Shabe Qadr kya hai? iski fazilate kya hai ? ye kab aati hai? isme kaisi ibadate kare? tafseeli jankari ke liye aayiye is mukhtsar se Audio bayan ka muta’ala kare,. jazakAllahu khairan kaseera,..
Jadu aur Iska Ilaj Qurano Sunnat ki Roshni me *RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) par Jadu aur Surah Falaq aur Surah Naas ke jariye ilaj ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Zaid bin Arkam (RaziAllahu Anhu) se rivayat hai: Ek Yahudi Shaks Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke pass aaya karta tha (Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Us se be Khauf rehtay ) Uss Shaks ne Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) par Jadu ki girhein (knot) laga ker Ek Ansari Ke Kunwey(well) Mein rakh dee,.. Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) iss Jadu ki wajah se Kuch din…
Ghussa aur Iska Ilaaj Aahadees ki Roshni me (Cures… Hadees of the Day Baat Baat par Gussa karne se bachey RasoolAllah (ﷺ) ne Apni Ummat ko Baat-Baat par Gussa Karne se manaa farmaya. chunanche Hadees Sharif me aata hai ke: Ek Aadmi RasoolAllah (ﷺ) ke Darbar me hazir hua aur Arz kiya ki "Aye Allah ke Rasool (ﷺ) ! Mujhe kisi Amal par Hukm Dijiye Magar bohot hi thoda ho." Tou Aap (ﷺ) ne irshaad farmaya 'Ghussa Mat Kar.' Usney kaha ki kuch aur irshaad farmaiye. tou Aap (ﷺ) ne…
Bheek Mangna Hadees ki roshni mein anjaam Bewajah logo se Bheek Mangna Hadees ki roshni mein jaaney. Hadees: Hazrate Abdullah ibn Masud (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya "jo shakhs maaldar honey ki halat me bhi sawaal kare (maange) tou wo Qayamat ke din iss tarah aayega ki uska mooh kharocha hua ya kata ya phata hoga." Sahaba ne pucha "insan kitne maal se maaldar kehlata hai?" Tou Aap (ﷺ) ne farmaya "50 dirham ya uski qeemat ka sona (rakhne wala)." 📕 Sunan Abu Dawud, Vol-1, Hadees 1613-Sahih…
Ramadan Day 24 | Shab-e-Qadr me Ibadat ki Fazilat... Ramadan Day 24 ✦ Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ❝ Jo Shakhs Shab-e-Qadr Imaan ke saath aur sirf Aakhirat ke sawab ke liye Zikr aur ...
Shab e Barat ki Ibadat : Shab e Barat ki Haqeeqat… Kya Shab e Barat Manana Quran wa Sunnat se Sabit hai? Shab e Barat ki Haqeeqat Shaban Maheene me 15th Shab ko "Shab e Barat" ke naam se yaad kiya jata hai. kuch log is Raat ke liye Shab-e-Qadr jaisi fazilate bayan karte hain. yeh Aqeeda rakha jata hai ke is Raat poore Saal me hone wale Waqkhyat ka faisla kiya jata hai. is raat infiradi wa ijtimayee ibadato ka Ahtmam kiya jata hai. Aatish baziya ki jati hain, Masjido…
♫ Kya Fateha padhna Sunnat se saabit hai ? Khane par Niaz Fatiha karna kaisa? kya iski Daleel Aahadees me milti hai? kya Qurano Sunnat me Niaz Fatiha ka koi tazkira aaya hai? Kya Niaz Fatiha Qurano Sunnat se sabit hai? Tafseeli jankari ke liye is Audio ko jarur sune aur isey jyada se jyada share karne me humara tawoon kare,.. jazakAllahu khairan kaseera
Sunnat Ki Ahmiyat : Part 11 Allah Raabul Izzat ne Ita-ate Rasool ke Talluk se Quraan-e-Kareem me farmaya: ۞ Al-Quraan ۞ "Jisney RasoolAllah (ﷺ) ki Ita’at ki bus Usney Allah ki Ita-at ki.” Surah An-Nisa 4:80 Wajahat: Iss Aayate Mubarak se yeh Baat Wajeh hoti hai ke , RasoolAllah (ﷺ) Ki Ita-at Goya Allah Ki Ita-at Hai aur RasoolAllah (ﷺ) Ki Farmabardari Goya Allah ki Farmabardari Hai ,.. Aayiye Jaan Letey Hai Ke RasoolAllah (ﷺ) Kya Shakhsiyat hai ? aur Aapki Zaat-e-Mubarak Kya Hai? Aapka Muqaam…
Taweez ki Haqeeqat - Qurano Sunnat ki roshni me Taweez ki Haqeeqat ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Taweez ka mas'ala thik waisa hai jaisa ke, kisi doctor ne kisi ko uske bimaari ki ilaz ke liye prescription par kuchh dawayi ka naam aur usko lene ka tareeka likh diya, aur woh uss tareeke ko chhor kar uss prescription ko hi gale me latka liya, aur ye samajh baitha ke aise hi Main sifa paa sakta hoo. Aaiye ab dekhte hai iske talluk se Shariyat kya kehti hai "(Aye Rasool!) Aap keh…
