Qurbani kin logon par Farz hai? Qurbani Wajeebi hukm nahi ikhtiyari mu’aamla hai. Lihaja jo Qurbani karne ki taqat rakhta ho woh Qurbani kare…
Hadith: Jo shakhs apne aap ko bada samjhta hai ya Takabbur… Hadith: 27-April: Abdullah bin Umar (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Jo shakhs apne aap ko bada samjhta hai ya Takabbur ke saath akad kar chalta hai, Qayamat ke din woh Allah Taala se is haal me milega ke Allah Taala us se Naraz hoga.…
Uss Shakhs Ki Namaz Nahi Jiska Wuzu Nahi .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira (Razi'Alllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki - "Uss Shakhs Ki Namaz Nahi Jiska Wuzu Nahi Aur Uss Shakhs Ka Wuzu Nahi Jisne Iske Shuru Me Bismillah Na Parhi Ho". - (Sunan Abu Dawud, Vol 1, Hadees 101) ♥ Mafhoom-e-Hadees:…
Neki Aur Parhezgari Me Ek-Dusre Ki Madad Karo .... !!! Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! "Neki Aur Parhezgari Me Ek Dusrey Ki Madad Karo, Aur Gunaah Wa Zulm Par Madad Na Karo!, Aur Allah Se Daro Beshaq Allah Ka Azaab Sakht Hai.." - (Al-Quraan: Surah Al-Ma'ida, A:2) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai - "Allah Uspar Raham Nahi Karta -…
Jo Shakhs Amanatdaar Nahi Woh Emaandaar Nahi .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya: "Jo Shakhs Amanatdaar Nahi Woh Imandaar Nahi, Aur Jo Shakhs Wada Khilaafi Karey Woh Deendar Nahi.." - (Baihaqi Sharif)
Neki Ka Hukm Dena aur Burayi se Rokna Farz hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazarte Abdullaah Bin Mas'ood (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ne farmaaya : "Allah ne mujhse pehle Kisi Ummat mein jitne bhi Nabi bheje, unki Ummat mein se unke kuch Hawaari aur Saathi hote they jo unki Sunnat par chalte aur unke Hukm…
Har Haal Me Sabr Aur Shukr Se Kaam Liya Kare ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Bin Masood (Razi'Allah Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya... "Jo Shakhs Gham Wo Matam Me Apne Rukhsaar (Chicks/Gaal) Ko Pitey (Slapping). Aur Girebaan Phadey Aur Jahalat Ke Logon Ki Tarha Guftagu Kare Wo Hum Me Se Nahi.." - (Sahi Bukhari. Vol-2 Hadith…
Hadees: Jo Shakhs Muamle ke Galat hone ka ilm hone ke… Hadith: 10-July: Abdullah ibn Umar (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs Muamle ke Galat hone ka ilm hone ke bawajood Naahaq Jhagda kare, woh jhagde se Nikalne tak Allah ke Gazab me rehta hai." 📕 Abu Dawood 3597
Har Haal Me Maa-Baap Se Neki Karna .... ♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! *Apne Maa-Baap (Parents) Ke Saath Bhalayi (Neki) Karte Raho - Aur Agar Tumhare Samney Unmein Se Ek Ya Dono Budhape Ko Pahunch Jaye - Tou Unhe Uff Bhi Na Kaho Aur Na Unhe Zidkao Aur Unn Se Adab Se Baat Karo - Aur Unke Samne…
Taajjub Hai Uss Ghafil Shakhs Par .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya - "Taajjub Hai Uss Ghafil Shakhs Par, Jis Ko Apni Gaflat Ka Ehsaas Nahi". - (Kanzul Ummal : Hadith no. 43397)
Jo Shakhs Juma ke din Apni Biwi ko Gusal karwaye aur khud… Hadees of the Day Jo Shakhs Juma ke din Apni Biwi ko Gusal karwaye aur khud bhi Gusal kare Aws bin Aws (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs Juma ke din (Apni Biwi) ko gusal karwaye aur khud bhi gusal kare phir namaz ke liye…
Jo Shakhs Gumshudah Chiz Uthake Aapne Pass Rakhe ... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Zayed Ibn Khalid Juhani (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya, "Jo Shakhs Gumshudah Cheez Uthake Aapne Pass Rakhe Aur Uss (Gumshudah Cheez) Ka (Loutane Ke Niyat Se Logo Me) Ayelan Na Kare Tou Woh Shakhs Gumraah Hai..." - (Sahih Muslim, Hadith…
