Allah Ke Napasandidah Log Quran Ki Roushni Me .... ♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! » Allah Ta'ala Ziyadati Karne Walon Ko Pasand Nahi Farmata. - (Surah:Al-Baqarah, Aayat No:190) » Aur Allah Ta'ala Zaalimo Se Mohabbat Nahi Karta. - (Surah:Al-Imran, Aayat No:57) » Allah Ta'ala Takabbur (Ghamand Se Itrana) Karne Walon Aur Shaikhi Khoron (Badhai Karne) Ko Pasand Nahi Farmata. - (Surah:Al-Nisa,Aayat No:36) » Yaqinan Daga Baaz Gunahgaro Ko Allah Ta'ala Pasand Nahi Karta. - (Surah:Al-Nisa, Aayat No:107) » Aur Allah Ta'ala Fasaad Karne Walon Se Mohabbat Nahi Karta. -…
Al-Quran: Jo log Imaan laaye aur Nek amal kiye woh… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Imaan aur Nek Amal Wale: Makhlooq Mein Sabse Behtar Allah Taala Quran me famata hai: "Jo log Imaan laaye hain aur unhon ne Nek amal kiye hain, woh beshaq saari makhlooq me sab se behtar hain." 📕 Al-Baiyinah 98:7
Jo log iman laaye, Allah unki Burayion ko door kar dega Jo log iman laaye, Allah unki Burayion ko door kar dega Allah Taala Quran me farmata hai: "Aur jo log iman laaye, aur Unhone Neik kaam kiye yakinan hum unse unki Buraiyan door kar denge." 📕 Surah Ankabut 29:7
Jis se Log Bhalai ki Umeed Na rakh paye wo Sabse… ♥ Mafhoom-e-Hadees (Roman Urdu) Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: "Tum mein sabse badtareen shakhs wo hai, jisse log na bhalaai ki umeed rakhein, aur na hi uske shar se mehfooz ho." 📕 Tirmizi, Hadees : 2263 ♥ मफहूम-ऐ-हदीस (Hindi) अबू हुरैराह (रज़ीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है कि रसूलअल्लाह ﷺ ने फ़रमाया: "तुम में सबसे बद्तरीन शख्स वो है, जिससे लोग भलाई की उम्मीद न करें और उसके शर्र से महफूज़ न हों।" 📕…
Maahe Shaban ki Barqat se log gafil hain Maahe Shaban ki Barqat Hadees: Usamah bin Zaid (R.A) riwayat hai ki, unhone RasoolAllah (ﷺ) daryaft kiya ki - "Ya RasoolAllah (ﷺ) main aapko Shaban ke mahine ke alawa kisi aur mahine mein is tarah se (pabandi ke saath) roze rakhte huye nahi dekhta, Aap (ﷺ) ne farmaya ye mahina (Shaban) wo mahina jiski barkat se log gafil hai , aur Rajab aur Ramzan ke mahine ke beech mein ye wo mahina hai jisme aamal Allah subhanahu ke paas uthaye…
Kya tum log Aakhirat ki zindagi ke muqable dunia ki… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ अल्लाह तआला कुरआन में फरमाता है: ❝ क्या तुम लोग आखिरत की ज़िन्दगी के मुकाबले दुनिया की जिन्दगी पर राजी हो गए ? दुनिया का माल व मताअ तो आखिरत के मुकाबले कुछ भी नहीं। ❞ ❝ Kya tum log Aakhirat ki zindagi ke muqable dunia ki zindagi par razi ho gaye ? Dunia ka maal wa matah to aakhirat ke muqable kuch bhi nahi. ❞ 📕 Surah Taubah 9:38 (इस लिये किसी इन्सान के लिये मुनासिब…
Allah ki Zamanat me Rehne Waale log Allah ki Zamanat me Rehne Waale log Hazrate Abu Umamah Al-Bahili (R.A) se riwayat hain ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: Teen (3) Qism ke aadmi aise hain jin ka Zaamin Allah Ta'ala hai: 1. Ek wo jo Allah ke Raaste me Jihaad ke liye nikle, Allah Uska Zaamin hai ya usey wafaat de kar Jannat me dakhil karega, ya Ajar aur Ganimat ke saath wapas lautayega, 2. Doosra wo Shakhs jo Masjid ki taraf chala, Allah uska Zaamin hai ya…
Jo log Sood khate hai woh Qayamat me pagal ho kar uthenege Jo log Sood khate hai woh Qayamat me pagal ho kar uthenege Allah Taala Quran me farmata hai: "Jo log Sood khate hai woh (Qayamat me) uthenge tou uss Shakhs ki tarah uthenge, jisey shaitan ne chhu kar pagal bana diya ho." 📕 Surah Baqraah 2:275
Jo log Allah ke liye Aapas me Mohabbat rakhte hain Allah ke liye Aapas me Mohabbat karne walo ka inaam Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya ke, Allah Ta'ala irshaad farmata hai:"Jo log meri Azmat aur Jalaal ki wajeh se Aapas me Mohabbat rakhte hain, Qayamat ke din unke liye Aise Noor ke Meember honge jin par Ambiya aur Shuhada bhi Rashk karenge." 📕 Jame Tirmizi, Hadees: 2390 ♥ SubhanAllah! Allah Rabbul Izzat hume kehne sun'ne se Jyada amal ki Taufik dey.. Ameen, ya Rabbul Aalameen.
