Ghusse ko Qabu me Karne ka Nabvi Tarika (Gusse ko… ✦ Hadees: Gusse ko Qabu karne ki Dua ✦ Sulaiman bin Sard (R.A.) ne bayan kiya ki Main RasoolAllah (ﷺ) ki khidmat mein baitha hua tha aur qareeb hi do aadmi aapas mein Gaali Galoch kar rahe they ki ek shakhs ka munh surkh (laal) ho gaya aur gardan ki ragein phool gayeen. RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki mujhe ek aisa kalima maloom hai ki agar ye (koi bhi) Shakhs usko padh le to is ka gussa jata rahe ga.…
Mehman Nawazi ki Fazilat aur Sunnat Mehman Nawazi ki Fazilat aur Sunnat Uqba bin Aamir (R.A.) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Us shakhs me koi Khair (Bhalayee) nahi jo mehman nawazi nahi karta" 📕 Masnad Ahmed 7088 -Sahih Al-Silsila As-Sahiha - 193 ✦ Hadith: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jo shakhs Allah aur aakhirat ke din par yaqeen rakhta ho usko apne mehman ki izzat karni chahiye" 📕 Sahih Bukhari, Jild 7, Hadees 6135 ✦ Hadith: Abu Hurairah (R.A.) ka bayan hai, Nabi-e-kareem (ﷺ)…
Hijama aur Shahad ki Fazilat Hijama aur Shehad ki Fazilat Jin cheezo se tum ilaj karte ho usmein sabse jyada khair Hijama (Cupping) me hai ✦ Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya "Jin cheezo se tum ilaj karte ho agar usmein se kisi mein khair hai to wo Hijama (cupping) hai." 📕 Sunan Abu Dawood, Jild 3,459-Sahih ✦ Hadees: Ibn Abbas (RaziAllahu anhu) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne ehram ki halat mein apne sir mein Hijama karwaya , aadhe Sir mein dard ki wajah se jo aapko ho…
Maah-e-Muharram ki Fazilat, Masnoon Amal aur Biddatein ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Muharram ki Fazilat ۞ Quran Majid ne 4 Mahinon ko Hurmat wala qaraar diya hai, inme se ek “Muharram” hai. 📕 Surah Tauba 9:36, 📕 Sahih Bukhari Hadees-3197 ۞ Nabi Kareem (ﷺ) ne Muharram ko “Shahrullah” yaani Allah ka mahina kaha hai. 📕 Sahih Muslim-1123, 📕 Sunan Abu Dawud-2429 ۞ Muharram ke mahine me Nafeel Roze rakhna Ramazan ke mahine ke Rozon ke baad Afzal tareen Roze hain. 📕 Sunan Abu Dawood 2429 ۞ Muharram Qamari (Chaand…
Peer aur Jumerat ke Roze ki fazilat Hadees-e-Nabwi (ﷺ) Peer aur Jumerat ke Roze ki fazilat Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne irshaad farmaya – “Har Peer aur Jumeraat (Monday & Thursday) ke din Allah Ta’ala ke saamne bando ke amaal pesh kiye jaate hain, Chunache Allah Ta’ala uss din har uss shakhs ki jo Allah Ta’ala ke saath kisi ko Shareek na thehraata ho magfirat farmata Hai, Albatta woh shakhs uss bakhshish se mehroom rehta hai ke jiski apne kisi (Musalman) bhai se dushmani ho, (Allah…
Tayammum ka Sahi Tarika ♥ Mafoom-e-Hadees: Hazrat Ammar (RaziAllahu anhu) farmate hai ke mujhe RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne kisi kaam se bheja tha. Safar mein mujhe ghusal ki zarooarat ho gayi, lekin paani na mila. Is liye Phir maine mitti mein janwaro ki tarah lotpot liya. Phir maine RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se is ka zikar kiya. Tou Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Tumhare liye sirf itha itna karna kaafi tha." Aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne Haatho ko Zameen par…
Nabi ﷺ ke Aakhri Alfaz Namaz aur Gulamo ka Khayal rakhna Namaz aur Gulamo ka Khayal rakhna ۞ Hadees: Ali Ibne Abu Talib (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ke Zubane Mubarak ke Aakhri Alfaz they: "Namaz, Namaz; aur un logo ke baare me Allah se daro jo tumhare dahine hath me hai. (Namaz aur Gulaamo ka khayal karo)" 📕 Sunan Abu Dawud 5156📕 Book 43, Hadith 384-Sahih
Ramadan Day 17 | Ramzan aur har Maah ke 3 Roze ki Fazilat Ramadan Day 17 ✦ Hadees: Ibne Abbas (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:❝ Sabr ke mahine (Ramzan) ke Roze aur har Maah ke 3 Roze seene me moujud kharabiyo ko ....
