Hazrat Loot Alaihis Salam ka Waqia
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Nabi Loot (Alaihay Salam) Ki Qoum (Qaum e Loot) ko Dardnak Azaab. Wo Jagah Jise Aaj “Dead Sea” ke Naam se bhi jaani jaati hai. (History of “Dead Sea” by Holy Quraan.)
Aziz Dosto!… Allah Ta’ala ne Insaano ko aur Jaanwaro ko jodey me paida kiya. jaise Nar aur Maada, Insaano me Mard aur Aurat banaaye. Taaki woh dono ek dusre ko jayaz tarike se khushi de sakey.
Loot (Alaihay Salam) Ibrahim (Alaihay Salam) ke Zamaane ke Nabi they, Aap Ibrahim (Alaihay Salam) ke bhatije they.
Aap ko Allah Ta’ala ne ek Aisi Qaum ki taraf bheja jo Palestine (Baitul Muqaddas) ya Jordan ke aas paas basi huyee thi. jise Sadoom kahaa jaata tha.
Ye SirZameen Sirsabaj (Green, Hariyaali) aur Shadaab thi. aur yahaa par har tarhaa ka Anaaj (Galla) aur Falo (Fruits) ki Qasrat thi.
✦ Loot (Alaihay Salam) ki Qoum ka Gunaah:
Is Qoum ke liye Loot (Alaihay Salam) ko Nabi banakar bheja gayaa isiliye iss Qoum ko Qaum-e-Loot kahaa jaata hai.
Is Qoum me us waqt Aisi buraayee paayee jaati thi jo unse pahele duniya ki kisi bhi Qoum me nahi paayee gayee. uss Qoum ke Mard (Aadmi) apni Nafsiyaati (Jismaani ) khawaahish ko puri karne ke liye Mardo (Aadmi yo) ke paas jaate they (Homo-Sexuality).
Aur ye be-hayaayee aur buraayee itni aam ho gayee thi ke wo apne iss bure kaam ko bura nahi samjhte they, balki uss par fakhar kiya karte they.
Riwaayato me aata hai ki is Be-Hayaayee ke kaam ki Shuruwaat Shaitaan ne ki, woh ek khoobsurat Noujawaan bankar aaya aur apne saath wahaa ke Mardo ko bura kaam karne ke liye behkaaya. aur is tarha Qoum-e-Loot me ye buraayee paida ho gayee woh log Aurato ko chorr kar Mardo se apni hawas puri karne lage.
Roo-e-Zameeen par ye bura kaam Loot (Alaihay Salam) ki Qoum se shuru huwaa tha isiliye aaj bhi iss bure kaam ko lawaatat(homo-sexuality) ke naam se jaana jata hai.
✦ Qoum ko Haq ki Dawat:
Loot (Alaihay Salam) ne apni Qoum ki islaah ki bahut koshish ki, kayi baras unke beech me rahkar Deen ki Daawat dete rahe. Nasihat karte rahe, Allah Ta’ala ke Azaab ki dhamki dete rahe. lekin un ki Qoum par koi asar na huwaa.
Loot (Alaihay Salam) ne kahaa: “Aye meri qoum! tum log aisa buraa aur behayaayee ka kaam kar rahe ho jo aaj tak duniya me kisi ne na kiya, ye bahut Gunaah ka kaam hai, tum Apni Aurato ko chorr kar mardo ke paas jaate ho, agar tum apne iss bure kaam se baaz na aaye to mujhe darr hai ek din tumhe Allah Ta’ala ka Azaab aa ghere ga. main tumse apne Ajar (Daawate haq dene) ki koi kimat nahi maangta mera ajar tou mere Rab ke paas hai, jo saare Aalam ka Maalik hai.”
Iss par unki qoum ke jo Doulatmand bigdail ya Amir Sardaar they unhone kahaa “hume Nasihat mat karo, badey paak Saaf bante ho, agar tumne Nasihat dena band na kiya tou hum tumhe Shahar se baahar nikaal denge.”
Loot (Alaihay Salam) ki nasihato ka jab unki Qoum par asar na huwa siwaaye thode se logo ke jo imaan laaye, tou Loot (Alaihay Salam) ne Allah Ta’ala ki baargaah me duwaa ki “Aye mere Rab maine Apni Qoum me Din Raat tableeg ki aur unhe tere Azaab se daraya, lekin wo apne Kufr me aor aage badh gaye, Aye mere Rab! ab ye imaan nahi laane wale, ab inka faislaa tu hi kar.”
✦ Qoum ki Azaab ke liye Allah ne Farishto ko bheja:
Allah Ta’ala ne Qoum-e-Loot ko Azaab dene ke liye 2 Farishte bheje. Dono Farishte jab Naazil huwe to pahele Ibraahim (Alaihay Salam) ke paas pahoonche. fir farishte shaam hone se pehle Loot (Alaihay Salam) ke paas do (2) kamseen khoobsurat noujawaan ki Shaqal me pahunche. woh unke yahaa mehmaan ban kar aaye.
Loot (Alaihay Salam) ko apni Qoum ke logo ki khabaasat ka pata tha. isiliye jab unhone apne kamsin khoobsurat noujawaan mehmaano ko dekha toh Ghamgeen ho gaye aur Dil hi Dil me kudne lage aur kahehe lage “Aaj ka din badi musibat ka din hai.”
