Momino ki Misaal ek dusrey par Reham wali hoti hai
No’man bin Bashir (R.A) riwayat karte hai ki,
Huzoor Nabi-e-Akram (ﷺ) ne farmaya:
“Momineen ki Misaal ek dusrey par Reham karne, Dosti rakhne aur Shafqat ka mujahira karne me ek Jism ki tarah hai, chunanche jab Jism ke kisi bhi hisse ko takleef pahunchti hai tou saara jism bekhwaabi wa bukhaar me us ka shareeq hota hai.”
Muttafaque Alayh –
- Bukhari As-Sahih, 05/2238, Raqam-5665,
- Muslim As-Sahih, 04/1999, Raqam-2586
- Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 04/270
- Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, 03/353, Raqam-6223
- Bayhaqi, Shuab-ul-Iman, 06/481, Raqam-8985
- Bazzar Al-Musnad, 08/238, Raqam-3299
- Ibn Mundah Al-Iman, 01/455, Raqam-319
- Ibn Sulayman Al-Qureshi, 01/74
- Al-Minhaj-us-Sawi, Safah-104, 105, Raqam-19.