♥ Mafhoom-e-Hadees: Busrah Bint Safwan (RaziAllahu Anha) Se Riwayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Jo Shakhs Apni Sharmgah Ko Chu Le Usey Chahiye Ki Wo Wuzu Karey”.
– (Sunan Nasaii, Vol 1, 447 – Sahih)
» Ek Aur Riwayat Me Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai,
“Jo Shkash Apni Sharmgah Ko Chu Le Wo Shakhs Tab Tak Namaz Na Padhe Jab Tak Wuzu Na Kar Le”.
– (Sunan Nasaii, Vol 1, 448 – Sahih)
» Hazrate Aayesha (Razi Allahu Anha) Se Riwayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Gusl Karney Ke Baad Wudhu Nahi Farmatey They (Kyunki Gusl Karna Kafi Ho Jata Hai.)
– (Sunan Nasaii, Vol 1, 432 – Hasan)
» Note: Gusl Karney Ke Baad Wuzu Karna Lazim Nahi Magar Badan Ko Saaf Kartey Waqt Agar Haath Sharmgah Ko Chu Jaye To Phir Usey Wudhu Karna Behtar hoga
Related Posts: