Agar Shohar ke Piche koi Gair Aurat Padi hai tou kya kare ?
Agar koi NaMehram aurat shohar ke piche pad jaye tou kya karna chahiye? us ke Sharr se kaise Shohar ko bachaya jaye, Funny but ilmi – must watch & share this more than more …
Jab 3 Shakhs saath baithey ho tou 2 shakhs Kaanafusi na kare Jab 3 Shakhs saath baithey ho tou Abdullah (R.A) se riwayat hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "jab Teen shaksh saath ho to teesre Shakhs ko chor kar Do log aapas me Kaanafusi (chupke se baat) na karey." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 6288
Al-Quran: Jis Shakhs ne Dunia me Jarra barabar bhi… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Insan Apni Har acchayi aur Burayi Qayamat me dekh lega Allah Taala Quraan me farmata hai: "Jis Shakhs ne (Duniya) me Jarra barabar bhi koi burayi ki hogi tou wah usey aakhirat me dekh lega." 📕 Surah Az-Zalzalah 99:08
Jis Shakhs ke paas koi ilm mehfuz go aur wo usey… 📖 Hadith (Roman Urdu) Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: "Jis shakhs ke paas koi ilm ho aur wo use chhupaye, to Qayamat ke din usay dozakh ki aag ki lagaam pehnayi jayegi." 📕 Sunan Ibn Majah: Arabic 272 | English 261 ✦ English Hadith It was narrated from Abu Hurairah (R.A) that the Prophet ﷺ said: "Whoever has knowledge and conceals it, will be brought on the Day of Resurrection bridled with reins…
Agar Duniya me Neymate Bagair Aazmayish ke Milti tou ۞ QAUL-E-MUBARAK ۞ Umar Bin Abdul Aziz (R.A.) farmate hai, "Agar Duniya me Neymate Bagair Aazmayish aur Takleef Ke Hoti tou Duniya hi Jannat hoti." 📕 Bujurgo ke Aqwal
Shohar ki Nashukri Karne wali Biwi ka Anjaam ۞ HADEES ۞ Shohar ki Nashukri Karne wali Biwi ka Anjaam Abdullah bin umro (R.A) se riwayat hai ke Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Allah Ta'ala us Aurat ki taraf (Rehmat ki nazar se) nahi dekhega, jo apne Shohar ki Shukr-guzari nahi karti, halan ke wo uske bagair reh bhi nahi sakti." 📕 Silsila Ahadees-e-Sahiha 2018
Aurat Apne Shauhar ke Ghar aur Uske Bacchon ki Zimmedar hai Aurat ki Zimmedari RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : “Aurat Apne Shauhar ke Ghar aur Uske Bacchon ki Zimmedar hai aur Usse Unke Baare me Poocha Jayega.” 📕 Sahih Bukhari, Hadees : 7138📕 Sahih Muslim, Hadees : 1829
Ramadan Day 11 | Khajur se Iftar kare aur Khajur na… Ramadan Quotes: 11th Ramzan ✦ Roman Urdu Hadees: Salman-Bin-Amr (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya:"Jab Tum me se koi Roza Iftar karne lage tou Khajur se Iftar kare aur agar Khajur na miley tou Paani se kare, Kyunki Paani Paak karne waala hai." [Sunan Ibn Majah 1699-Sahih]
Shohar ki Nashukri karna ek tarha ka Kufr hai Shohar ki Nashukri karna ek tarha ka Kufr hai Hadees: Abdullah Ibne Abbas (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne irshad farmaya: "Mujhe Dozakh dikhai gayi, Maine waha Aurato ko jyada paya, wajah ye hai ki woh kufr karti hai." Sahaba-e-Kiram ne Arz kiya - 'Kya wo Allah ke sath kufr(Shirk) karti hai?' Aap ﷺ ne farmaya :'Nahi! Wo Shohar ki Nashukri karti hai! Jo ke ek tarah ka Kufr hai aur Ahsaan nahi manti, agar tu kisi aurat…
Momin tou Aise hotey hai, Jab Allah ka Zikr Aata hai… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Sacche Momin ki Pahchan Allah Taala Quran-e-Majid me farmata hai: "Momin tou aise hotey hai, Jab Allah ka Zikr aata hai tou Unke Dil hil jaate hai, aur Jab Allah ki Aayat unke Saamne padkar sunaayi jaati hai tou wo Aayat unke Imaan ko aur Zyaada kar deti hai, aur wo Allah par Poora Bharosa karte hai. Jo Namaz ki Paabandi karte hai, aur jo kuch Hamne(Allah) Unko diya hai Uss me se Kharch karte hai, Pas…
Jisko Amal piche karde uska Nasab usey Aage nahi kar sakta Jisko Amal piche karde uska Nasab usey Aage nahi kar sakta Ek doosre ki pehchan aur ek doosre ka ta’arruf ho isliye Allah ﷻ ne insano ko mukhtalif ansaab (khandano) me baant diya hai. Agar koi Shakhs Iman na laye, Naik Amal na kare, Roza, Namaz ki pabandi na kare aur kahe ke mai Aala Nasab (Khandan) ka hu, Mai Quraishi/Sayyed Khandan se ta’alluq rakhta hun tab bhi uska ye kehna Allah ke yahan usey koi fayda pohchane wala nahi. Allah ke samne koi ye uzr nahi pesh kar…
Peeth Piche Apne Bhai ke liye Duwa karne ka Faida Peeth Piche Apne Bhai ke liye Dua karne ka Faida RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jis Shakhs ne Apne Bhai ke liye Uski Peeth piche Dua ki tou jo Farishta uske Sath Muqarrar hai, Woh kehta hai: "Aameen! Tumhein bhi Uske Jaisa miley." 📕 Sahih Muslim, Hadees: 2732 (6928)
Nek Mard ke liye Nek Aurat is aayat ka kya Matlab hai https://www.youtube.com/watch?v=ykwjEq-6pxQ Nek Mard ke liye Nek Aurat Quran-e-Majid ke mutabik Nek Mard ke liye Nek Aurat aur Nek Aurat ke liye Nek Mard is Aayat ka kya Matlab hai. Janne ke liye Ahle Sunnat Wal Jamat ke Aalim Adv Faiz Syed ki mukhtsar si video clip ka mutala kare. Aur isey jyada se jyada logon tak pohchane me humara tawoon kare. JazakAllah khair. Speaker: Advocate Faiz Sayed (Islamic Research Center Aurangabad)
Agar Koi Bhul Gaya Aur Kuch Kha Pee Liya .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Roze Mein Bhool Kar Khana Peena 📖 Hadees (Roman Urdu) Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Agar koi bhool kar kuch kha pee le to usay apna roza purna karna chahiye, kyunki Allah ne usay khilaya aur pilaya hai.”(Sahih Bukhari, Vol. 3, Hadith 1933) 📖 हदीस हिंदी अबू हुरैरा (र.अ.) से रिवायत है कि रसूलअल्लाह ﷺ ने फ़रमाया: “अगर रोज़ेदार भूलवश कुछ खा-पी ले तो उसे अपना रोज़ा पूरा करना चाहिए, क्योंकि अल्लाह…
Koi Momin Shohar apni Biwi se Nafrat Na kare Koi Momin Shohar apni Biwi se Nafrat Na kare Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: "Koi momin Shohar apni kisi Momina Biwi se Nafrat na kare. Agar Usey Biwi ki Ek Baat Napasand hogi tou Dusri Zaroor Pasand Aayegi." 📕 Sahih Muslim, Hadees: 3645