Hadith: Jisne kisi ko bhalayi ka rasta dikhaya to us… Hadith: 8-April: Abu Masood Ansari (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Jisne kisi ko bhalayi ka rasta dikhaya to us shakhs ko bhi amal karne wale ki tarah sawab milega. -Abu Dawood 5129
Islam me Behtareen Amal kya hai? Islam me Behtareen Amal kya hai ? ۞ Hadees: Abdullah Bin Amr (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "(Islam me Behtareen Cheez yeh hai ke) Tum Logo ko Khana Khilao aur Jaan-Pehchan wale aur Gair Jaan pehchan wale har Ek se Salaam karo." 📕 Sahih al-Bukhari 6236 ---- हिंदी --- ۞ हदिस: अब्दुल्लाह बिन अम्र (र.अ.) से रिवायत है के, रसूलअल्लाह (ﷺ) ने फ़रमाया: "(इस्लाम में बेहतरीन चीज यह है के) तुम लोगो को खाना ख़िलाओ और…
Koun se Amal Hume Jannat Le Jayenge? Jannat me le jaane wale Amaal Hadees: Abu Ayyub Ansari (R.A) ne bayaan kiya ki,Ya RasoolAllah (ﷺ) ! Koi Aisa Amal Bataiye jo Mujhe Jannat me le Jaaye ? Aap (ﷺ) ne Unn se farmaya - "Allah Ki Hee Ibadat Karo! aur Uss ke Sath Kisi aur ko Shareek Na karo, Namaz Qayam karo, Zakaat detey raho, aur Sila Rehmi karte raho" Bas Yahi Amaal Tujhe Jannat me le Jayenge.." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 5983
Jab Banda koi Nek Amal pabandi se karta rehta hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Musa (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, wo kehte hain maine Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ko ek ya do baar hi nahi balke mutaddad baar ye kehte huye suna Ke: "Jab banda koi Nek Amal (pabandi se) kar raha ho, phir koi Bimari ya safar usey mashgool kar de jis ki wajha se usey wo na kar sake, to bhi uske liye itna hi sawab likha jata hai jitna ke uske tandrust aur muqeem hone ki soorat…
Islamic Quiz 366: Rasool-Allah Sallallahu Allaihi… Islamic Quiz 366 Islamic Quiz 365 : Rasool-Allah Sallallahu Allaihi Wasallam ne kisko sab se buri cheez (Shar-rul-umoor) btaya hai? A. Apne padosi ko satana sabse bura hai B. Zina karna sabse bura hai C. Qabro ko pukhta karna sabse bura hai D. (Deen mein) naye kaam paida karna sabse bura hai GET ANSWER Sahih jawab hai : Option ( D ) ✅ (Deen mein) naye kaam paida karna Daleel : ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu…
Jo Allah par bharosa kare toh Allah uske liye kaafi hai ♥ Bismillahi-r-Rahmani-r-Rahim ♥ 📖 Roman Urdu "Jo Allah par bharosa kare to Allah uske liye Kaafi Hai"📕 Al-Quran: 65:03 📖 हिंदी अनुवाद "जो अल्लाह पर भरोसा करे तो अल्लाह उसके लिए काफ़ी है"📕 कुरान: 65:03 📖 मराठी अनुवाद "जर कोणी अल्लाहवर विश्वास ठेवतो तर त्याच्यासाठी अल्लाह पुरेसा आहे"📕 कुरान: 65:03 📖 English Translation "If anyone puts his trust in Allah, sufficient is (Allah) for him."📕 Quran: 65:03 👉 Lesson / Paighaam:Har mushkil me Allah par bharosa rakhna hi sabse bada…
Insan me paayi jaane waali sab se buri Aadatein Hadees: RasoolAllah (ﷺ) farmate hai, “Insan me paayi jaane waali sab se buri Aadatein intihaai darje ka Laalach aur Buzdili hai.” 📕 Abu Dawud, Hadees 2511
Allah Taala Bure khayalat muaf kar deta hai jabtak… Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Allah Taala ne Meri Ummat ko Bure Khayalaat ki Had tak Muaf kiya hai jab tak Us par Amal na kare ya Usey Zubaan se ada na kare." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 5269
Sab Rozo me Afzal Ramzan ke Baad Muharram ke Roze ki Fazilat Muharram ke Roze ki Fazilat Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya "Sab Rozo me Afzal Ramzan ke baad Muharram ke Roze hain, Jo Allah ka Mahina hai aur Baad Namaz-e-Farz ke Tahajjud ki Namaz hai." 📕 Sahih Muslim, Vol-3, 2755 Dekhe: Muharram / Ashure Ka Roza aur Uski Fazilat Ramzan ke baad sabse ziyada fazilat wale Roze Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, Ek Sahaabi RasoolAllah (ﷺ) ki khidmat me hazir hokar Arz karney…
Kaamil imaan waale woh log hain jin ke Akhlaaq sab… Kaamil imaan waale woh log hain jin ke Akhlaaq sab se acchhe hain Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Kaamil imaan waale woh log hain, jin ke akhlaaq sab se achchhe hain aur tum mein sab se achchhe woh log hain, jo apni biwiyon ke saath achchha bartaao karte hain." 📕 Jami` at-Tirmidhi, Hadees 1162
Hadith: Allah Taala ke Nazdeek sab se ziyada… Hadith: 6-April: Anas (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Allah Taala ke Nazdeek sab se ziyada pasandida shakhs woh hai jo us ki ayaal (makhlooq) ko ziyada nafa pohchaye. -Shoaib Ul Iman 7445
Sab se Behtar Banda koun? Dil mein Bughz rakhna kaisa hai Hadees Hadees-e-Nabwi ﷺ Abdullah bin ‘Amr (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya; "Logo me sab se Behtar wo hai jo Paak aur Saaf Dil wala ho aur Sacchi Zubaan wala ho, Paak-Saaf Dil wala woh Parhezgaar insan hai Jiske Dil me koi Gunaah, Zulm-o-Zyaadati, Jalan aur Hasad aur Nafrat na ho." 📕 Ibne Majah, Hadees 4216
Achchi Baaton ka Hukm do magar khud bhi Amal karo ♥ Mafhoom-e-Hadees (Roman Urdu) Usama Bin Zaid (R.A) se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: *"Qayamat ke din ek shakhs laya jayega aur usay Jahannum me dala jayega. Uske pait ki aantain (intestines) bahar nikal aayengi, aur wo gadhe ki tarah chakki ghoomne wala chakker lagayega. Jahannum wale uske paas aakar kahenge: ‘Aye falan! Kya tum logon ko nek amal ka hukm nahi karte they aur burai se nahi rokte the?’ Wo jawab dega: ‘Main zaroor hukm deta…
Dour-e-Jahalat Ke Nek Amal Ka Bhi Badla Milega ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hakeem Bin Hizaam (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Unhone Bayan Kiya Ki Maine Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Puchha: *Aye Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Unn Nek Kaamon Ke Baarey Me Kya Hoga Jinhe Maine Kufr Ki Haalat Me(Imaan Laaney Se Pehle) Kiya Tha ? Jaise Ki: Maine Sadqa-Khairaat Kiya Hai, Gulaam Bhi Aazaad Kiya Hai, Logon Ke Saath Nek Bartaao Bhi Kiya Hai,.. Tou Kya Kufr Ki Haalat Mein Kiye Huye In Nek Kaamon…