Jhoote aur Dagabajo Ka Bhi Roza Kabool Nahi .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai, "Agar Koi Shakhs Roza Rakh Kar Bhi Jhoot Bolna aur Dagabaji Karna Na Chore Tou Allah Ta'ala Ko Uski Koi Zaroorat Nahi Ki Wo Apna Khana Peena Chor De..." - (Sahih Bukhari, 1903) # Sabaq: Allah Ta'ala Unka Roza Hargiz…
Momino ki Misaal ek dusrey par Reham karne, Dosti rakhne aur… [tabs] [tab title="Roman Urdu"] ✦ Hadith Roman Urdu: No’man bin Bashir (RaziAllahu Anhu) riwayat karte hai ki, Huzoor Nabi-e-Akram (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: ❝ Momineen ki Misaal ek dusrey par Reham karne, Dosti rakhne aur Shafqat ka mujahira karne me ek Jism ki tarah hai, chunanche jab Jism ke…
Daulatmand Se Jyada Muflis Musalman Behtar Hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Sahal Bin Saad (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Unhone Farmaya Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Paas Se Ek Shakhs Guzra - Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Apne Paas Baithe Hue Ek Sahabi Se Farmaya "Iss Shakhs Ke Baare Me Tumhari Kya Raaye Hai?" Unhone Arz Kiya "Yeh…
Rizq-e-Halaal Kamaney Ka Ajar .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai Ke - "Jo Shakhs Iss Liye Halaal Kamaayi Karta Hai Ke Sawaal Karne (Mangne) Se Bache, Ahlo-Ayaal Ke Liye Kuch Hasail Kare Aur Padosi Ke Saath Husn-e-Sulooq Kare Tou Wo Qayamat Me Iss Taraah Aayega Ke Iska Chehra Chaudhvin Ke Chand Ki…
Momeen Dozakh aur Jannat ke darmiyan rok liye jayenge Jabtak… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Saeed khudri Radhi allahu anhu se rivayat hai ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Momeen dozakh se chutkara pa jayenge lekin dozakh aur jannat ke darmiyan ek pool hai jaha unhe rok liya jayega aur phir ek dusre par kiye gaye zulmo ka badla liya jayega…
Kisi Takleef Ki Wajah Se Mout Ki Aarzu Na Kare ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Tum Me Se Koi Shakhs Kisi Takleef Ki Wajah Se Jo Tumhe Pohanchi Ho, Mout Ki Aarzoo Na Kare. Aur Agar (Takleef Ki Noeyat Aysi Ho Keh Iss Ke Bagair) Chara Na Ho Tou Iss Tarhan Dua Kare, "Aye Allah !…
Jhoota Khwab Sunaane Se Parhez Kare ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Jisney Aisa Khwaab Sunaaya Jo Usney Nahi Dekha Tou Allah Usey Jow Ke 2 Daanon Me (Qayamat Ke Din) Gaanth (Knot) Lagaane Ko Kahega, Lekin Wo Aisa Nahi Kar Sakega (Isliye Sazaa Paata Rahega) ,.. *Aur Jo Logon Ki Baatein Sun'ne…
Padosi ko Takleef denewala Musalman Jannat me Nahi Jayega ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se Rivayat hai ke, RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya, Wo shaksh jannat mein nahi jayega jiska humsaya (Padosi) uske makar-o-fasad (yani Zulm-Sitam se) se mehfooz na ho (Chahe uska padosi kafir bhi kyu na ho ).." - (Sahih Muslim, Hadith No. 79)
Reham Karne Walo Par Allah ki Rehmat .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Ibn Amr Ibn Al-'As (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Reham Karne Walo Par Rehmaan Bhi Reham Farmata Hai, Tum Zameen Walo Par Reham Karo Tum Par Wo(Allah) Reham Karega Jo Aasmaan Me Hai". - (Sunan Abu Dawud, Vol#3, Hadith…
Rasool'Allah Se Mohabbat Dono Jahaa Me Azmat .... ♥ Al-Quraan: Tumharey Pass Tum Hi Me Se Ek Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Aaye Hai Tumhari Takleef Unko Gira'ah (Apni Takleef) Maloom Hoti Hai, Aur Tumhari Bhalayi Ke KhwahishMand Hai Aur Momeeno Par Nihayat Shafqat Karney Waley (Aur) Meharbaan Hai. - (Surah At-Taubah (9), Aayat-128) ♥ Al-Quraan: Aur Hum(Allah)ne Aap(Sallallahu…
Namaz Ki Fazilat aur Ahmiyat ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - *Jo Shakhs Namaz Pabandi Se Aada Karega Tou Yeh Uss Ke Liye Qayamat Ke Din Noor Hogi, (Iskey Imaan Aur Allah Se Iski Wafadari Ki) Daleel Hogi, Aur (Jahannum Se) Nijaat Ka Sabab Ban Jayegi. *Aur Jo Shakhs Namaz Ki Pabandi…