Agar Shohar ke Piche koi Gair Aurat Padi hai tou kya kare ?
Agar koi NaMehram aurat shohar ke piche pad jaye tou kya karna chahiye? us ke Sharr se kaise Shohar ko bachaya jaye, Funny but ilmi – must watch & share this more than more …
Koi Aurat Apne Shohar se kisi bhi Aurat ka huliya… ✦ Hadith: Roman Urdu Abdullah-bin-Mas’ud (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Koi Aurat kisi Aurat se mil kar Apne Shohar se uska (Parayi Aurat ka) Huliya na bayan kare goya ke wo usey dekh raha hai." - (Sahih Bukhari; Hadith 5240) ✦ Hadith: English Narrated `Abdullah bin Mas`ud: The Prophet (ﷺ) said, "A woman should not look at or touch another woman to describe her to her husband in such a way as if he…
Kya ghar me Aurat aur mard Aik Sath Jamat bana kar… Kya Ghar me Aurat aur mard Aik Sath Jamat bana kar Namaz padh Sakte hain? 👫👬👨👩👦👦 Jawab: Padh Sakte hain ✔️ 👉 Usme Imam Mard hoga, aur Mard ki Saff (Line) Aage lagegi aur Aurto ki saff (Line) uske baad se lagegi (Chahe 1 hi Aurat kyu na ho) 👉 Hadees: Hazrat Anas Bin Malik se riwayat hai ke Unki Nani Malika ne Rasool'Allah ﷺ ko Khana Taiyar Karke Khane ke liye Bulaya. Aap ﷺ ne Khane ke baad Farmaya…
Jo Mehmaan Nawazi na kare usme koi Khair nahi Jo Mehmaan Nawazi na kare usme koi Khair nahi Hadees: Uqba bin Aamir (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Us shakhs me koi Khair (Bhalayee) nahi jo Mehman nawazi nahi karta." 📕 Musnad Ahmed, Hadees 17419
Agar tumhare paas 4 Cheezein ho tou Agar tumhare paas 4 Cheezein ho tou Abdullah bin Amr (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: ❝ Agar Tumhare paas 4 Cheezein ho tou duniya ki kisi cheez ke na hone ka afsos nahi hoga: 1) Amanat ki Hifazat, 2) Baat me Sachhai, 3) Achchi Aadate, 4) Pakeeza Rozi.❞ 📕 Shoaib Ul Iman, Hadees 5258
Shohar par Biwiyon ke Huquq Kya hai ? ✦ Hadees: Biwiyon ke Huqooq ✦ Muawiyah al-Qushayri (R.A.) se riwayat hai ki,Main RasoolAllah (ﷺ) ki khidmat me hazir hua aur pucha ki 'Hum par Apne Biwiyon ke kya huquq hain.'Aap (ﷺ) ne farmaya: "Jo tum khud khatey ho unko (Apni biwiyon ko) bhi Khilao aur jaisey (Achchey) Kapdey tum pehantey ho unko bhi pehnao aur unko maaro nahi aur unko bura na kaho (yani unki insult na karo, gaali na do)." 📕 Sunan Abi Dawud 2144-Sahih ✦ हदिस :…
Aur yaqeenan jo koi Sabr se kaam le, aur darguzar… jo koi Sabr se kaam le, aur darguzar kar jaaye "Aur yaqeenan jo koi Sabr se kaam le, aur darguzar kar jaaye, tou yeh badi Himmat ki baat hai." 📕 Surah Shora 42:43
Koi Momin Shohar apni Biwi se Nafrat Na kare Koi Momin Shohar apni Biwi se Nafrat Na kare Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: "Koi momin Shohar apni kisi Momina Biwi se Nafrat na kare. Agar Usey Biwi ki Ek Baat Napasand hogi tou Dusri Zaroor Pasand Aayegi." 📕 Sahih Muslim, Hadees: 3645
