Miqdam (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –
“Kisi Insan ne Uss Shakhs se Behtar Rozi nahi Khayee Jo Khud Apne Haathon se Kamakar Khata hai, Allah ke Nabi Dawood (Alaihay Salam) bhi Apne Haatho se Kaam karke Rozi khaya karte they.”
Sabse Behtar Amal (Neki) Jo Humesha kiya Jaye Sabse Behtar Amal (Neki) Jo Humesha kiya Jaye Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: "Beshaq Allah Taala ke Nazdeeq Sabse Behtareen Amal (Neki) wo hai jo humesha kiya jaye chahe wo kum hi kyun na ho." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 6464
Allah sabse behtar Rizq deta hai Allah sabse behtar Rizq deta hai Allah Ta'ala Quran me farmata hai: "Aur Allah sabse Behtar Rizq dene wala hai." 📕 Surah Al Juma 62:11
Har Shakhs Khataa karne wala hai, Lekin Behtar… Har Shakhs Khataa karne wala hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne Irshad farmaya : "Har Shakhs Khataa karne wala hai aur Behtar Khata karne wala woh hai Jo Taubah kar le." 📕 Tirmidhi, Hadees 389 Allah ke Rasool (ﷺ) ne Irshad farmaya : "Uss Shakhs ke liye Khushkhabri hai Jo Apne Naam-e-Amaal me bohot Ziyada Astaghfar paaye." 📕 Ibn-e-Majah, Hadees 3818
Hadees: Rozi talaash karne mein halaal aur paakeeza… Rozi talaash karne mein halaal aur paakeeza tareeqa ikhtiyaar karo Hadees: Abdullah bin Masood (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Tum Allah se daro aur rozi talaash karne mein halaal aur paakeeza tareeqa ikhtiyaar karo aur rozi milne mein kuchh der ho jaana tumhein haraam tareeqa ikhtiyaar karne par majboor na kar de." 📕 Shoebul Imaan, Hadees : 10376
Tumhaare Kamzoron ki wajah se hi tum ko Rozi di jaati hai Tumhaare Kamzoron ki wajah se hi tum ko Rozi di jaati hai ۞ Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) farmate Hai: “Tumhaare Kamzoron ki wajah se hi tum ko Rozi di jaati hai aur tumhaari madad ki jaati hai.” 📕 Sahih al-Bukhari 2896
Halal Cheezo me Allah ko Sabse Napasandida Cheez Talaaq hai Halal Cheezo me Allah ko Sabse Napasandida Cheez Talaaq hai Abdullah bin Umar (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Karim (ﷺ) Ne Faramaya, "Saari Halaal Cheezo Me Allah Ta'ala ke Nazdiq Sabse Napasandida Cheez Talaaq (Divorce) Hai." 📕 Sunan Ibn Majah, Hadees 2096
Pabandi se Namaz ada karne ki Fazilat aur Ahmiyat RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jo Shakhs Namaz Pabandi se ada karega tou Yeh Uss ke liye Qayamat ke din Noor hogi, (Iskey Imaan aur Allah se iski wafadari ki) daleel hogi, aur (Jahannum se) Nijaat ka sabab ban jayegi." "Aur Jo Shakhs Namaz ki Pabandi nahi karega tou Namaz Uss ke liye Roshni, Daleel aur Nijaat ka sabab nahi banegi aur woh Qayamat ke din Qaroon, Hamaan aur Obai bin Khalaf ke saath hoga." 📕 Ahmed: Hadees 6576
Khana khane ke Adab | RasoolAllah (ﷺ) ne kabhi… Hadees: Hazrat Abu Hurairah (R.A) farmate hain: "Allah ke Rasool (ﷺ) ne kabhi bhi Kisi Khane mein Aib nahi Lagaya, Jab Aapko Pasand Aata tou Kha Lete nahi tou Chhor dete." 📕 Tirmizi, Hadees: 2031 Sahih
Khwaab mein Aisi Cheez ko Dekhne ka Daawa Sabse… Sabse Badtareen Jhoot hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Sabse Badtareen Jhoot Yeh hai ki Insaan Khwaab mein Aisi Cheez ko Dekhne ka Daawa kare Jo Uski Aankhon ne na Dekhi Ho." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 7043
Sabse accha Musalman koun hai ✦ Hadees: Sabse Acche Musalman ki pehchan Abu Musa (R.A) se riwayat hai ke, Kuch Sahaba ne poocha ya RasoolAllah (ﷺ) ! koun sa Islam afzal hai? (Yaani sabse acha Musalman koun hai) Tou Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Woh Musalman Jis ke Zubaan aur Haath se Dusre Musalman Mehfuz ho." 📕 Sahih Bukhari: 11 ✦ हिंदी हदिस : सबसे अच्छे मुसलमान की पेहचान अबू मूसा (र.अ) से रिवायत है के, कुछ सहाबा ने पूछा, या रसूल अल्लाह ﷺ ! कौन सा…
Namaz-e-Asar ki Ahmiyat: Jiski Namaz Asar Qaza Ho Gayee Uska Jiski Namaz Asar Qaza Ho Gayee Uska Hadees: Abdullah Bin Umar (R.A) se riwayat hai ki - RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jiski Namaz-e-Asar Qaza ho Gayee (Yaani nahi padi Uski Misaal aisi hai ke) Uska Ghar aur Maal Sab Loot gaya." 📕 Sahih Bukhari, Namaz Ke Waqton Ka Bayan: Hadees 553
Al-Quran: Duniyawi Zindagi me unki rozi Allah ne hi… Duniyawi Zindagi me unki rozi Allah ne hi taqseem kar rakhi hai Allah Rabbul Izzat Qurane Majid me farmata hai: "Duniyawi Zindagi me unki rozi hum (yaani Allah) ne hi taqseem kar rakhi hai aur ek dusre par martabe ke aitbar se fazeelat de rakhi hai, taaki ek dusre se kaam leta rahe." 📕 Surah Az-Zukhruf 43:32
Khana Khane ka Sunnat Tarika ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Deen-e-Islam ek mukammal deen hai, yah dunia aur aakhirat ke tamam shobo ke humari rehnumayi farmata hai, usi tarah humare Khane Pine ke muamle me bhi hume adab aur salika sikhata hai. is post me hum Khana Khane ki Dua, Khane ke Adab aur Ahtraam wa Sunnat ka tazkira kar rahe hai. Aap tamam hazrat se iltija hai ke isey padhe aur jitna ho sake share kar Sawab hasil kare. Khana khane ke Adab wa Sunnat 1.…
Jo Apni Rozi me kushadgi chahta ho wo Sila Rehmi Kare ♥ Mafhoom-e-Hadees: Anas bin Malik (RaziAllahu Anhu) se Riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, "Jo Shaksh apni Rozi mein kushadgi chahta ho ya Umar darazi chahta ho to usey chahiye ki Sila Rehmi(keep good relations with his relatives) karey" - (Sahih Bukhari, 2067) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: अनस बिन मलीक (रज़ीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, नबी-ऐ-करीम (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया, "जो शख्स अपनी रोज़ी में कुशादगी चाहता हो या उम्र दराजी चाहता हो तो उसे चाहिए के सिला…