Nasihat karte raho, Nasihat Iman walo ko Fayda deti hai Nasihat karte raho, Nasihat Iman walo ko Fayda deti hai Allah Ta’ala Quran me farmata hai: “Nasihat Karte Raho, Beshak Nasihat Iman Walon ko fayda deti hai.” 📕 Al-Quran, 51:55
Acchi Tarah Wuzu se Gunaah Nikal Jaate hai Acchi Tarah Wuzu se Gunaah Nikal Jaate hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke - "Jo Shakhs Acchi Tarah Wuzu kare tou Uske Gunaah Badan se Nikal Jaate hai Yahan tak ki Naakhuno ke Neeche se bhi Nikal Jaate hai." 📕 Sahih Muslim, Hadees: 245
Duniya me is tarah raho, jaise koi ajnabi pardesi rehta hai Duniya me is tarah raho, jaise koi ajnabi pardesi Hadees: Abdullah bin Umar (R.A.) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Duniya me is tarah raho jaise koi ajnabi pardesi rehta hai ya is tarah zindagi guzaaro jaise koi raasta chalta huwa Musafir." 📕 Bukhari, Hadees: 6416
Allah Taala Bure khayalat muaf kar deta hai jabtak… Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Allah Taala ne Meri Ummat ko Bure Khayalaat ki Had tak Muaf kiya hai jab tak Us par Amal na kare ya Usey Zubaan se ada na kare." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 5269
Allah sabse behtar Rizq deta hai Allah sabse behtar Rizq deta hai Allah Ta'ala Quran me farmata hai: "Aur Allah sabse Behtar Rizq dene wala hai." 📕 Surah Al Juma 62:11
Paani Gataghat na piyo warna falah beemari hoti hai Paani Gataghat na piyo warna falah beemari hoti hai Hadees: Ibne Abi Husain (R.A.) se riwayat hai ke,Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: ❝ Tum Paani Choos kar piyo aur gataaghat naa piyo, is (gataaghat peene) ki wajah se jigar ki beemari hoti hai. 📕 Sunan Kubra Baihaqi, Hadees 15055
3 Tarah ke Logo par se Qalam Utha diya gaya hai 3 Tarah ke Logo par se Qalam Utha diya gaya hai Ummaha tul Momineen Aayesha (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya, "Teen(3) tarah ke logo par se qalam utha diya gaya hai (yaani unke gunah nahi likhe jatey), Ek tou sonewala jab tak ki jag na jayein, aur bachcha jab tak ki wo bada na ho jayein, aur pagal jab tak ki wo hosh me na aaye (yaani achchha na ho jayein)." 📕 Sunan an-Nasa'i, Jild 2,…
Jis Maut se Tum Bhaagte ho Woh Tum tak pahunch kar rahegi Jis Maut se Tum Bhaagte ho Woh Tum tak pahunch kar rahegi Allah Ta'ala Quran-e-Majid me farmata hai: “Jis Maut se Tum Bhaagte ho Woh to Tumhein Pahunch kar Rahegi,phir Tum Sab Chhupe khule ke Janne wale (Allah) ki taraf Lautaye jaoge aur Woh Tumhein Tumhare kiye hue Tamaam kaam bata dega.” 📕 Quran, 62:8
3 Tarah ke Log Jin Par Farishte ne Lanat ki aur Nabi… 3 Tarah ke Log Jin Par Farishte ne Lanat ki aur Nabi (ﷺ) ne Ameen Kaha Hadees: Ek Roz Aap (ﷺ) jab Mimber pe chadhe tou pahle kadam pe Aameen kaha, fir dusre Qadam pe bhi Aameen kaha aur teesre Qadam pe bhi Aameen kaha. Jab Sahaba (R.A) ne iski wajah puchi Tou fir Aap (ﷺ) ne irshad farmaya ki : 1. Pahle kadam pe Jibreel (Alaihi Salam) ne kaha ki: "lanat ho us shaks par jisne Ramzan ka mahina pa kar bhi Allah ki bakshish na pa saka." Phir…
Hadees: Bhalayi ka Rasta batlaane wala neki… Hadith: 30-June: Abdullah bin Abbas (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ❝ Bhalayi ka Rasta batlaane wala Neki karnewale ki tarah hai. 📕 Tirmidhi 2670
Sadqa Karo! Ek Aisa Zamana bhi Aayega jab koi Sadqa… Ek Aisa Zamana bhi Aayega jab koi Sadqa nahi lega Hadees: Haritha Bin Wahab (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki - "Sadqa Karo! Ek aisa Zamana bhi Tum par aane wala hai, Jab Ek Shakhs apne Maal ka Sadqa le kar Niklega aur koi Usey Qubool karney wala nahi payega. Jiskey paas Sadqa le kar jayega Wo ye Jawaab dega kiAgar Tum Kal Usey laye hotey tou Mai Qubool kar leta Aaj tou Mujhe uski Jaroorat…
Hadith: Jab tum me se koi paani piye tou bartan me… Hadith: 29-March: Abu Qatadah (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Jab tum me se koi paani piye to usey chahiye ke bartan me saans na le. -Bukhari 154
Jis me Fahash ho, woh us ko Aibdaar bana deti hai: Hadees Jis me Fahash ho, woh us ko Aibdaar bana deti hai Hadees: Anas (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: "Jis me Fahash (behoodah baate ya sakht kalaami) ho, woh us ko Aibdaar bana deti hai aur jis me Hayaa ho, woh us ko Khoobsoorat bana deti hai." 📕 Tirmizi, Hadees 1974
Allah Taala us Insan ki Doulat ko kum kar deta hai Allah Taala us Insan ki Doulat ko kum kar deta hai Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: ❝Jo Shakhs Maal wa Doulat badhaane ke Liye maangna shuru karta hai, to Allah Taala us ki Doulat ko us se bhi kum kar dega.❞ 📕 Musnade Ahmed, Hadees 9624
Ek Jumuah Mein Haziri se 10 Dino ke Gunahon ki Maafi Hadees of the Day | Jumuah Series Ek Jumuah Mein Haziri se 10 Dino ke Gunahon ki Maafi Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jisne Ghusl Kiya, Phir Jumuah ke Liye Hazir Hua, phir Uske Muqaddar mein Jitni (Nafil) Namaaz thi padhi, phir Khamoshi se (Khutbah) sunta raha, yahan tak ki Khateeb apne Khutbe se Faarigh ho gaya, phir Uske Sath Namaz padhi, to Uske us Jumuah se Lekar Ek aur Jumuah tak ke Gunah bakhsh diye Jaate hain. Aur…