Hadith: Jab tum me se koi paani piye tou bartan me… Hadith: 29-March: Abu Qatadah (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Jab tum me se koi paani piye to usey chahiye ke bartan me saans na le. -Bukhari 154
Hadees: Agar tum mein se kisi ko khaane ki daawat di… - Roman Urdu - ۞ Hadees: Jabir (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmate hai ke "Agar tum mein se kisi ko khaane ki daawat di jaaye, tou daawat qubool kar leni chaahiye." 📕 Muslim; Hadees 3591 - हिंदी - ۞ हदिस: जाबिर (र.अ.) से रिवायत है के अल्लाह के रसूल (सलल्लाहु अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया: "अगर तुम में से किसी को खाने की दावत दी जाये तो दावत कबूल कर लेनी चाहिए।" 📕 मुस्लिम; हदिस ३५९१ -…
Kya Biwi Shohar ko Zakaat dey Sakti hai? ۞ Mafhum-e-Hadees: Abdullah Ibne Masud (RaziAllahu Anhu) ka ibtedayi dour tha, Aapki Biwi RasoolAllah (ﷺ) ke paas aayi aur kehne lagi ke "Aye Allah ke Rasool (ﷺ) ! Meri Itni-Itni Zakat banti hai , Mai kis ko du, koun jyada Mustahik hai ?" Jab wo Aap (ﷺ) se Mas'ala daryaft kar rahi thi tabhi Abdullah Ibn Masood (R.A) piche se aaye aur kaha ke "Ya Rasool'Allah (ﷺ)! aisi Biwi ke bare me Aap kya farmayenge jo Zakaat tou deti hai…
Shohar ki Nashukri Karne wali Biwi ka Anjaam ۞ HADEES ۞ Shohar ki Nashukri Karne wali Biwi ka Anjaam Abdullah bin umro (R.A) se riwayat hai ke Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Allah Ta'ala us Aurat ki taraf (Rehmat ki nazar se) nahi dekhega, jo apne Shohar ki Shukr-guzari nahi karti, halan ke wo uske bagair reh bhi nahi sakti." 📕 Silsila Ahadees-e-Sahiha 2018
Kya Quran Padhe Tou Amal Karna Padta aur Na Padhe… – Quraan Se Doori Ki Ek Intehayi Ghatiya Wajah Yeh Bhi Hai Ke - "Quraan Padhey Tou Amal Karna Padta Aur Naa Padhe Tou Bach Jatey,.." Subhan’allah!! # Agar Wakay Me “Quran Ko Padhey Tou Amal Karna Padta Aur Na Padhey Tou Chal Jata” Iss Usool Ko Maan Ley Tou Hume Batayiye Sabse Pahle Jannat Ka Mustahik Koun ? ... - Jaahir Si Baat Hai Kaafir Hi Jannat Ke Mustahik Hotey ,.. Wo Tou Kehetey Ke – “Aye Allah Padhna…
Agar Tumhare Zariye Ek bhi Aadmi ko Hidayat mil jaye tou ... Hadees of the Day Agar Tumhare Zariye Ek bhi Aadmi ko Hidayat mil jaye Hazrate Ali (R.A) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Allah ki Qasam! agar tumhare Zariye ek bhi Aadmi ko Hidayat mil jaye tou wo Tumhare liye Surkh Untoun (Camel) se behtar hai." 📕 Muslim, Hadees 2406 Surkh Unthon ki Naslo me se sabse behtareen Nasl hai, aur Allah Uss Bandey se jyada raazi hota hai Jo Logon Me Awaam me hidayat ki Dawat deta hai,…
Hadees: Jo koi apne Ghulam ko Zulm se marega tou… Hadith: 16-April: Ammar bin Yasir (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Jo koi apne Ghulam (naukar wagaira) ko Zulm se marega tou Qayamat ke din maalik se badla liya jayega. 📕 Musnade Ahmed 1399