Lekin Aaj Sunnat Par Amal Karne Walo Ko Ajnabiyat Se Dekha Jata Hai:
RasoolAllah (ﷺ) ka Irshade Mubarak hai ke:
“Jisne Meri Sunnat se Mohabbat ki Usney Mujhse Mohabbat ki, aur Jisne Mujhse Mohabbat ki Wo Jannat me Mere Saath Hoga.”
Mishkaat Hadith no. 165
– Aaj Sunnat-e-Rasool Ko Humne Mazak Samjha ,.. Khilwaad Ka Mouju Banaya ,..
– Ke Agar Koi Ita-ate Rasool Aur Ittebaye Rasool Ki Baat Kahe,
– Ya Ye Kahe Ke Allah Ki Kitab Aur Uskey Rasool (ﷺ) Ki Baat Maano !
Tou Us’sey Kaha Jata Hai Ke “Tum Tou Bhatak Gaye Ho ,.. Tum Tou Falah Firqe Ke Lag Rahe Hume ,..” (Subhan’Allah)
– Aur Tamam Mu’ashra Usko Ghur-Ghur Kar Dekhta Hai,
– Tou Iss Sunnat Par Bhi Amal Giraa Hai Aaj Iss Mu’ashre Me.
*Iske Baad Aur Sunnato Ki Taraf Jaye Wo Tou Ajnabiyat Ka Muamla Ho Jata Hai.
Ek Shakhs Islam par Chalkar Apne hi Mu’ashre me Ajnabi ho Jata hai –
Agar Koi Shakhs Logon Ko Kitabo Sunnat Ki Dawat Deney Lag Jaye Tou Tamam Mu’ashra Usey Ghur-Ghur Kar Dekhta Hai,
– Ke Kya Ho Gaya Isey? Koun Hai Ye ? Ye Tou Humare Baba-Dada Ke Tareeke Ke Khilaf Ja Raha Hai,
– Tum Tou Gumraah Ho Gaye Ho, Tumhara Iman Tou Bus Khatam Ho Gaya.
– Falah Aur Falah Hazaar Baatey Us’sey Ki Jaati Hai Jabki Wo Aisi Sunnat Par Amal Kar Raha Hai Jo Buniyaad Hai Deen-e-Islam Ki ,… Jo Sunnat Hai RasoolAllah (ﷺ) Ki.
Aur Uski Mukhalifat Bhi Wo Log Karna Pasand Karte Hai Jo Naa Apni Islah Chahte Hai Aur Naa Apne Muashre Ki aur Aise Logon Ko Hi Kitabo Sunnat Ki Baatey Apne Baad-Dada Ke Deen Ke Barkhilaf Aur Nayi Lagti Hai.
Aur Aaj Tou Yeh Baat 100% Sach Ho Rahi Hai Ke:
– Koi Shakhs Agar Kitabo Sunnat Ki Baat Karta Hai Tou Log Kahte Hai Ke Yeh Tou Nayi Baat Dikh Rahi Hai ,..
Jabki Nayi Wo Nahi! Jo Aapne Kitabo Sunnat se Suni, Nayi Tou Wo Hai Jo Aap Kar Rahe Hai.
Kyunki Asal Baat Tou Wo Hai Jo Allah Ki Kitab Aur Uske Rasool (ﷺ) Ki Sunnat Me Moujud Hai,
– Agar Wo Moujud Hai! Jab Thi Tou Aaj Tak Utni Hi Haq Hai Aur Qayamat Tak Utni Hi Haq Hongi,
– Phir Chahe Koi Amal Kare Uspey Ya Na Karey, Wo Baat Utni Hi Sach Sabit Hogi Har Dour Me.
Chahe Fir Mu’amla Tawheed Ka Ho, Namaz Ka Ho, Rozo Ka Ho, Zakat Aur Hajj Ka Ho!
Tamam Me Agar Koi Kahe Ke: “Ye Sunnat Hai” Tou Usey Jawab Milta Hai Ke “Tumne Tou Nayi Baat Keh Di !”
Jabki Nayi Wo Nahi Hai Jo Wo Kitabo Sunnat Ke Hawale Se Wo Keh Raha Hai, Nayi Tou Wo Hai Jo Hum Kar Rahe Hai Aaj Zamane me.
Aur Agar RasoolAllah (ﷺ) Ki Sunnat Se Wo Amal Sabit Hai Tou Wo Baat Utni Hi Behtar Aur Haq Hai Jitna Ke RasoolAllah (ﷺ) Aur Ye Deen Hai Utna Hi Haq Hai.
*Aur Agar RasoolAllah Ki Sunnat me Wo Baat Nahi! Tou Fir Jaan Lijiye Ke Pura Mu’ashra Bhi Agar Wo Kaam Kare Wo Kabhi Kaam Durust Nahi Ho Sakta.
Kya Islam me Aksariyat aur Aqliyat ka Koi Taqaza hai ?
Aksar Jab Logon se Sawal Kiya Jata hai ke Falah Amal Jo Aap Karte ho Kya wo Kitabo Sunnat se Sabit Hai? tou Jawab me Hume Milta hai ke: Aksar Log tou ye Amal Karte hai. Itne Sare Log Galat Kaise Ho Sakte hai ? Lihaja Yakinan Yeh Amal Sahi Hoga.
Yaad Rakhiye Agar Ek Fard bhi Iss Duniya me Sacche Islam par Amal Kare tou Wo Haq Par Hai. Aksariyat Aur Aqaliyat Ka Islam me Koi Taqaza Nahi.
– Isliye Ke Jab Islam Duniya Me Aaya Sirf Ek Shaksh Ke Jehan me Wo Baat Thi Yaani RasoolAllah (ﷺ)! aur Puri Duniya Aapke Khilaf Khadi Thi.
– Majud, Yahud, Nassara Aur Mushrikan-e-Makka Tamam Ke Tamam Aap (ﷺ) Ko Ajnabiyat Se Dekh Rahe They! Ke Isney Kya Baat Layi Hai ? Yeh Tou Humare Khilaf Ja Raha Hai.
*Tou Ek Fard-e-Wahid Ke Jehan me Wo Cheez Hai Jisko Islam Hum Samjhtey Hai, Waha Se Wo Baat Nikalti Hai Agar Aqaliyat Aur Aksariyat Ka Taqaza Hota Tou Usi Wakt Islam Khatm Kar Dena Chahiye Tha Allah Ne,.. Isliye Ke Aksariyat Tou Puri Shirk me Mulawwis Thi …
Tou Shairyat me Koi Aksariyat aur Akliyat Ka Taqaza Nahi. Balki Shariyat Me Tou Yeh Hai Ke?: “Daleel Kis Cheez Ki Hai ?” Allah Ki Kitaab aur Uske Rasool (ﷺ) Ki Sunnat Se Sabit Hai Tou Bus Wo Baat Durust Hai ,..
Aur Agar Sabit Nahi Tou Uss Baat Ko Chorr Dijiye Allah Ke Liye.
To be Continued…