۞ Hadees: Hazrate Aayesha (RaziAllahu Anha) se riwayat hai ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya:“Shab-e-Qadr Ko Ramzan ke Aakhri Ashre ki Taaq Raato me Talaash karo.”
Aakhri Ashre Ki Taaq Raato se muraad 21, 23, 25, 27, 29 ye paanch raate hai aur Shabe Qadr inme se koi bhi raat ho sakti hai, lihaja bilkhusus ye pancho raate jaagkar hume Shabe Qadr ko talash karna hai yaani ibadat kar ke Apne Rab ko Raazi karna hai. Allah Ta’ala hume kehne sun’ne se jyada amal ki taufik de. ameen.
Tafseeli Jankari ke liye is Audio Bayan ka Muta’ala kare
♪ Shabe Qadr Ki Fazilat
[vc_wp_custommenu nav_menu=”30670″ el_class=”clean_m also_2clm”]