Unhe unki fiqar la-haq huyee. ke kahee unki Qoum ke log unke mehmaano ke sath koi buraa kaaam na kare. isiliye woh jaldi se apne mehmaano ko apne ghar ke andar le gaye.
Lekin unki Biwi doudti huyee gayee aur apne Qoum ke bigdail Amir Sardaaro aur Badkaaro ko apne Ghar me aaye huve mehmaano ki khabar dedi. Qoum ke badkaar log Loot (Alaihay Salam) ke ghar aa pahooche aur Loot (Alaihay Salam) se kahaa “Un Ladko ko humaare hawaale kar do.”
Loot (alaihay salam) ne kahaa: “Ye mere Mehmaan hai Main inko hargeez tum logo ke hawaale nahi karoonga! tumhe Allah Ta’ala ka waasta hai, Mere Mehmaano ke saamne mujhe Zaleel (Beizzat) aur Ruswaa na karo, kya tum me se koi bhi bhalaa aadmi nahi hai? aur (Qaum ki Aurto ki taraf ishara karte hue kaha) ye Meri Betiyaa (ya Qoum ki Betiyaa) hai tum inse Nikaah kar lo aur apni Nafsiyaati (Jismani) khawaahishat ko in se puraa kar lo.”
Lekin unki Qoum ke log nahi maane aur kahaa “Tum Achchi tarhaa jaante ho ki hum kya chaahte hai, hum tumhe kal subah tak ki mohlat dete hai, kal subah ke baad tum hume rok na paawoge.” ye kahekar woh log chale gaye.
Apni bebasi par Loot (Alaihay Salam) ki aankho me aansoo aa gaye, woh chaahkar bhi apne mehmaano ki hifaazat nahi kar sakte they kyonki unki Qoum ke badkaar log taadad me jiyaada aur taaqatwar they.
Loot (Alaihay salam) ne kahaa “Aye kaash , mujh me tum se muqaable ki quwat hoti ya main kisi zabardast ka aasraa pakad paata.”
Tab Farishto ne kahaa “Hum Azaab ke farishte hai, Aye Loot! Ghabraane ki zaroorat nahi hai, hum tak tou kya, ab woh tum tak bhi nahi pahooch sakenge, Allah Ta’ala ne hume aapki Qum ko Azaab dene ke liye bheja hai, Aap aur Aap ke saath jo log bhi imaan laaye hai Subah-Saadiq se pehle is basti ko chod kar door chale jaaye aur Khabardaar koi mud kar piche na dekhe, ab in Gunaahgaaro me se koi nahi bachne wala.”
Loot (Alaihay Salam) aur jo log unke saath imaan laaye they subah hone se pehle basti chodkar door jaa chuke they, sirf Loot (Alaihay Salam) ki biwi piche reh gayee kyonki woh bhi kaafir thi.
Ab Farishto ne Zameen ko jadh se ukhaadkar palat diya aur kayee kilometer (taqreeban 40 kilometer) tak gehre Zameen me dhasaa diya, phir unpar paththar aur tezaab ki baarish ki iss tarhaa un Gunaahgaaro ka Namo-Nishaan mita diya gaya aur koi bhi na bach saka.
✦ Azaab ki jagah Dead Sea ke naam se aaj bhi moujud hai:
Jahaa Azaab huwaa tha woh jagaah aaj bhi moujood hai, usey “Dead Sea” ya “Maraa huwaa Samundar” ya Mrut Saagar, Bahar-e-Murdaar ya Bahar-e-Loot ke naam se jaana jaata hai. aur aaj bhi uspar jo azaab huwaa tha uski wajaah se uss samundar me machli (fish) tou kya koi kidaa makodaa bhi nahi paidaa hota. aur uska paani itna namkeen hai ki usko muhh se laga lo tou ulti ho jaaye.
Gunaahgaaro aur Nafarmaano ko Allah Ta’ala is tarhaa Azaab deta hai zindagi me bhi aur marne ke baad bhi.
Lekin afsos ki baat hai ki Insaan aisi baato se koi sabak nahi leta. aaj kuch Modern kism ke log aur Yahood aur Nasaara iss burey kaam ko buraa nahi jaante aur aise bure kaam karne waalo ko Qanooni Darzaat de rahe hai. Allah Ta’ala hum Sab ko aise bure kaam aur aise bure khayalat se bachaaye… Ameen
~ Reference:
(Qasas-ul-Ambiya Transcript by Mohammad Rafique)
Padhe aur bhi Ibratnaak Waqiye:
- Ashab-e-Feel ka Waqia (Hathi walo ka Wakia)
- Allah ki Rehmat ka ek Khubsurat Wakiya
- Maa Ki Nafarmani Ki Saza – Allah Ke Wali Ka Ibratnaak Waqia
- Ashabul Ukhdud – Naujawan ki QUrbani, Sabr aur Aazmaish ka Ibratnaak Waqiya
- Ek Baap aur Betey ki Qurbani ka Waqia (Story of Hazrate Ibrahim aur Ismayeel Alaihay Salam)