2. Nuzul-e-Quraan ke liye iss Mahine ka Intekhab kiya:
Iski dusri sabse badi fazilat ye hai ke Allah Rabbul Izzat ne iss Mahine ka Intekhab apni aakhri kitab Qurane Majid ko nazil karne ke liye kiya.
Andaza lagaiye kitni aham baat hai ye ke ‘Allah Rabbul Izzat ne apna aakhri qalam utara, jiske talluk se Allah Taala ne Quraan hi me bayan farmaya ke “Ramzan ka wo Mahina jis me Quraan ka Nuzool hua saari Insaniyat ki Hidayat aur Rahnumai ke liye.” [2:185]
Isiliye Ramzan ka Mahina Quraan ka Mahina bhi kehlata hai aur Nabi-e-Karam (Sallallahu Alaihay Wasallam) ka Mamool tha ke har Ramzan Aap ek Quraan ki tilawat mukammil kartey they.
Tarawih me Quraan pura karna acchi baat hai, lekin Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) tilawat bhi karte they. tou koshish karey ki hum bhi ek Quraan pura tilawat karey har Ramzan. In sha Allah ul Azeez.
Quraan Kis Zuban me Padhe?
Ab kyunki humari Zaban arbi nahi hai tou hum koshish ye karey ki har Ramzan ek Quraan tarjume se padhe, kum-se-kum Saal me ek baar tou pata chale ke humara Rab humse kya chahta hai.
Aur Ramzan se baad tak agley Ramzan tak ek Tafseer padh Ley. Tafseer ka fayda ye hoga ke unn Aayato ke Ahqamat kaise hai ?, Unki gehrayiya kya hai ?, unki hiqmtey kya hai ?, Nabi-e-Karam (ﷺ) aur Sahaba ke Aqwal kya hai iske andar ye sab jan’ne ke liye Mufasareen ki tafseer padhiye.
Agar aisa mamool hum bana ley tou andaza lagaiye ilm me kya ijafa hoga humare, jehan bhi khulega, amal me pukhtagi bhi aayegi aur in sha Allah Ul Azeez hum mazboot Momin banenge.
Tou koshish karey ke Ramzan me ek tarjume se Quraan padhu aur baad Ramzan saal bhar ek tafseer padhu aur uss se apne ilm me ijafa karu.
3. Iss Mahine Nekiya karna aasan ho jaata hai:
۞ Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya –
“Ramzan ka Mahina jo hi aata hai Jannat ke tamam Darwaze khol diye jaatey hai, hatta ke ek bhi band nahi rehta aur Jahannum ke tamam darwaze band kar diye jaatey hai hatta ke ek bhi khula nahi rehta aur tamam Sirkash Jinn aur Shayateen Qaid kar liye jaatey hai…” [Sahih Muslim]
… Subhan’Allah kya fazilat hai is Mahine ki zara gour kijiye.
Accha yaha aap ek aur baat bhi soch saktey hai ke abhi Jannat me koun haya hai aur Jahannum me koun ? wo sab tou Qayamat ke baad jayenge. tou kyu Jannat aur Jahannum ka tazkira hadees me aa raha hai ?
Darhakikat ye Jannat ke Darwaze kholna aur Jahannum ke darwaze band karna ye ek alamat hai, ye ek ishara hai ke “Iss Mahine apne Rab ki Ita’at kar ke apni Magfirat haasil karwa lo, Aam hai Magfirat …”
Aur Jahannum ke Darwaze band kar diye hai Allah ne is Mahine ‘Yaani Allah Ta’ala elaan kar raha hai ke apni Masiat se rook jao, Mujhse Taubah kar lo, dekho band kar liya hai Humne Jahannum ko.”
Tou is Hadees me alaamat bayan farmayi Allah ke Rasool (ﷺ) ne ke is Mahine aasan hai neki ka karna.
Lihaja apne Masiyat apne Gunaaho se sacchi aur pakki Taubah kar ke Rab ki Rehmato ka Mustahiq hone wala azeem mahina hai ye.
♥ In sha Allah ul Azeez ! Allah Ta’ala hume kehne sun’ne se jyada amal ki taufiq de.
To be continued …