“Neki aur Parhezgari ke kaamo me ek dusre ki madad kiya karo. Aur Gunaah wa Zulm par Madad naa karo!, Aur Allah se Daro, Beshaq Allah ka Azaab Sakht hai.”
Maal ko Kharch karo aur Gin Gin kar Na rakho: Hadees Maal ko Kharch karo aur Gin Gin kar Na rakho ۞ Hadees: Asma (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Maal ko (Jayaz) Kharch kar, gin gin kar na rakh, warna Allah Ta'ala tujhe bhi gin gin kar dega (phir Rozi se Barqat khatm ho jayegi) aur Maal ko rok kar na rakh, Warna Allah Taala tujhse Rizq ko rok lega." 📕 Bukhari, Hadees 2591
Haa! Allah ki Madad Kareeb hi hai !!! Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! Aaj Hum Choti Choti Musibato par Allah se mayus ho jatey hai, Allah ki rehmat se Na'ummid ho jatey hai jabki ye Imanwalo ko Zeba nahi deta,.. - kyunki humse pahle Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam), Aapke Sahaba, aur Jo Nek aur Saleh log they unpar Is se Jyada Mushkile aur pareshani Aayi,. lekin iske bawajud wo log Haq par Majbuti ke sath jamey rahe aur Allah ki rehmat se mayus aur Na'ummid na hue ,. Aur Allah…
Allah ki Neymato ka Izhar kiya karo: Hadees Hadees: Amr-bin-Shu'aib (R.A) Aapne Walid se aur Wo Unke Dada se riwayat karte hain ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Allah Subhanahu Ta'ala apne Bande par apni Neymat ka Izhar pasand karta hai." 📕 Jamia Tirmidhi, Jild 2, Hadees 723-Sahih # Sabaq: Yani Allah Subhanahu Ta'ala ki taraf se koi Ne'mat ata ki Gayee ho toh usko Chhupana nahi Chahiye, aur dikhawa bhi is qadr na ho Ke riyakari ke aadi ho jaye. - Lihaja Jab bhi Kisi neymat Ka Tazkira ho…
Aur Har Cheez ka Allah ne joda paida kiya Aur Cheez ka Allah ne joda paida kiya Allah Taala Quran-e-Kareem me farmata hai: "Aur har cheez ko humne joda joda paida kiya hai taaki tum nasihat hasil karo." 📕 Al-Quran; 51:49
Allah bande ki Madad me Rehta hai Allah bande ki Madad me Rehta hai RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : "Aur Allah Bande ki Madad Mein Rahta hai Jab tak Banda Apne Bhai ki Madad me Rahta hai..” 📕 Sahih Muslim, Hadees : 2699
Khana khilao aur Salaam ko Aam karo Khana khilao aur Salaam ko Aam karo Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke - "Tum Khana khilao aur har shakhs ko Salaam karo chahe tum usey jante ho ya nahi jante ho." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 28
Khayanat ka anjam : Khayanat karne walo se Allah Ki… Khayanat ka anjam Hadith-e-Qudsi: Nabi-e-Kareem (ﷺ) farmate hai ke, Allah Ta'ala farmaata hai: "Main 2 saath mil kar kaam karne walon ke saath hota hoon jab tak ke koi sathi khayanat na kare, jab koi ek bhi khayanat karta hai to meri madad uthh jati hai." 📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 3383
Al-Quran: Yateemo ko unke maal de diya karo aur… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Yateemo ko unke maal de diya karo aur kharab maal ko acche maal se tabdeel na kiya karo." 📕 Quran; Surah Nisa 4:2
Hadees: Apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke… Apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke liye bad-dua mat karo! Jabir (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Tum apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke liye bad-dua mat karo! kahin qubooliyat ka waqt ho aur Allah us bad-dua ko qubool kar le (phir tum pachhtaate raho)." 📕 Muslim, Hadees 7705
Ek Jumah Dusre Jumah Tak ke Gunahon ka Kaffara hai Ek Jummah Dusre Jumah Tak ke Gunahon ka Kaffara hai Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Ek Jummah Dusre Jumuah tak ke Gunahon ka Kaffara hai Jab tak Kabeera Gunahon ka Irtikaab na kiya jaye.” 📕 Ibn Maaja, Hadees: 1086 (Sahih)
Hadees: Bhalayi ka Rasta batlaane wala neki… Hadith: 30-June: Abdullah bin Abbas (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ❝ Bhalayi ka Rasta batlaane wala Neki karnewale ki tarah hai. 📕 Tirmidhi 2670
Jisne Tanhayi me Allah ko Yaad kiya aur uske Aansoo… Jisne Tanhayi me Allah ko Yaad kiya aur uske Aansoo Jaari Ho Gaye ۞ Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya, "7 tarah ke log hain jinhe Allah Subhanahu Ta’ala Apne (Arsh ke) saaye me panaah dega, unmein se ek wo bhi hai jisne Tanhayi me ALLAH Subhanahu Ta’ala ko yaad kiya aur uski Aankhon se Aansoo jaari ho gaye.” 📕 Sahih Bukhari, Hadees 6479
Allah se Madad ki Dua - Aye Allah ! tera Inkar… Allah se Madad ki Dua - Quran e Kareem me Allah Taala ne jo hume Madad Mangne ki Dua sikhayi - Aye Allah ! tera Inkar karnewalo ke Muqable me humari madad farma ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah se Madad ki Dua in Arabic ربَّنَا اغْفِرْ لَنَا ذُنُوبَنَا وَإِسْرَافَنَا فِي أَمْرِنَا وَثَبِّتْ أَقْدَامَنَا وانصُرْنَا عَلَى الْقَوْمِ الْكَافِرِينَِ Allah se Madad ki Dua in Roman English "Rabbana-ghfir lana dhunuubana wa israfana fi amrina wa thabbit aqdamana wansurna 'alal qawmil kafireen" Allah se…
Jab Kapda Pehno Ya Wuzu karo tou apne Daahine se Shuru karo ۞ Hadees: Abu Huraira (R.A) se riwayat hai ki, Unhone kaha ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki : "Jab Kapda Pehno Ya Wuzu karo tou apne Daahine se Shuru karo." 📕 Sunan Abi Dawud, Hadees 4141
Ya Allah! meri Madad kar tera Zikr aur Shukr karney… Acchi ibadat ki dua "Allahumma Ainni Ala Dhikrika Wa Shukrika Wa Husni Ibadatika" (Ya Allah! meri madad kar tera zikr karney me, aur tera shukr ada karney me aur teri achchi ibadat karney me) – Sunan Abu Dawood 1509-Sahih ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Ta’ala Quran-e-Majid me farmata hai: "Aur jo meri yaad se ghafil ho jata hai tou hum uss par ek shaitan muqarrar kar detey hain phir wo uska saathi ban jata hai." – Surah Az-Zukhruf 43:36