Insaf Sab ke liye barabar : Hadees
Mafhum-e-Hadees: Ummaha-Tul-Momeenin Aayesha (R.A) se riwayat hai ki,
Usama (R.A) ne RasoolAllah (ﷺ) se Ek Aurat ki Muafi ki Sifarish ki (Jisne Chori ki thi aur Uska Naam Fatima tha) tou Aap (ﷺ) ne farmaya ki –
“Tum se Pahle ke Log Isliye Halaaq ho gaye ki wo Kamzoro par tou Hadd (Saza) Qayam karte they aur Buland Martaba Logo ko Chorr detey they.
Uss Zaat ki Qasam Jiske Haath me meri Jaan hai!
Agar (meri beti) Fatima (R.A) ne bhi Chori ki hoti tou Mai Uska bhi Haath kaat deta”.
– Sahih Bukhari, Vol 8, 6787 (Urdu Reference)
– Sahih Bukhari Vol 4, Book 056, Hadith no. 681 (English Reference)
Sabaq: Iss Hadeese Mubarak se bhi Malum hota hai ke RasoolAllah (ﷺ) ka Insaaf har Shakhs ke liye barabar hai, Phir Chahe Gunaah kisi Ameer ya Buland Martaba ke Logon ne kiya ho ya Phir kisi Kamzor ne kiya ho. Pyare Aaqa ﷺ kis ke sath bhi NaInsafi pasand nahi karte. Balki Har ek ke liye Wohi faisla sunatey jo Uss Jurm par Mukarar kiye hue tha .
Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish
Subscribe to get the latest posts sent to your email.