Ek Jumah Dusre Jumah Tak ke Gunahon ka Kaffara hai Ek Jummah Dusre Jumah Tak ke Gunahon ka Kaffara hai Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Ek Jummah Dusre Jumuah tak ke Gunahon ka Kaffara hai Jab tak Kabeera Gunahon ka Irtikaab na kiya jaye.” 📕 Ibn Maaja, Hadees: 1086 (Sahih)
Beti aur Bete me Is Hadd Tak Barabari Kare ✦ Roman Urdu ♥ Mafhoom-e-Hadees: Sayyedina Anas Bin Malik (RaziAllahu Anhu) se Riyawat Hai ke, Ek Shakhs Nabi-e-Kareem (Salallahu Alaihi Wasallam) Ke Paas Baitha Hua Tha Ke Uska Ek Chhota Beta Aagaya, Usne Usey Pakda, Chuma Aur Apne Godh me Bitha Liya, Kuch Der Baad Uski Chhoti Beti Aayi, Usne Usay Pakda (aur Baghayr Chume ) Ek Taraf Bitha Diya, Ye Dekhkar Aap (Salallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya : “Tumne Un Dono Ke Darmiyan Adal Nahi Kiya.” - Silsilatus Sahiha…
MUSLIM AURAT Paiydayish Se Mout Tak - Sis. Amtul Mateen https://www.youtube.com/watch?v=3IJRIX39JIs Muslim Aurat ki Zimedariya Paidaish se lekar Mout tak kya hoti hai ? iske bare me tafsili jankari ke liye aayiye is bayan me mutala karte hai,. baraye meharbani isey jyada se jyada share karne me humara tawoon karey,. jazakAllahu khairan.
Jo Qurbani ka Irada rakhe wo Zilhujja ka chand nazar… Hadees: Umm Salama (R.A.) se riwayat hai ke, Allah Ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: ❝ Jis ke paas Qurbani ka Janwar ho aur woh Usey Eid me Zabah karne ka iradah rakhta ho tou woh Zulhijja ka Chaand nazar aa jane ke baad Qurbani kar lene tak hargiz apne Baal aur Nakhun me se kuch na katein. ❞ 📕 Sahih Al Muslim, Hadees 1977
Apne Maa Baap ko UFF tak na kehna Al-Quran: Apne Maa Baap ko UFF tak na kehna ✦ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ✦ Allah Rabbul Izzat Quraan-e-Majid me farmata hai: Aur tere Parwardigaar ne huqm de rakha hai ke Mere Alaawa kisi ki Ibadat na karna aur apne Maa Baap se Acchha Sulook kiya karna, Agar Unme ka ek ya dono teri maujoodagi me Budhaape ko pahunche (toh unki khidmat karte hue) Tum unko 'Uff' tak bhi na kahna aur na unko zhidakna aur na unko taqleef dena Aur Muhabbat se…
Namaz Qayam karo Fazr se isha tak Namaz Qayam karo Sooraj Dhalne se Raat ke andhere tak aur Quran padho Fazar ke Samay jo Farishto ke haziri ka waqt hota hai...
Tum hargiz Bhalai ko na pohochoge jab tak apni pyari… Tum hargiz Bhalai ko na pohochoge jab tak "Tum hargiz Bhalai ko na pohochoge jab tak apni pyari cheez Allah ki raah me kharch na karoge. aur tum jo kuch kharch karoge Allah Ta'ala bakhoobi janta hai." 📕 Al-Quran; Surah Aal-e-Imran 3:92
Beparda Baaligh Aurton ki Dua qubool nahi hoti jab… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Beparda Baaligh Aurton ki Dua qubool nahi hoti RasoolAllah (ﷺ) farmate hai ke, "Allah Ta'ala tab taq unn Baaligh Aurton ki Dua qubool nahi karta, jab taq wo Hijab (parda) ekhtiyar na kar le." 📕 Abu Dawood, Hadees 641
Hadees: Jhooth se bacho, jhooth Gunah tak le jata hai Jhooth se bacho, jhooth Gunah tak le jata hai Hadees: Abdullah bin Masood (R.A) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Jhooth se bacho, isliye ke jhooth Gunah tak le jata hai aur Gunah Jahannum tak le jata hai." 📕 Muslim, Hadees 6805
Uski 40 Raaton tak Namaz Qabool nahi hogi Uski 40 Raaton tak Namaz Qabool nahi hogi Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki: "Jo Shakhs kisi Ghaib ki khabrein sunaane waale ke paas aaye aur us se kisi cheez ke baare me puche to 40 Raaton tak uss shakhs ki Namaz Qabool nahi hoti." 📕 Sahih Muslim; Hadees 2230 (5821)
Jis Maut se Tum Bhaagte ho Woh Tum tak pahunch kar rahegi Jis Maut se Tum Bhaagte ho Woh Tum tak pahunch kar rahegi Allah Ta'ala Quran-e-Majid me farmata hai: “Jis Maut se Tum Bhaagte ho Woh to Tumhein Pahunch kar Rahegi,phir Tum Sab Chhupe khule ke Janne wale (Allah) ki taraf Lautaye jaoge aur Woh Tumhein Tumhare kiye hue Tamaam kaam bata dega.” 📕 Quran, 62:8