Tawheed aur Shirk (Part 3) ✦ abu talib, abu lehab aur abu jehal ka hashr 1. Abu Talib: Aap wo Shakhssiyat hai jo kisi taruf ki mohtaz nahi. har seerat ka talibe ilm Abu Talib ke talluk se jaanta hai. yeh Rasoolallah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke Chachaon me se ek chacha they, aur yeh wo chacha hai jo imaan nahi laaye lekin Aap (ﷺ) ki har kism ki mumkin madad ki, maal se madad ki, apna jo asar aur rusooq tha uss se RasoolAllah (ﷺ)…
Jab Kapda Pehno Ya Wuzu karo tou apne Daahine se Shuru karo ۞ Hadees: Abu Huraira (R.A) se riwayat hai ki, Unhone kaha ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki : "Jab Kapda Pehno Ya Wuzu karo tou apne Daahine se Shuru karo." 📕 Sunan Abi Dawud, Hadees 4141
Sadqa Karo! Ek Aisa Zamana bhi Aayega jab koi Sadqa… Ek Aisa Zamana bhi Aayega jab koi Sadqa nahi lega Hadees: Haritha Bin Wahab (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki - "Sadqa Karo! Ek aisa Zamana bhi Tum par aane wala hai, Jab Ek Shakhs apne Maal ka Sadqa le kar Niklega aur koi Usey Qubool karney wala nahi payega. Jiskey paas Sadqa le kar jayega Wo ye Jawaab dega kiAgar Tum Kal Usey laye hotey tou Mai Qubool kar leta Aaj tou Mujhe uski Jaroorat…
Shirk Sabse Bada Zulm hai Shirk Sabse Bada Zulm hai ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ “Luqman (A.s.) ne apney betey ko Naseehat karte hue kaha ke beta Allah ke saath kisi ko Shareek Naa karna, Shirk tou bada Zulme Azeem hai." 📕 Surah Luqman 31:13 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰 Is Aayat se pata chalta hai ke: Shirk sabse bada Zulm hai jo banda khud apne upar karta hai Allah ki Zaat me Kisi ko shareek kar ke. Allah Ta'ala hume Mouheed (Tawheed parast) banaye, aur har tarah ke shirk se…
Takabbur Se Apne Nafs Ki Pakeezgi Na Jataya Karo ! ..... ♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! "Jo Log Sagirah Gunaaho Se Aur Behayayi Ki Bato Se Bache Rehte Hai Beshaq Tumhara Parwardigar Badi Bakshish Wala Hai, Wohi Tumko Khub Jaanta Hai *Jab Usney Tumko Mitti Se Paida Kiya Aur Jab Tum Apni Maa Ke Pait Me Bacche They *Tou Takabbur (Pride) Se Apne Nafs Ki Pakeezagi Na Jataya Karo, Jo Parhezgar Hai Usko Allah Khub Janta Hai". - (Surah Najm, Ayat 32) » Tafseer 1: Iss Aayat-e-Kareema Ke Tahat Mufti Ahmed…
Tumhare RAB ne farmaya hai ki Mujhse Dua karo ♥ Bismillahi-r-Rahmani-r-Rahim ♥ "Aur tumhare RAB ne farmaya hai ki Mujhse Dua karo Main tumhari Dua Qubul karunga." - Al-Quran 40:60 ♥ Mafhoom-e-Hadees: Thabit (RaziAllahu Anhu) se rivayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Tum me se har shakhs ko chahiye ki wo apni tamam hajatein apne RABB se hi maange, yaha tak ki namak bhi us se maange, aur agar jute ka tasma (less) bhi tut jaye tou wo bhi usee se maange.." - Jamia tirimizi, Jild…
Shirk ka Anjam Jahannam hai Shirk ka Anjam Jahannam hai Allah Taala farmata hai: "Beshak Jisne Allah ke Saath Shirk kiya Allah Ta'ala ne us par Jannat Haraam Kar di hai aur Uska Thikaana Jahannam hi hai." 📕 Quran, 5:72