Al-Quran: Aur Baaz log kehte hai ke wo Allah par… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Dil se Imaan Na Laane Waale Log Allah Taala Quran me farmata hai: "Aur Baaz log Aise bhi hai jo (Zaban se to) kehte hai ke Hum Allah par aur Qayamat par Iman Laye , Hala ki Woh Dil se Iman nahi Laaye" 📕 Surah Baqraah 2:8
Aur Baaz log Duwa karte hai ke Aye Hamare Rab Hum ko… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Roman Urdu ۞ Allah Ta'ala Quran-e-Kareem me farmata hai: ❝ Aur Baaz log Duwa karte hai ke Aye Hamare Rab Hum ko iss Duniya me hi de de, Aise Logon ka Aakhirat me koi hissa nahi hai aur Baaz iss tarah Dua karte hai ke, Aye Hamare Rab! Tu hume apni Neymat se iss Duniya me bhi Nawaaz de aur Aakhirat me bhi apni meharbaani se ata farma aur Dozakh ke azaab se bhi najaat De, inhi…
Allah Hates: Allah Ta'ala uss shakhs se Nafrat karta… Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne irshad farmaya ke - "Allah Ta'ala uss shakhs se Nafrat karta hai jo sakht mijaz ho, Zyada khane wala ho, Bazaro me chikhne wala ho, Raat me murde ki tarah (padaa sota rehta) ho, din me gadhe ki tarah (duniyawi kaamo me zikr-e-ilahi ke bagair fansa rehta) ho, Duniya ke muamlo ka jaan'ne wala aur Aakhirat ke Umoor se bilkul jaahil (bekhabar) ho." 📕 Ibn Habban: 1/274
Baaz log Allah ke baare me bina ilm ke jhagdte hai Baaz log Allah ke baare me bina ilm ke jhagdte hai Allah Ta'ala Quran me farmata hai: "Baaz Log Allah ke Baare mein Baghair Ilm ke Baghair Hidayat ke aur Baghair Roshan Kitaab ke Jhagadte hain." 📕 Qur'an, 22:8
3 Tarah ke log jinki Farz aur Nawafil ibadatien… --- Roman Urdu --- Hadees: 3 tarah ke log jinki Farz aur Nafeel ibadatein Qubul nahi Hongi RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: "Teen Aadmee aise hai jinke Farz aur Nawafil Allah Subhanahu Qubul Nahi karega '(Maa Baap ka) Nafarman , Ehsan kar ke jatlane wala aur Taqdeer ko jhutlane wala.'' 📕 Silsila Ahadees-e-Sahiha 1032 --- हिंदी --- हदीस : ३ तरह के लोग जिनके फ़र्ज़ और नफील इबादतें कबूल नहीं होंगी। रसूलअल्लाह (सलअल्लाहु अलैही वसल्लम) ने फरमाया "तीन आदमी…
Qayamat me RasoolAllah ﷺ ke Sabse Qareeb aur Door… Jabir bin Abdullah (R.A) se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Tum me se mujhe sab se zyada Mehboob aur Qayamat wale din mere sab se zyada Qareeb wo log honge Jo tum me se Akhlaaq me sab se zyada acche hongey. Aur tum me se sabse zyada mujhe Napasand aur qayamat wale din mujh se sabse zyada door wo log honge jo Takllluf se zyada baate karne wale, bacchey khol kar taweel guftagu karne wale aur takabbur karne…