Maa Ki Nafarmani Ki Saza – Allah Ke Wali Ka Ibratnaak Waqia …

Walidain ki Ita’at kya darja rakhti hai aur inki nfarmani ka natija kya hota hai chahe insan kitna hi nek ho. Aayiye iske talluk se ek wakiye par gour karte hai.

Table of Contents

♥ Mafhoom-e-Hadees:

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai ke:
“Humse pichli Ummat me ek nek shakhs they jo Allah ke Wali they, jinka naam Juraij tha. Unhone ek girja tamir kiya tha aur usi me wo Allah ki ibadat kiya karte they, Namaze ada kartey they.

Ek martba hua youn ke Juraij apni namaz me they tab unki walida aayi aur unhe aawaz di ke “Aye Juraij , Aye Juraij aao mai tumse milne aayi hu.”

Juraij Namaz padh rahe they jo ki nafli namaz thi, unhone socha ke namaz mukammil kar ke hi walida se Ja kar mil leta hu. lekin Namaz khatm hone tak walida naraz hokar chali gayi.

Fir dusri martba yahi hua. iss baar bhi walida ne aawaz di “Aye Juraij! aye Juraiz! mai milna chahti hu tumse”
Juraij fir apni namaz me lagey hue they, socha ke apni Namaz mukammil kar leta hu aur fir jakar mil lunga.

Tisri martba bhi yahi hua. Walida fir aayi aur Juraij ko aawaz di, Juraij iss wakt bhi Allah ki ibadat me they, aur Maa naraz ho gayi fir kaha ke “Aye Juraij ! tu tawayafo ka muuh dekhe” aisi Bad-dua dekar waha se chali gayi.

Aage Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai:
Juraij ki jo Maqbuliyat thi, inki jo ibadate thi is se log jaltey they aur log waise hi Juraij par ilzam lagana chahte they lihaja qoum ke sharr pasand logo ne ek mansuba kiya, unhone ek buri aurat ko tayyar kiya jo logon se muuh kala karti thi.

Uss Aurat ne Juraij ke girja ke bahar ek charwaha tha uss se apna muuh kala karti rahi, jis se usko hamal thehar gaya aur uss se usko ek Aulaad hui jo zinaa ki thi. Jab usko ek Aulaad hui tou Aurat ne logon se kaha ke “Ye Aulaad Juraij ki hai.”

Jab Basti me ye baat chali tou logon ne aakar Juraij ko betahasha marna shuru kar diya, hatta ke uska girja bhi tod diya aur maarte-maarte usey Baadshah (wakt ke haakim) ke paas le gaye.

Jab waha pohche tou Juraij ne kaha ke “Batao tou sahi kyu marte ho ?”
Logone kaha ke “Tumhe ek Aulad hai, tumne muhh kala kiya hai kisi aurat ke sath.”

Tou Juraij ne kaha ke ‘usey lao tou sahi, wo Aurat koun hai.’ Jab uss Aurat ko laaya gaya tou usne kaha ke Juraij ne mere sath muhh kala kiya aur ye unki Aulaad hai. (Juraij ki Walida ki Baddua hui aur Juraij ko buri aurat ka muhh dekhna pada.)

Juraij ne kaha thik hai mujhe namaz padhne do, Unhone do rakat Namaz padhi aur uske baad Juraij ne uss ladke se kaha “Aye ladke bata tera baap koun hai.”

Allah Rabbul Izzat ne uss ladke ko zubaan di aur usne kaha ke “Mera Baap ! wo charwaha hai.”

Uss nanhe bacche ke bol sunkar logo ko badi nadamat hui , Uss charwahe ko saza di gayi aur logo ne kaha ke “Aye Juraij chaho tou tumhara girja hum wapas bana detey hai wo bhi sone ka.”
Juraij ne kaha ke “Nahi! sone ka nahi ! Mujhe jaisa tha waisa hi banakar de do.”

Sahih Al-Bukhari 1206,
? Sahih Al-Bukhari 2483,
? Sahih Muslim 2550

✦ SABAQ:

1) Is Wakiye me sabse pahla sabaq ye milta hai ke “Ek Wali ke haq me bhi Maa agar Baddua kar dey tou Allah Qabool kar leta hai. Isiliye kyunki Allah ke paas inka bohot uncha muqaam hai. Ye dua de tou qabool, Baddua de tou qabool, chahe aapki shakhsiyat kuch bhi rahe. Subhan’Allah!!!

2) Dusra sabaq ye pata chalta hai ‘Ek mamooli si larjish jo Juraij se hui uska itna azeem nuqsaan unhe hua ke Allah Rabbul Izzat ne itni badi aazmaish me daal diya juraij ko.

Ye unki bilkul bhi mamuli si galti thi, Allah reham kare aisi galti tou aaj hum me se koun nahi karta?. Humare walidain hazar martaba aawaz dete hai lekin fir bhi hum unhe nazaradaz karte rehte hai. Allah muaf kare hume.

3) Is wakiye se tisra aur aham sabaq jo hume milta hai wo yeh ke “Nafeel ibadat par Walidain ki khidmat ko tarji dena chahiye.”

♥ In sha Allah-Ul-Azeez! Allah Ta’ala hume Apne Walidain ka farmabardar banaye , Hume kehne sun’ne se jyada amal ki taufiq ata farmaye,.. Ameen ! Allahumma Ameen …

4.7/5 - (6 votes)

Leave a Reply