Taqwa aur iski Ahmiyat ♥ Bismillah Hirrahman Nirrahim ♥ "Inna Akramakum 'IndAllahi Atqakum" "Beshaq Allah ke Nazdik ikram wala wohi hai jo Allah ka Darr(Taqwa) rakhta ho" (Al Quran, Surah Huzrat 49:13) Allah Rabbul Izzat ne Baar-Baar is Paigaam ko Dohraaya: “Aye wo logo jo Imaan laye ho Taqwa ikhiyar karo” aur ye Aayat Quraan me baar–baar repeat hui hai. Tou gour karne wali baat hai ke Taqwa yaani "Allah ka Darr" jo ki bohot hi ahmiyat wali baat hai jiska paigam hume diya gaya.…
Namaz ki Ahmiyat aur Fazilat Urdu Bayan https://www.youtube.com/watch?v=hSQyJ8Zrc0o Namaz ki Ahmiyat aur Fazilat Urdu Bayan Namaz kya hai ?, Namaz ke Fayde kya hai ?, What is Namaz ?, how to perform Salah for beginners, learn namaz, how to pray in islam for beginners, what is salah, 5 prayers of islam in english, how to pray in islam step by step, importance of namaz in english, spiritual benefits of namaz, benefits of each namaz, benefits of 5 times prayer, benefits of salah hadith, benefits of namaz fajr,…
Insh Allah ka matlab aur Ahmiyat Quran ki Roshni me Insh Allah ka matlab (Meaning) Insh Allah ka Matlab hota hai "agar Allah ne chaha."(if Allah wills it) Insh Allah ki Ahmiyat ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Aur Hargiz kisi kaam ke Nisbat na kaha karo ki mai isey kal kar dunga, magar insh Allah keh kar aur agar (insha Allah kehna) bhool jao tou (jab yaad aaye) apne Parwardeegar ko yaad kar lo (in sha Allah kah lo) aur kaho ki ummid hai ke mera Parwardeegar mujhe aisi baat ki hidayat…
Subhanallah ki Fazilat, Alhamdulillah ki Fazilat,… Subhanallah ki Fazilat, Alhamdulillah ki Fazilat, Allahu Akbar ki fazilat Subhanallah ki Fazilat, Alhamdulillah ki Fazilat, Allahu Akbar ki Fazilat Hadees: Abdullah bin Amr (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: 'Do Aadatein aisee hain ki agar koi Musalman isko ikhtiyar kar le to wo Jannat mein jayega. Wo Dono aasan hain magar us par Amal karne wale bahut kum hain, 1). Pahli ye ki Har Namaz ke baad -Dus (10) baar SubhanAllah , 10 baar Alhamdulillah aur 10 baar Allahu Akbar kahe ,…
Farz Namaz ke Baad Nafeel ki Fazilat Farz Namaz ke Baad Nafeel ki Fazilat Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke,Allah Taala farmata hai - "Mera Banda Farz ada karne ke Baad Nafeel Ibadatein Kar ke Mujhse Itna Qareebho jata hai ki Main Us se Mohabbat karne lag jata hu." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 6502
Husn-e-Akhlaq ki Ahmiyat aur Fazilat ✦ Neki Acche Akhlaq ka Naam hai : ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nawas bin Samaan Ansari (RaziAllahu Anhu) se Riwayat hai ke, Maine Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) se Neki aur Gunaah ke baare me Poocha tou Aap ne farmaya "Neki Acche Akhlaaq ka Naam hai aur Gunah Jo tere Seeney me Khatke aur tujhe pasand na ho ke log usey jaaney." (Sahih Muslim 2553) ✦ Kaamil Iman ki Alamat : ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) farmate hai ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya "Momino…