♥ Mafhoom-e-Hadees: Tabrani wa Hakim ne Ibne Umar (RaziAllahu Anhu) se riwayat ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya –
“Riyaa ka Adna martaba bhi Shirk hai aur tamam Bando me Allah ke Nazdik woh zyada Mehboob hai Jo parhezgar hai jo chupey huye hai. Agar wah gayab ho tou Unhey koi talaash na karey aur Gawahii de tou pehchane na jaye wah log hidayat ke imam aur Ilm ke charag hai.”
Achchi Baaton ka Hukm do magar khud bhi Amal karo ♥ Mafhoom-e-Hadees (Roman Urdu) Usama Bin Zaid (R.A) se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: *"Qayamat ke din ek shakhs laya jayega aur usay Jahannum me dala jayega. Uske pait ki aantain (intestines) bahar nikal aayengi, aur wo gadhe ki tarah chakki ghoomne wala chakker lagayega. Jahannum wale uske paas aakar kahenge: ‘Aye falan! Kya tum logon ko nek amal ka hukm nahi karte they aur burai se nahi rokte the?’ Wo jawab dega: ‘Main zaroor hukm deta…
Kisi bhi Musalman Bhai ki taraf Hathiyar se Ishara na kare Kisi bhi Musalman Bhai ki taraf Hathiyar se Ishara na kare Abu Huraira (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Koi Shakhs apne kisi deeni bhai ki taraf hathiyar se ishara na karey kyunki wo nahi janta mumkin hai ke Shaitan uskey haath se chura de aur phir wo kisi Musalman ko maar kar uski wajah se jahannum ke Ghaddey me gir jaye." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 7072
Shirk Karne Wale Khud Apne Anjam Ke Jimmedar Hongey Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ke: Allah Subhanahu Ta'ala farmata hai, "Mai beparwah hun Sharikon se! jisney koi aisa Amal kiya jis me mere saath mere Gair ko Shareek kiya tou Mai usko aur uskey Shirk ke Kaam ko (Unkey haal par) Chorh deta hun." 📕 Sunan Ibn Majah, Hadees 4342-Sahih by Darussalam
Baap (Waalid Sahab) Ka Martaba Aap sabhi ne maa ki shaan me bohot hi azeem baate suni hongi lekin baap (waalid) ke baarey me shayad zyada baatey aam nahi. Islam me Baap ka Martaba ∗ Baap ka Ehtiraam karo taake tumhari Aulad tumhara ehtram kare. ∗ Baap ki izzat karo taake iss se faida utha sako. ∗ Baap ka hukm mano taake khush haal reh sako. ∗ Baap ki sakhti bardash karo taake kaabil ban sako. ∗ Baap ki baate gour se suno take dusro…
Har Gunaaho ki Magfirat Allah ki taraf se! bashartey… Hadees: Anas-bin-Malik (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ke: Allah Subhanahu Wa’tala farmata hain:“Aye Aadam ke Bete! Jab tak tu mujhe pukarta rahega aur mujh hi se Ummiden wabasta rakhega Main tujhe Muaf karta rahunga chahe tere Aamal jaise bhi hon. aur Main (tujhe bakhshte hue) parwah tak naa karunga. Aye Aadam ke Bete! Agar tere Gunaah aasman ki bulandiyon tak bhi pahoch jayen aur tu Mujh se Muafi mange tou Main tujhe muaf kar dunga aur…
Shirk ke baad Sabse Bada Gunaah Maa-Baap ko bura bhala kehna Shirk ke baad Sabse Bada GunaahMaa-Baap ko Bura bhala kehna Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "(Shirk ke baad) Sabse Bada Gunaah ye hai ke aadmi apne Maa Baap ko bura bhala kahe." 📕 Muslim, Hadees 263
Manfaat Ek hai is Qaum ki, Nuksaan bhi Ek : Dr. Allama Iqbal नफा एक है इस कौम का नुकसान भी एक सीरिया, बर्मा, पलेस्थिन और दुनीया के किसी भी कोने में कोई मुसलमान क़त्ल कर दिया जाता है तो कोई नहीं पूछता के वो किस फिरके का था, बरेलवी था, अहले हदीस या देओबंदी था। मसलक क्या था उसका ? कही फलाह और फलाह का मुरीद तो नहीं था? बल्कि सबने रोकर उनकी तकलीफ का इजहार किया। इसी तरह कोई मुसलमान साइंस में कोई महारत हासिल कर ले तो सबको ख़ुशी होती…
Tawheed aur Shirk (Part 3) ✦ abu talib, abu lehab aur abu jehal ka hashr 1. Abu Talib: Aap wo Shakhssiyat hai jo kisi taruf ki mohtaz nahi. har seerat ka talibe ilm Abu Talib ke talluk se jaanta hai. yeh Rasoolallah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke Chachaon me se ek chacha they, aur yeh wo chacha hai jo imaan nahi laaye lekin Aap (ﷺ) ki har kism ki mumkin madad ki, maal se madad ki, apna jo asar aur rusooq tha uss se RasoolAllah (ﷺ)…
