Padosiyon Ko Takleef Dene Se Baaz Aaya Karo .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ahmad Wa Baiheqi Ne Shoaib-Ul-Imaan Me Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Ki, *Ek Shakhs Ne Arz Kiya - "Ya Rasool'Allah ! Falani Aurat Ke Mutallik Zikr Kiya Jaata Hai Ki Namaz-Wa-Roza Wa Sadka Kasrat Se Karti Hai Magar Ye Baat Bhi Hai Ki Wah Apne Padosiyon Ko Zubaan Se Takleef Pahunchati Hai..." *Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Wah Jahannam Me Hai..." *Unhone Kaha - "Ya Rasool'Allah ! Falani Aurat Ki Nisbat Zikr Kiya Jaata Hai…
Maal ko Kharch karo aur Gin Gin kar Na rakho: Hadees Maal ko Kharch karo aur Gin Gin kar Na rakho ۞ Hadees: Asma (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Maal ko (Jayaz) Kharch kar, gin gin kar na rakh, warna Allah Ta'ala tujhe bhi gin gin kar dega (phir Rozi se Barqat khatm ho jayegi) aur Maal ko rok kar na rakh, Warna Allah Taala tujhse Rizq ko rok lega." 📕 Bukhari, Hadees 2591
Tumhare RAB ne farmaya hai ki Mujhse Dua karo ♥ Bismillahi-r-Rahmani-r-Rahim ♥ "Aur tumhare RAB ne farmaya hai ki Mujhse Dua karo Main tumhari Dua Qubul karunga." - Al-Quran 40:60 ♥ Mafhoom-e-Hadees: Thabit (RaziAllahu Anhu) se rivayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Tum me se har shakhs ko chahiye ki wo apni tamam hajatein apne RABB se hi maange, yaha tak ki namak bhi us se maange, aur agar jute ka tasma (less) bhi tut jaye tou wo bhi usee se maange.." - Jamia tirimizi, Jild…
Allah ke Qalaam ki Pairwi karo Allah ke Qalaam ki Pairwi karo ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Aye Nabi (ﷺ) ! Keh do ke Logon Mai Tum Sab ki taraf Allah ka bheja hua Hoon Yaani Uss ka Rasool Hoon. Wo Jo Aasmano aur Zameen ka Baadshah hai. Uss ke Siwa koi Mabood nahi Wohi Zindagani Bakhashta hai aur Wo Hi Mout deta hai. Tou Allah par aur Uss ke Rasool Paigambar Ummi par Jo Allah par aur Uss ke Tamaam Qalaam par Emaan Rakhte hai Emaan Laao…
Narmi Ikhteyar karo, Sakhti aur badzubani se apne… Narmi Ikhteyar karo, Sakhti aur badzubani se bacho Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Narmi Ikhteyar karo, Sakhti aur badzubani se apne aap ko bachao." 📕 Bukhari; Hadees: 6401
Waade ko poora karo, Beshak poochh hone waali hai Wade ke baare me Beshak poochh hone waali hai "Ahad (Jayaz Waade) ko poora kiya karo; beshak (aise) ahad ke baare mein (tum se) poochh taachh hone waali hai." 📕 Surah Al-Isra 17:34
Aisi baatein kiya na karo : Hadees Aisi baatein kiya na karo : Hadees Hadees: Aas bin Amr Tufaawi (R.A.) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki: "Aisi baatein na kaho jo dusro ko sun'ne me buri lage." 📕 Musnade Ahmed, Hadees 16701
Dil Sahih tou pura Jism Sahih Dil Sahih tou pura Jism Sahih Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: "Jism me ek tukda hai jab wo thik rahega tou pura jism thik rahega aur jab wo kharab ho jayega tou pura jism kharab ho jayega. Soon lo! wo tukda aadmi ka Dil hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees : 52
Apni badhai aur taarif na kiya karo Apni badhai aur taarif na kiya karo Hadees: Zainab Binte Abi Salma (R.A) se mairwi ki,Unka naam badah (Nekokar) tha, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Apna tazkiya na karo (Yaani apni badhai aur taarif na karo) Allah ko malum hai ki tum me bura aur neki wala koun hai, uska naam Zainab rakh do." 📕 Islami Akhlaq-O-Aadab, Page No#269, Hadith 17 Allah Taala hum sabko kehne sunne se jyada amal ki toufiq de. Ameen Allahumma ameen.
Tum Apne kisi Bhai se Jhagda na karo Hadees of the Day Tum Apne kisi Bhai se Jhagda na karo Abdullah ibn Abbas (R.A) se Riwayat hai ke,Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Tum Apne Kisi Bhai se Jhagda Na Karo aur na Us se Aisa mazaq karo (Jis se us ko Taqleef ho) aur Us se aisa Waada na karo jisko poora na kar sako.." 📕 Tirmizi, Hadees 1995 अब्दुल्लाह इब्न अब्बास (रजीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के,अल्लाह के रसूल (ﷺ) ने फ़रमाया: "तुम अपने किसी भाई…
Sureh Kafirun padha karo, Yeh Shirk se aazadi hai Sureh Kafirun padha karo, Yeh Shirk se aazadi hai Hadees-e-Nabwi ﷺ ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Farwah bin Nofal (R.A) se mairvi hai,Unhone Nabi-e-Kareem (ﷺ) ki khidmat me hazir ho kar arz kiya, "Ya RasoolAllah (ﷺ) ! Mujhe koi aisi cheez bataayen jisey Mai bistar par jatey waqt padha karu.' Tou Rasool'Allah ne farmaya "Sureh Kafirun padha karo, Yeh Shirk se aazadi hai." 📕 Sunan Tarimzi, Jild-5, Pg-257, Hadees. 3414
Takabbur aur Dikhawe Wale Aamal se Bacha karo ۞ Hadees: Abu Darda (RaziAllahu Anhu) se marwi hain, Unohne Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) se Arz kiya "Mujhe Wasiyat Farmayiye"! *Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya : "Pakeeza Hunar Ikhtiyar kar, Nek Amal kar, Allah Ta'ala se Har Din ki Rozi Talab Karta Reh aur Apne Aapko Murdon me Shumaar kar! aur Har Insan ke liye Zaruri Hain ki Wo Apne Nek Aamaal par naa itrayen, Kyonki Yeh Aamaal ke Liye Ek Azeem Halaqat Hain! Aisa Aadmi Amal Karke Allah…
Mangne wale ko jhidka na karo (Agar ho tou do warna… ♥ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ♥ ‟ Mangne wale ko jhidka na karo (Agar ho tou do warna bhali baat kaho). ‟ मांगने वाले को झिड़का न करो (अगर हो तो दे दो वरना भली बात कहो)। ‟ मांगण्याराला हाकळवु नका (होत असेल तर द्या अथवा चांगले शब्द बोला). ‟ And do not rebuke the beggar. - (Al-Quran; Surah Zuha 93:10)