♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira (Razi’Alllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki –
“Uss Shakhs Ki Namaz Nahi Jiska Wuzu Nahi Aur Uss Shakhs Ka Wuzu Nahi Jisne Iske Shuru Me Bismillah Na Parhi Ho”.
– (Sunan Abu Dawud, Vol 1, Hadees 101)
♥ Mafhoom-e-Hadees: Busrah Bint Safwan (RaziAllahu-Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Jo Shakhs Apni Sharmgah Ko Chu Le, Usey Chahiye Ki Wo Wuzu Kare”.
– Sunan Nasaii, Vol 1, 447 (Sahih)