Allah ki panaah maangta hu aisey Ilm se jo nafa na de
✦ Hadith: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ki ek dua ye bhi hai –
“Allahumma inni audhu bika min ilmin la yanfaa, wa min duain la yusmaa, wa min qalbin la yakhshaa, wa min nafsin la tashbaa.” 〘 Ya Allah ! Mai panah maangta hu aisey ilm se jo nafa na de, aisi dua se jo suni na jaye aur aise dil se jisme tera khauf na ho aur aisey nafs se jo mutmaeen (satisfied) na ho.〙
Ilm Ki Ahmiyat: Part-4 ✦ Ilm Kya Hai ? Umar Ibne Khattab (RaziAllahu Anhu) Se Ek Martba Sawaal Kiya Gaya Ke: 'Ilm Kya Hai?'Aapne Farmaya: "Ilm Wo Hai Jo Allah Ki Kitaab Me Hai , Yaani Jo Allah Ne Kaha Wo Ilm Hai , Aur Jo Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Kaha Wo Ilm Hai , Aur Koi Shakhs Yeh Kahe Ke 'Mujhe Nahi Malum! Yeh Bhi Ilm Hai,. Yaani Uss Se Koi Sawaal Kiya Jaye aur Jawaab Na Maloom Ho Tou Sach-Sach Keh Dey Ke Mujhe…
Ilm Ki Ahmiyat: Part-3 Ilm Ki Ahmiyat aur Fazilat ke Taalluk se Youn Tou Alllah Rabbul Izzat ne Quraan Me Kayi Ayate Nazil Ki Hi, Insha'Allah Kuch Ka Tazkira Hum Iss Post Me Karne Ki Koshish Karenge: ✦ 1. Ilm Me Barkat Ke Liye Behtareen Dua: “ Wa Qul Rabbi Zidni Ilmaah" (Aye Nabi Dua Kijiye Apney Rabb Se Ke) Aye Allah Mere Ilm Me Ijafa Kar. (Al Quran, Surah Tahaa 20:114) Ye Hukmi Aayat Hai aur Andaja Lagayiye Ke Nabi-e-Kareem (ﷺ) Ko Hukm…
Agar Puri Duniya Bhi Tumhe Nafa Pohchana Chahe to ... Agar Puri Duniya Bhi Tumhe Nafa Pohchana Chahe to Nahi Pohcha sakta Abdullah Ibn Aabbas (R.A) farmatey hai ke (Mere Bachpan me) Mai ek Martaba Aap (ﷺ) ke Sath Unth ke pichey Baitha tha, Tab Aap (ﷺ) ne Mujhe kuch Naseehate ki aur farmaya : "Aye Abdullah! Tum Allah ke Ahqaam ki hifazat karna,Woh tumhari hifazat karega,Tum Allah ke Ahqaam ki Hifazat karo tou tum usey apne samne paoge,Jab Tum koi Sawal Karna (Mangna) tou Sirf Allah se karna. Hatta…
Ilm Ki Ahmiyat: Part-15 Ek Mashoor Aur Maruf Shakhsiyat "Ms. Carleton Fiorina" Jo Ke H.P. Ki CEO Thi, aur Iss Khatun Ne Ek Speech Di Thi Jo HP ki All Worldwide Company Managers Ki Meeting Thi, Usmey Yeh Khatun CEO Thi Uss Zamane me. Yeh Speech Unhone di Hai 26 September 2001 Ko ,.. Yaani 11 Sept 2001 Ko World Trade Center Ka Wakiya Hua Tha Jispar Musalmano Par Ilzam Par Lagaye Ja Rahe They ,.. Unki Speech English Me Thi Hum Uska Tarjuma…
Baaz log Allah ke baare me bina ilm ke jhagdte hai Baaz log Allah ke baare me bina ilm ke jhagdte hai Allah Ta'ala Quran me farmata hai: "Baaz Log Allah ke Baare mein Baghair Ilm ke Baghair Hidayat ke aur Baghair Roshan Kitaab ke Jhagadte hain." 📕 Qur'an, 22:8
Ilm Ki Ahmiyat: Part-2 Ba'Qoul Qurane Majid: "Iqra' Bi'asmi Rabbika Al-Ladhi Khalaqa." - Bus Fir Musalmano Ki Aaneywali Naslo Ne Apne Rabb Ka Naam Lekar Aisa Ilm Haasil Kiya Jo Rehti Duniya Tak Logon Ke Liye Faydemand Sabit hua. Phir Chahey Wo Shariyat Ka Ilm Ho Ya Fir Duniyawi Ilm, (Religious Knowledge or Universal Knowledge) Bina Tafrik Aur Fark Kiye Rab Ka Naam Letey Aur Har Uloom Ko Padh Letey. Aur Naa Sirf Padhtey Balki Har Uloom me Maharat Haasil Kar Li, Balke Inhone…
Allah ka hukum sirf Mujhse Mango / Allah says that… !!! Bismillah hir-Rahman nir-Rahim !!! ♥ Hadith-Qudsi: Allah Subhanahu ne farmaya Mujhse Raah mango, Mujhse khana mango, Mujhse kapda Maango, Mujhse bakshish Maango Abu Dhar (RaziAllahu anhu) se rivayat hai ki, RasoolAllah (Sallallahu Alaihey wasallam) se suna ki Allah taala ne farmaya: "Aye Mere Bando! mainey Zulm ko apney upar Haram kiya hai aur tum par bhi Haram kiya, Tou Mat Zulm karo aapas mein ek dusrey par, Aye mere bando! tum sab Gumraah ho magar jisey main raah batlauu…