Jis Seene me kuch bhi Quraan na ho wo Wiraan Ghar ki… Wiraan Ghar ki Misaal Hadees: Ibne Abbas (R.A) se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jis Seene me kuch bhi Quraan majeed na ho, Wo wiraan ghar ki misaal hai." 📚 Tirmizi J:4 S:419, Hadees:2922
Momin Ki Hurmat Kaabe Se Bhi Badhkar .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Muslim blood more sacred than the Ka`ba Musharrafa" *Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Kaaba-e-Mouzzama Se Muqhaatib Ho Ke Farmaya: "Momin Ki Hurmat Tujh Se Jyada Hain. " - (Tabarani: Chapter-'Ikramul Muslimeen') *Isi Aahadeese Mubarak Ke Tehat Likhney Walo Ne Bada Behtareen Qaul Likha Ke - "Chahe Kaaba Dha Do Lekin Kisi Momin Ka Dil Mat Todo ,.." .. Kyunki Kaaba Tou Ek Kibla Hai,.. Agar Ek Baar Dha Diya Jaaye Tou Dubara Ban Bhi Jayega!! *Yakinan…
Seerate Hazrat Abu Bakr Siddiq (R.A) ki Zindagi aur Martaba https://www.youtube.com/watch?v=lfLJw5wXrXY Hazrat Abu Bakr Siddique (R.A) ki Zindagi ✦ Laqab (Honorific Title): Siddeeqe Akbar, Gaare Yaare Nabi, Afzalun Naas Ba’adal Ambiya, Saani Isnain, Khalifatul-Rasool, Ateeq. ✦ Wiladat (Birth) : Aapki Wiladat 573 C.A. me Makka me hui. Waalid ka naam Usman Abu Quhafa ibn Amir aur Waalida ka naam Salma bint Sakhar (Ummul Khair) hai. Aap Quraish ke Banu Taym Kabeele se ta’aaluq rakhte hain. Aap ka Asal naam Abdullah hai. ✦ Deen ki Daawat: Aapki Daawat aur mashware se…
Purey yakin se Allah se Dua mange kyunki Allah ke… Purey yakin se Allah se Dua mange Hadees: Abu Huraira (R.A) ne kaha ki, RasoolAllah (ﷺ) ne Irshaad farmaya: "Jab tum me se koi Dua kare tou yeh na kahe ki 'Ya Allah mujhe bakhsh de agar tu chahe tou, mujh par reham farma, agar tu chahe tou mujhe rizq de,' balki yakin ke sath Dua kare Kyuki Allah Ta’ala jo chahata hai karta hai aur koi uss par zabardasti karne wala nahi hai." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees: 6339
Allah Subhanahu farmata hai 'agar tumne Shirk nahi… Allah Subhanahu farmata hai 'agar tumne Shirk nahi kiya to Main Zameen bhar Magfirat lekar tumse miluga' ۞ Hadees-e-Qudsi: Abu Dhar (R.A.) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki: 'Allah Subhanahu farmata hai - "Neki (ka ajar) 10 guna hai ya main ziyada bhi kar sakta hu, aur Gunah ek hi hai ya mein usko bhi bakhash dun, agar tum Zameen bhar ke Gunah lekar Mujh se is haal mein milo ke tumne Shirk nahi kiya ho tou…
Momin Apne Acchey Akhlaq Ki Wajah Se Bada Martaba Pa… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Farmaya: “Momin Apne Acchey Akhlaq Ki Wajah Se Unn Logon Jaisa Martaba Paa Leta Hai Jo Raaton Ko Ibadat Karte Hai Aur Din Ko Roze Rakhte Hai.” - (Sahih Mustadrak Haakim, 198) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: अल्लाह के रसूल (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया: “मोमिन अपने अच्छे अखलाख की वजह से उन लोगो जैसा मर्तबा पा लेता है जो रातों को इबादत करते है और दिन को रोज़े रखते है.” - (सही मुस्तदरक हाकिम, 198)…
Shirk Sabse Bada Zulm hai Shirk Sabse Bada Zulm hai ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ “Luqman (A.s.) ne apney betey ko Naseehat karte hue kaha ke beta Allah ke saath kisi ko Shareek Naa karna, Shirk tou bada Zulme Azeem hai." 📕 Surah Luqman 31:13 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰 Is Aayat se pata chalta hai ke: Shirk sabse bada Zulm hai jo banda khud apne upar karta hai Allah ki Zaat me Kisi ko shareek kar ke. Allah Ta'ala hume Mouheed (Tawheed parast) banaye, aur har tarah ke shirk se…