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya - "Momin ki Rooh Uss Waqt tak Jannat me Jaane se Rooki Rehti hai Jab tak ke Uska Qarz Ada naa kiya jaye." 📕 Sunan Ibn Majah, Hadees 570 –Sahih
Kya tum ye Khayal Karte ho ke Aise hi Jannat me Chale Jaoge? Allah ki Madad Qareeb hai "Kya tum ye Khayal Karte ho ke Aise hi Jannat me Chale Jaoge ? halaan ke ab tak tum par wo halat nahi aaye jo tumse pehle logo par aaye they,Unhe Bimariyan aur Musibato ne is tarah gher liya ke, yaha tak ke Wakt ke Rasool aur unke Sath wale Neik log pukaar uthey ke "Allah ki madad kab aayegi ?"(phir unhe tasalli di gayi ke) Haa! Allah ki Madad Karib hai." 📕 Al Quran…
Jannat Mein Le Janewale Aamaal by Adv. Faiz Syed https://www.youtube.com/watch?v=fuDiLe6YE4w Jannat Mein Le Janewale Aamaal What is jannah, Concept of Jannah in islam, levels of jannah, Jannah As Defined in Islam, How Is Heaven, All about jannah, paradise, garden of eden , jannat ka bayan, jannat ki naimat, pleasures of paradise in islam jannat mein jane ki dua
5 Waqt ki Namaz me kitni Rakat hoti hai by Adv Faiz Syed https://www.youtube.com/watch?v=O2bmfwn30MY 5 Waqt ki Namaz me kitni Rakat hoti hai Janiye 5 wakt ki Namaz me kitni Rakat hoti , Fazr Zuhr Asr Maghrib aur Isha me kitni rakat hoti hai by Aalim Adv. Faiz Ali Sayed People also search as 5 time Namaz Chart in Hindi, Namaz Rakat Sunni Bayan, Urdu me Namaz ki timing, Namaz ka azab, Namaz ka bayan, Namaz ki karamat, Namaz ki fazilat, Namaz ki ahmiyat, Namaz ki barkat, Namaz ki niyat, Faiz syed Namaz…
Uski 40 Din Namaz Qabool nahi hoti Hadees of the Day Uski 40 Din Namaz Qabool nahi hoti Hafsa (R.A) se riwayat hai ke,Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ki: "Agar koi Musalman kisi Majoosi (Qaahin) ke paas jakar kuch daryaft karta hai tou uski 40 din ki namaz qubool nahi hoti." 📕 Muslim Sharif; Vol 2 Page-233 Ek aur riwayat me aata hai ke RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jisne Sharab pi li uski 40 din tak Namaz kubool nahi hogi, phir agar woh Tauba karle…
Jannat me Jaane se Koun Inkaar Karega ? ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallaho Alayhe Wasallam) Farmatey Hai - "Meri Saari Ummat Jannat Me Chali Jayegi Siwaye Uske Jisney Jannat Me Jaaney Se Inkaar Kar Diya.." Sahaaba (RaziAllahu Anhu) Ne Pucha - "Aye Allah Ke Rasool! Jannat Me Jaaney Se Tou Koi Bad-Bakht Hi Inkaar Karega". Aap (Sallallaho Alayhe Wasallam) Ne Farmaya: "Jisne Meri Ita'at Ki Wo Jannat Me Gaya Aur Jisne Meri Nafarmani Ki Usney Jannat Me Jaaney Se Inkaar Kar Diya.." - (Sahi Bhukhari, Kitaab Ahkam) ♥ In'sha'Allah-Ul-Azeez!!!…
Jannat ke Baag kya hai : Hadees Hadees: Abu Huraira (R.A) riwayat karte hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jab tum Jannat ke baago me se guzro tou phal khao." Logo ne arz kiya "Ya RasoolAllah ! Jannat ke baag kya hai? aur uss se kya muraad hai?" RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jannat ke baag Masajid hai aur phal 'SubhanAllah, Alhamdulillah, Allahu Akbar' ki tasbih hai.'" 📕 Mishkat Sharif, Hadees 674
Jamat se namaz padhne ki Ahmiyat Hadees of the Day Jamat se namaz padhne ki Ahmiyat TRANSLITERATION Abu Darda (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Teen Aadmee kisi Basti ya Jangal me ho aur phir bhi wo Jamaat se Namaz na parhe tou Unn par Shaitan musallat ho jata hai, Isliye Tum Jamaat ko laazim kar lo. Kyunki Bhediya Ussi Bakri ko khata hai jo Galle se alag ho Jaye." 📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 542
Ahkam-e-Namaz ke Tarjume (Sana, Ruku aur Sajde me kya padhe) Kuch jaruri baate jo hum Namaz me roz padhte tou hai lekin unka Tarjuma/Translation hi nahi jaante, yahi wajah hai ke hum apni namazo me khushu aur khuzu ki kami mehsus karte hai,. lihaja aayiye is post me hum inke tarjuma ka mukhtsar sa mutala karte hai . Sana : Subhanaka Allahumma Wabi Hamdika Wa Tabarak Kasmuka Wata'ala Jadduka Wa Laa Ilaha Gairuka. ✦ Tarjuma / Translation: » Aye Allah! Mai teri paaki bayan karta hoon aur teri taarif karta…
Namaz-e-Asar ki Ahmiyat: Jiski Namaz Asar Qaza Ho Gayee Uska Jiski Namaz Asar Qaza Ho Gayee Uska Hadees: Abdullah Bin Umar (R.A) se riwayat hai ki - RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jiski Namaz-e-Asar Qaza ho Gayee (Yaani nahi padi Uski Misaal aisi hai ke) Uska Ghar aur Maal Sab Loot gaya." 📕 Sahih Bukhari, Namaz Ke Waqton Ka Bayan: Hadees 553