Ilm-e-Hadees aur Hadees ki Kisme ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ • Hadees ka ilm sahih aur khalis niyyat ke sath sirf Allah Ta'ala ki raza ke liye haasil kare. • Hadees ka ilm naam kamaane aur duniya ke maqsado ke liye hargiz haasil naa kare warna kuch faydah na hoga. • Allah Ta'ala se dua karte rahe ki iss mubarak ilm ke haasil hone me Allah Ta'ala ki taufeeq haasil rahe, halaat durust rahe, koi rukaawat aur mushkil pesh na aaye aur Allah Rabbul Izzat hadees ke…
Jhoot bolne wale par Allah ki Lanat hai Jhuth bolna Kaisa hai? Jhuth bolna ek Kabeera Gunah (Major sin) hai. Aksar dekha jata hai muashre me fitne aur fasad ki wajah jhuth hoti hai. tou beharhaal is post me hum jhuth ke baare me Qurano Sunnat ki rehnumayi par gour karenge. ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Jhootho par Allah ki Lanat "Beshaq Jhoot bolne waale par Allah ki Lanat hai." "बेशक झूठ बोलने वाले पर अल्लाह की लानत है|" 📕 Surah Aal-e-Imran 3:61 Jhuth Gunah ki taraf le jata hai…
Ilm ki Ahmiyat aur Fazilat: Quran aur Ahadith ki Roshni mein Ilm ki Ahmiyat aur Fazilat: Quran aur Ahadith ki Roshni mein Quran ki Roshni mein Al-Quran: ♥ Allah Ta’ala Yakinan Unn Logon Ko Jo Tum Me Se Imaan Laaye, Aur Jinhone Ilm Haasil Kiya Unkey Darjaat Buland Kar Ke Rahega. – Surat Al-Mujadila 58:11 Ahadith Ki Roshni Mein RasoolAllah (ﷺ) farmate hai: ♥ Ilm Haasil Karna har Musalmaan par Farz hai.– (Miskat P:24) ♥ Ilm Hasil Karna Har Ek Musalmam (Mard Aur Aurat) par Farz Hai.– (Sunan ibn Majah, Vol-1,…
Ilm Ki Ahmiyat: Part-11 Yaad Rakhiye Maazi (Past) me Humare Halaat aise nahi They, Wo Musalman Jo Acche Musalman They Sath Me Duniya Ka Bhi Ilm Khub Rakhtey They. * Badey-Badey Jo Kisi Maslaq Ke Qaazi, Haakim Hua Karte; Sath Me Badey-Badey Scientist Bhi Hua Karte They. Badey-Badey Fun Ke Maahir Bhi Hua Karte They. * Aur Yeh Musalmano Ki Deyn Hai, Aaj Jo Itni Saari Cheeze Hum Dekhtey Hai, Yeh Humare Aslaf Ki Deyn Hai Jiska Duniya Aaj Fayda Utha Rahi Hai ,…
Ilm Ki Ahmiyat: Part-5 Yeh Duniyawi Ilm bhi Yaad Rakhiye Hissa hai Dini Uloom ka Kyunki Bohot se log Samjhtey hai ke Geography, Physics, Mathematics, Biology, Anatomy aur Digar Jo bhi Subjects hotey hai Yeh Sab Islam se Hatkar hai! Jabki yeh Islam ka Hissa hai yaad rakhiye. *Kyunki Jab Insan Zameen aur Aasmaan Ka Ilm Haasil Karta Hai Jis'se Uske Rab Ki Marifat Usey Haasil Hoti Hai Tou Yakinan Uska Imaan Aur Pukhta Ho Jata Hai ,.. • Allah Rabbul Izzat Ne Quraan…
Jo Shakhs Kamaata nahi aur logon se Maangta phirta… Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) farmate hai: "Jo Shakhs (logon se) maangne ka Darwaaza kholta hai, (Kamaata nahi hai aur logon se Maangta phirta hai) tou Allah Ta'ala us par Tangi (Financial Crisis) ka Darwaaza khol deta hai." 📕 Tirmizi, Hadees: 2325
Hadees: Allah ke Hukm ki hifazat karo, Allah tumhari… Allah ke Hukm ki hifazat karo, Allah tumhari hifazat karega Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Tum Allah Taala ke Hukm ki hifazat karo, Allah Taala tumhari hifazat karega." 📕 Tirmizi, Hadees 2516
Jo Ilm ki Talash me Nikla Uske liye Jannat ka Raasta aasan Ilm ki Talash me Jannat ka Raasta RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs ilm Haasil karne ke liye koi Raasta tay karta hai to Allah Ta'ala Uski wajah se Uske liye Jannat ka Raasta Asaan Kar Deta hai." 📕 Sunan Abu Dawood, Hadees: 3643 (Sahih)