✦ Kalma-e-Shahadat “La Ilaha Illallah” Ke Taqaze
Islam Ke 5 Faraiz (Kalma-e-Shahadat, Namaz, Roza, Zakaat Aur Hajj) Me Hum Pahla Kalma (Kalma-e-Shahadat) Tou Badi Aasani Se Padh Letey Hai. Lekin Iski Ahmiyat Se Bekhabar Hai..
Kalma-e-Shahadat Me Hum Padhte Hai “La Ilaha Illallah Muhammadur Rasool’Allah” aur yeh Kalma sirf ek Kalma nahi bulki iske sath kuch taqaze (usool) bhi hotey hai.
Jaise ke – Ab tamam zindagi sirf isi ek haqeeqi Rab ki ibadat karu, iskey Rasool ki ita’at karu, isi par Imaan rakhu aur isi par mera khatma ho ke Mai ek Allah par imaan rakhta hu. yahi toh Taqaze hai iss kalma-e-shahadat ke.
*Afsos Ke Hum Kalma Tou Aasani Se Keh Detey Hai Lekin Iske Taqaze Hum Mukammil Bhul Chukey Hai.
Aur Afsos Ki Baat Hai Ke – Abu Jahal Aur Mushrikin-e-Makka Iss Kalme Ke Taqaze Humse Jyada Jante The..
*Isiliye Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Tirmizi Ki Riwayat Me Farmaya Ke – “Kulu Lailaha Illahah Tuflu’um Tamlikum Arab Wa Azam” !
“Ke (Aye Mushriko!) Tum Keh Do Ke – Allah Ke Siwa Koi Mabood Nahi Ibadat Ke Layak Tou Arab Tou Tumhara Hi Hai Azam Bhi Tumhara Ho Jayega.”
*Unhone Kaha – Yeh Nahi Keh Sakte Hum!
… Kyunki Wo Jante They ‘La Ilaha Illallah’ Sirf Ek Kalma Nahi Hai, Balke Sath Me Kuch Taqaze Bhi Lata Hai, Aur Taqaze Yeh Ke ‘La Ilaha Illallah’ Kahenge Tou 360 Maboodo Ko Chorkar Sirf Ek Allah Ko Man’na Padega, Wo Kahne Lage – Aye Mohammad Ye Nahi Hone Wala Humse. !!! ‘
– (Tirmizi Sharif)
*Mushrikan-e-Makka Ko Maloom Tha Ke Yeh Kalma Kaisi Sharte Lata Hai, Ek Allah Ki Ibadat, Iss Nabi Ki Ita’at Aur Fir Iss Kitab Quraan-e-Kareem Par Amal. Wo Yeh Sab Jante They.
# Aur Aaj Ka Musalman Kalma Tou Badi Aasani Se Padh Leta Hai Lekin Taqaze Ka Kuch Pata Nahi,
Balke ‘La Ilaha Illallah’ Kehne Ke Baad Tou Wo Shirk Me Aur Jyada Mulawwis Ho Jata Hai,
Allah Ki Tawheed Ke Aur Barkhilaf Kaam Karta Hai ,…
*Isliye Humne Kaha Ke Wo Humse Jyada Taqaze Jante They Iss Kalma-e-Tawheed Ka…
*Aur Arbo Me Ek Khususiyat Thi Ke Wo Apne Wado Ke Khilaf Kabhi Nahi Jaya Karte They.
… Fir Agar Wo Keh Detey Ke ‘La Ilaha Illallah’ Tou Unko Maloom Tha Ke Khilaf Warji Nahi Ho Sakti Iski.
… Isliye Unhone Nahi Kaha. Ke ‘La Ilaha Illallah’ –
*Pahle Hum Isme ‘Inkaar’ Karte Hai Tamam Maboodo Ka
*Aur Fir ‘Iqraar’ Karte Hai Sirf Uss Ek Mabood “Allah Rabbul Izzat” Ka..
… Pahle Inkaar Fir Iqraar,
*Lekin Musalman Aajka ‘Kalme Ka Tou Iqraar Karta Hai’ Aur Baadme Saare Iss Kalme Ke Inkaari Amal Karta Hai.
Yaha Tawheed Ka Tou Iqraar Kar Liya Ke ‘La Ilaha Illallah’ Lekin Fir Shirk Bhi Chalu Hai,
*Fir Kehta Hai Allah Ke Alaawa Koi Aur Bhi Deta Hai,..
*Fir Allah Ke Siwa Zindagi Aur Mout Par Koi Aur Bhi Qaadir Hai (Nauzubillah) ..
.. Ajib Muamla Hai Humari Gaflat Ka.
*Lihaja Hum Sab Par Lazim Hai Ke Iss Kalme Ki Ahmiyat Ko Jaaney Aur Iske Taqazo Par Amal Karey.
Insha’Allah !!! Allah Ta’ala Hume Kahne’ Sun’ne Se Jyada Amal Ki Toufiq Dey …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
*Agli Post Tawheed Aur Shirk (Part 3) Me Abu Talib, Abu Lahab Aur Abu Jehal Ke Aqeede Aur Unkey Hashr Ka Zikr Karenge …
Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish
Subscribe to get the latest posts sent to your email.