Allah ki Rehmat aur
Bande ki Touba ka ibratnak Wakiya
Ibn khudama apni kitab At-Tawabin me bani israyeel ka wakiya pesh karte hue kehte hai ke,
Musa (Alaihi Salam) ke zamane me ek baar Qahat (drought) aaya, Aap apne tamam sahaba ke sath Allah ki baargah me haath uthakar barish ke liye dua karte hai.
Allah ki janib se Musa (Alaihi Salam) ko Gaib se awaz aayi aur kaha ke “Aye Musa (AS) aapke ek sahabi hai jisne abhi tak tauba nahi ki ”
Musa (Alaihi Salam) apne sahaba se kehte hai ke tum me se koi hai jisne abhi tak tauba nahi ki isiliye barish nahi ho rahi, ye kehte hi barish ka barasna shuru ho gaya.
Sahaba ne kaha “Aye musa (A.S) Aapne to humse jhuth kaha , dekho barish to shuru ho gayi.”
Musa (A.S) pareshan ho kar Allah se Sawal karne lage “Aye Allah! ye kaisa majra hai ?”
Allah Ta’ala ne farmaya “Aye Musa (A.S) ! tumne jaise hi Sahaba se Tauba ka zikr kiya, mere us Gunehgar Bande ne mujhse apne Gunaho ki Tauba kar li ”
Musa (A.S) ne kaha “Aye Allah! Mujhe bhi bata bhala wo banda koun tha?”
Allah Ta’ala ne farmaya: “Aye Musa (A.S) ! banda jab Gunaah karke Tauba nahi kiya, tab maine tujhse Chupaya ab tou Tauba kar chuka hai fir bhala ab tumhe uska pata kaise bata du,.”
📕 Kitab At-Tawabin by Ibn khudama
♥ SubhanAllah ! ye rishta hai Allah ka apne bando se.
Mere azeezo! Allah Rabbul Izzat humare Gunaho ko poshida rakhne par Qadir hai, aur sirf Poshida hi nahi balke humare Gunaho ko Muaf karne par bhi Qadir hai, Zara Shiddat se khalis uski bargah me hath failakar to dekho.
*Beharahaal is wakiye me nasihat hai un tamam Hazrat ke liye jo Allah se mayus ho kar Allah ke aage sir jhukane ke bajaye falah aur falah ke darr par jhukte hai , Apne Gunaho ke kisse unhe sunakar unhe apne gunaho par Gawah aur hujjat banatey hai, Allah Reham kare na jane kis hadd tak hum apne Rab se mayus hote hai jabki wo tou humari tauba ke intezar me rehta hai..
*Lihaja hume chahiye ke Hum Allah se Rishta mazbut kar le, aur har Haal me Allah hi se Sawal kare, jaisa ke humare Nabi-e-Kareem (Salallahu Alaihi wasallam) ne puri Zindagi apne Ummat ko talim di ,.
♥ In sha’Allah-Ul-Azeez !!!
Allah Rabbul Izzat Hume Kehne Sun’ne se Jyada Amal ki Taufikq Dey ,..
Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!