Takabbur aur Dikhawe Wale Aamal se Bacha karo ۞ Hadees: Abu Darda (RaziAllahu Anhu) se marwi hain, Unohne Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) se Arz kiya "Mujhe Wasiyat Farmayiye"! *Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya : "Pakeeza Hunar Ikhtiyar kar, Nek Amal kar, Allah Ta'ala se Har Din ki Rozi Talab Karta Reh aur Apne Aapko Murdon me Shumaar kar! aur Har Insan ke liye Zaruri Hain ki Wo Apne Nek Aamaal par naa itrayen, Kyonki Yeh Aamaal ke Liye Ek Azeem Halaqat Hain! Aisa Aadmi Amal Karke Allah…
Apne Bhai ki Madad karo, Chahe woh Zaalim ho ya Mazloom Apne Bhai ki Madad karo, Chahe woh Zaalim ho ya Mazloom Allah Ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Tu apne Bhai ki Madad kar! chahe woh Zaalim ho ya Mazloom." Tou ek shakhs ne pucha "Aye Allah ke Rasool (ﷺ) ! Mazloom hone ki Soorat me tou hum uski madad karenge, lekin Zaalim hone ki soorat me uski Madad kaise kare?" Tou Aap (ﷺ) ne farmaya ke "Tum Usey Zulm karne se rok do, yahi uski Madad karna hai." 📕 Sahih…
Tawheed aur Shirk (Part:2) ✦ Kalma-e-Shahadat "La Ilaha Illallah" Ke Taqaze Islam Ke 5 Faraiz (Kalma-e-Shahadat, Namaz, Roza, Zakaat Aur Hajj) Me Hum Pahla Kalma (Kalma-e-Shahadat) Tou Badi Aasani Se Padh Letey Hai. Lekin Iski Ahmiyat Se Bekhabar Hai.. Kalma-e-Shahadat Me Hum Padhte Hai "La Ilaha Illallah Muhammadur Rasool'Allah" aur yeh Kalma sirf ek Kalma nahi bulki iske sath kuch taqaze (usool) bhi hotey hai. Jaise ke - Ab tamam zindagi sirf isi ek haqeeqi Rab ki ibadat karu, iskey Rasool ki ita'at karu,…
Arfa ke Din Jahannum se Aazadi Hadees of the Day Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Allah Ta'ala Arafa ke Din Jitne Bando ko Jahannam se Azaad karta hai Utna Kisi aur Din Nahi karta." 📕 Sunan Nasai: 3006 (Sahih) Aur bhi Dekhe Youm-e-Arfa ka Roza aur Uski Fazilat Ashra Zul-hijjah mein qasrath se Karne waale Amaal Zil Hajj ke Mahine ke Fazail aur Usme Karnewale Aamaal अशरा ज़ुल हज की फ़ज़ीलत ~ क़ुरानो सुन्नत की रौशनी में अरफा के दिन की दुआ सबसे बेहतरीन…
Waade ko poora karo, Beshak poochh hone waali hai Wade ke baare me Beshak poochh hone waali hai "Ahad (Jayaz Waade) ko poora kiya karo; beshak (aise) ahad ke baare mein (tum se) poochh taachh hone waali hai." 📕 Surah Al-Isra 17:34
Riyaa ka Adna martaba bhi Shirk hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Tabrani wa Hakim ne Ibne Umar (RaziAllahu Anhu) se riwayat ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya - "Riyaa ka Adna martaba bhi Shirk hai aur tamam Bando me Allah ke Nazdik woh zyada Mehboob hai Jo parhezgar hai jo chupey huye hai. Agar wah gayab ho tou Unhey koi talaash na karey aur Gawahii de tou pehchane na jaye wah log hidayat ke imam aur Ilm ke charag hai." (Islami Akhlaq-O-Aadab, Hadees-7, Page-302)
Taweez, Jhar-Phoonk sab hi Shirk ✦ Mafhum-e-Hadees: Abdullah Ibne Mas’ud (RaziAllahu Anhu) ne farmaya ke, Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya: “Taweez, Jhar-Foonk Sab hi Shirk hai.” Ye Sunke Jainab (Razi’Allahu Anha) (Abdullah ki Biwi) ne kaha, ‘Aap ye kya keh rahe ho? Allah ki qasam! mere Aankh ki Beemari ke waqt, Main ek yahudi ke paas jaati thi aur wo mujhe Taweez deti thi aur Uss se meri beemari door ho jaati thi.' Tab Abdullah (RaziAllahu Anhu) ne bataya: ‘Wo tou Shaitani aamal tha. Dar’asal Shaitan…