“Aasmano aur Zameen ki har cheez Allah hi ki hai. Tumharey Dilo me jo kuch hai usey tum Zaahir karo ya chupaaoAllah us ka Hisaab tum sey lega.Phir jisey chahey bakshey aur jisey chahey Saza deaur Allah har cheez par Qaadir hai “
Allah se kis cheez ne gafil kar diya? Allah se kis cheez ne gafil kar diya? Allah Taa'la Quraan-e-Kareem me farmata hai: “Aye Insan! Tujhe Apne Kareem Parwardigaar se Kis Cheez ne Behka diya?” 📕 Surat Ul Infitar Ayat No 6
Aur Har Cheez ka Allah ne joda paida kiya Aur Cheez ka Allah ne joda paida kiya Allah Taala Quran-e-Kareem me farmata hai: "Aur har cheez ko humne joda joda paida kiya hai taaki tum nasihat hasil karo." 📕 Al-Quran; 51:49
Hadees: Allah jab kisi Qaum par Azab nazil karta hai… Unn Fitno se bacho jo khaas Zalimon par hi nahi ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Tum un fitno se bachte raho jo tum mein se khaas Zalimon par hi nahi padhega aur jaan lo ki beshaq ALLAH subhanhu sakht azab karne wala hai." 📕 Surah Al-Anfal 8:25 Allah jab kisi Qaum par Azab nazil karta hai to wo acche aur bure sab logon par aata hai Hadees: Abdullah bin Umar (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "ALLAH jab kisi…
Har Gunaaho ki Magfirat Allah ki taraf se! bashartey… Hadees: Anas-bin-Malik (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ke: Allah Subhanahu Wa’tala farmata hain:“Aye Aadam ke Bete! Jab tak tu mujhe pukarta rahega aur mujh hi se Ummiden wabasta rakhega Main tujhe Muaf karta rahunga chahe tere Aamal jaise bhi hon. aur Main (tujhe bakhshte hue) parwah tak naa karunga. Aye Aadam ke Bete! Agar tere Gunaah aasman ki bulandiyon tak bhi pahoch jayen aur tu Mujh se Muafi mange tou Main tujhe muaf kar dunga aur…
Har taraf phaili hui Qatlo Garat giri me ibadat karna kaisa? Har taraf phaili hui Qatlo Garat giri me ibadat karna kaisa? Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) farmate hai: "Har Taraf Phaili hui Qatl-o-Ghaarat giri mein Ibaadat karna Meri taraf Hijrat Karne ki tarah hai." 📕 Sahih Muslim, Hadees: 2948 (7400)
Al-Quran: Aur Baaz log kehte hai ke wo Allah par… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Dil se Imaan Na Laane Waale Log Allah Taala Quran me farmata hai: "Aur Baaz log Aise bhi hai jo (Zaban se to) kehte hai ke Hum Allah par aur Qayamat par Iman Laye , Hala ki Woh Dil se Iman nahi Laaye" 📕 Surah Baqraah 2:8
Tum hargiz Bhalai ko na pohochoge jab tak apni pyari… Tum hargiz Bhalai ko na pohochoge jab tak "Tum hargiz Bhalai ko na pohochoge jab tak apni pyari cheez Allah ki raah me kharch na karoge. aur tum jo kuch kharch karoge Allah Ta'ala bakhoobi janta hai." 📕 Al-Quran; Surah Aal-e-Imran 3:92
Har Nafs ko Mout ka Maza chakhna hai ( Kullu Nafsin… Kullu Nafsin Zaikatul Mout ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Rabbul Izzat Quran-e-Majid me farmata hai: ❝ Har jaandar ko mout ka mazaa chakhna hai (Kullu Nafsin Zaikatul mout) aur tumhe Qayamat ke din purey purey badley milenge, phir jo koi Dozakh se door rakha gaya aur Jannat me dakhil hua so wo pura Kamiyab hua, Duniya ki Zindagi tou dhokey ke Maal ke siwa kuch bhi nahi hai.❞ 📕 Surah Aal-e-Imran 3:185 MORE QUOTES ABOUT MOUT Ummido aur Mout ke Darmiyan…
Allah Rehman hai aur uska Azab bhi Dardnak hai Allah Rehman hai aur uska Azab bhi Dardnak hai Allah Taala farmata hai: "Mere Bando ko Khabar de do Ki Main bohot bakhshne wala aur bada hi Meharbaan hoon. Aur Saath hi Mera Azab bhi Dardnak hai." 📕 Quran 15:49-50
Khwaab mein Aisi Cheez ko Dekhne ka Daawa Sabse… Sabse Badtareen Jhoot hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Sabse Badtareen Jhoot Yeh hai ki Insaan Khwaab mein Aisi Cheez ko Dekhne ka Daawa kare Jo Uski Aankhon ne na Dekhi Ho." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 7043
Har Neki Qadr ke Qaabil hai Har Neki Qadr ke Qaabil hai Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "(Har neki qaabile qadr hai, is liye) kisi neki ke kaam ko maamooli na samjho, agarche apne bhai se muskura kar milna hi kyun na ho. (kyun ke yeh bhi koyi maamooli neki nahin hai)" 📕 Muslim, Hadees 6857
Allah Hates: Allah Ta'ala uss shakhs se Nafrat karta… Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne irshad farmaya ke - "Allah Ta'ala uss shakhs se Nafrat karta hai jo sakht mijaz ho, Zyada khane wala ho, Bazaro me chikhne wala ho, Raat me murde ki tarah (padaa sota rehta) ho, din me gadhe ki tarah (duniyawi kaamo me zikr-e-ilahi ke bagair fansa rehta) ho, Duniya ke muamlo ka jaan'ne wala aur Aakhirat ke Umoor se bilkul jaahil (bekhabar) ho." 📕 Ibn Habban: 1/274
Har Cheez ke saath accha tareeqa ikhteyar kare Har Cheez ke saath accha tareeqa ikhteyar kare Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Allah Taala ne Har cheez ke saath accha tareeqa ikhteyaar karnaZaroori qaraar diya hai." 📕 Sahih Muslim, Hadees 1955 (5055)
Allah Subhanahu farmata hai 'agar tumne Shirk nahi… Allah Subhanahu farmata hai 'agar tumne Shirk nahi kiya to Main Zameen bhar Magfirat lekar tumse miluga' ۞ Hadees-e-Qudsi: Abu Dhar (R.A.) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki: 'Allah Subhanahu farmata hai - "Neki (ka ajar) 10 guna hai ya main ziyada bhi kar sakta hu, aur Gunah ek hi hai ya mein usko bhi bakhash dun, agar tum Zameen bhar ke Gunah lekar Mujh se is haal mein milo ke tumne Shirk nahi kiya ho tou…