Sunnat Ki Ahmiyat : Part 10 Allah Rabbul Izzat Quraan me ek Jagah farmata hai: ۞ Al-Quraan ۞ "Aye Emaanwalo ! Ita’at Karo Allah ki aur Uskey Rasool ki, Aur Ita’at karo Unki Jo Ulool Amr hai (Isme Khalifa-e-Wakt aur Ulma Shamil hai), Lekin Agar Kisi Muamle me Ikhtelaaf ho Jaye tou Paltaado apni baato ko Allah aur uske Rasool ki taraf agar Allah aur Roze Aakhirat par Iman rakhte ho.” Surah Nisa 4:59 Aaj Kitni Baar Aisa Hua ke jis Baat me Humne Ikhtelaaf paya…
Mehman Nawazi ki Fazilat aur Sunnat Mehman Nawazi ki Fazilat aur Sunnat Uqba bin Aamir (R.A.) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Us shakhs me koi Khair (Bhalayee) nahi jo mehman nawazi nahi karta" 📕 Masnad Ahmed 7088 -Sahih Al-Silsila As-Sahiha - 193 ✦ Hadith: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jo shakhs Allah aur aakhirat ke din par yaqeen rakhta ho usko apne mehman ki izzat karni chahiye" 📕 Sahih Bukhari, Jild 7, Hadees 6135 ✦ Hadith: Abu Hurairah (R.A.) ka bayan hai, Nabi-e-kareem (ﷺ)…
Janaze ki Duayein | Janazah ki Dua Quran wa Sunnat… Mayyat ki ankhen band karte waqt ki dua ((اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِفُلاَنٍ (بِاسْمِهِ) وَارْفَعْ دَرَجَتَهُ فِي الْمَهْدِيِّينَ، وَاخْلُفْهُ فِي عَقِبِهِ فِي الْغَابِرِينَ، وَاغْفِرْ لَنَا وَلَهُ يَا رَبَّ الْعَالَمِينَ، وَافْسَحْ لَهُ فِي قَبْرِهِ، وَنَوِّرْ لَهُ فِيهِ)). (Allahummagh-fir li-name the dead- warfaAA darajatahu fil-mahdiyyeen, wakhlufhu fee AAaqibihi fil-ghabireen, waghfir lana walahu ya rabbal-AAalameen wafsah lahu fee qabrih, wanawwir lahu feeh.) Ae Allah! fulan (mayyat ka naam) shakhs ko maaf farma aur hidaayat yafta logon mein is ka darja buland farma aur is ke…
Sunnat Ki Ahmiyat : Part 6 Mohabbat Kisko Kahte hai ? Aayiye Ek Misal De Du Mohabbat Ki… Ke Mohabbat Kisi Cheez Ka Sirf Naam Nahi Mohabbat. Balki Mohabbat Ka Matlab Hota Hai Ita'at. Agar Mai Ye Kahu Aapse Ke Mai Apne Walidain Se Mohabbat Karta Hu! Tou Kya Tasawwur Karoge Aap Mere Baare Me ? - Shayad Unki Khidmat Karta Ho, Raato Me Uthkar Pair Dabata Ho, Kabhi Arey-Turey Na Kahta Ho, Uff Bhi Na Karta Ho. Yahi Saari Baate Khayal Karoge Na Aap Mere…
Sunnat Ki Ahmiyat : Part 8 Allah Hum se kab Mohabbat karega ? Aaj Hum Allah se Mohabbat ke liye Tarastey hai ke Allah Humse Mohabbat kare, Hum Uskey Mehboob Ban Jaye, tou Aayiye Dekhtey hai ke Allah se Mohabbat ka Tareeka kya hai ? Ke Allah Kab Hum se Mohabbat Karega? Allah Khud Quraan me Apne Bando se farmata hai: "Aye Nabi Kehdo In Ahle Kitaab se, (Mushrikane Makka se, Yahudiyon se, Nassaro se Jo Tamam Ke Tamam Allah se Mohabbat ka Dawa Karte hai)…
Sunnat ki Ahmiyat : Part 1 ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah ke Naam se shuru jo nihayat Maherbaan aur Rahem wala hai. is Series me hum “Sunnat ki Ahmiyat” ke taaluk se kuch aham tazkira karenge. Maksad yahi hai ke aaj mu'ashre me jis Deen par hum chal rahe hai wo kis hadd tak Kitabo Sunnat se sabit hai aur Sunnat-e-Rasool ko chorrne ka jo anjaam hum bhugat rahe hai Us'se apne aqidey ka muhasba karey. Ambiya (Alaihi Salam) ka bheje jaane ka Maqsad: Allah Rabbul Izzat…
Insani Jism me 360 Joints ka Saboot ! 1400 saalo se… ✦ Hadith : Ummahatul Momineen Ayesha (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: ❝Har Insan ki takhleeq me 360 Jod (Joints of Bones) banaye gaye hain, so jis ne Allahu Akbar kaha, Alhamdulillah kaha, La’ilaha Illa’llah kaha, SubhanAllah kaha, Astagfirullah kaha, Raaste se Patthar ya Kanta ya Haddi hata di, Acchi Baat ka Hukm diya yaa Buri Baat se roka tou ye Teen so Saath (360) jodon (Joints) ki ginti ke barabar (Shukr ada karne ki tarah) hai…