Walid (Baap) Jannat ka Markazi Darwaza hai
Abu Darda (R.A) farmate hai ke,
Maine Allah ke Rasool (ﷺ) ko ye farmatey huye suna,
“Walid (Baap) Jannat ka Markazi Darwaza hai, Ab ye Tumhari Marzi hai ke Tum Iss Darwazey ko Zaya Karo (Yaani Iss Ko Naraaz kar ke Jannat se Mehroom bano) ya Iski Hifazat karo (Yaani Iss ki Khidmat ke Raste se Jannat me Dakhil ho jao.)”
📕 Jameh Tirmazi, Hadees: 1900,
📕 Sunan Ibne Majah, Hadees: 2089,
📕 Musnad Ahmed, Hadees: 4456
Allah ki Raza Walid (Baap) ki Raza me hai
۞ Hadith: Abdullah ibn Umar (R.A) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya :
“Allah subhanahu ki raza walid ( ya waldain) ki khushi mein hai aur Allah subhanahu ka gussa Walid ( ya waldein) ki narazgi mein hai.”
📕 Jamia Tirmidhi, 1960 ( Hasan)
Related Posts: