Contents
✦ Mafhum-e-Hadees: Ramzan ki Ahmiyat aur Fazilat ✦
Ek Roz Aap (Salallaho Alahi Wasallam) jab Mimber pe chadhe tou pahle kadam pe Aameen kaha, fir dusre Qadam pe bhi Aameen kaha aur teesre Qadam pe bhi Aameen kaha.
Jab Sahaba (RaziAllahu Anhuma) ne iski wajah puchi Tou fir Aap (Salallaho Alahi Wasallam) ne irshad farmaya ki:
1. Pahle kadam pe Jibreel (Alaihi Salam) ne kaha ki: “lanat ho us shaks par jisne Ramzan ka mahina pa kar bhi Allah ki bakshish na pa saka.” Phir Aap (Salallaho Alahi Wasallam) ne Aameen kaha.
2. Fir dusre kadam pe Jibreel (Alaihi Salam) ne kaha ki: “Lanat ho us shaks par jisne Aap (Salallaho Alahi Wasallam) ka naam suna aur Aap par Durood o Salam na bheja.” fir Aap (Salallaho Alahi Wasallam) ne aameen kaha.
3. Aur teesre kadam pe Jibreel (Alaihi Salam) ne kaha ki: “Lanat ho us shaks par jisne Apne Maa-Baap ko budhi umr me paa kar bhi jannat hasil na kar saka.”. Aur fir Aap (Salallaho Alahi Wasallam) ne kaha aameen.
Wajahat:
Is Ahadees e Mubarak se 3 aham Baate wajeh hoti hai ke
1) Ramzan ki Ahmiyat aur Fazilat
Ramzan ke Mukaddas mahine me bhi Ibadat se mehroom rahne wale shakhs par Allah ki lanat hai.
2) Durood o Salam ki Ahmiyat
Nabi-e-Kareem (Salallahu Alaihi Wasallam) ke zikr par Aap par Duroodo Salam na bhejne wale par bhi Allah ki Lanat hai.. aur Sabse chota Durud hai “Salallahu Alaihi Wasallam” lihaja hume chahiye ke Jab bhi hum apne Nabi Ka Naam Sune Ya kahe tou kum se kum sath me Salallaho Alahi Sallam tou hum jarur kahe.
3) Waldain ki Nafarmani ki Saza
aur Tisre kism ke wo log hai jinpar Allah ne lanat farmayi wo jisne Apne Waldain (Maa Baap) ko budhi umr me paya lekin unki khidmat se Mehroom rehkar Apne Rab ko Razi na kar saka.
Allah Rabbul Izzat hum sabko kehne sun’ne se jyada amal ki taufik de… Ameen Allahumma Amaeen,…
For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish
Subscribe to get the latest posts sent to your email.