Al-Quran: Logon ke saath Neki karo, beshaq Allah… Quran: 18-June: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ‟(Logon ke Saath) Neki ikhtiyar karo, Beshaq Allah Neki karnewalo se Mohabbat karta hai.' 📕 Surah Baqrah 2:195
Hadees: Tum Qayamat ke din apne aur apne baap ke… Qayamat ke din apne aur apne baap ke naam se pukaare jaoge Abu Darda (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Tum Qayamat ke din apne aur apne baap ke naam se pukaare jaoge, isiliye acche naam rakha karo." 📕 Abu Dawood, Hadees 4948
Jo Shakhs Allah ke Zikr se airaz karega ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Rabbul Izzat Quran me farmata hai – "Jo Shakhs Apney Rab ke Zikr se Airaaz Karega Allah Usey Shadeed Tareen Azaab me Mubtela Karega.” 📕 Surah Jinn: Ayat 17 Ek aur Aayat me Allah Rabbul Izzat ne farmaya –"Jab mera Banda Mere Ziqr se Airaaj karta hai tou hum Uske Upar Ek Shaitan Musallat karte hai aur Wo Uska Humesha ka Saathi Marne tak ban Jata hai, aur Wo Usko Humare (Yaani Allah) ke Rastey se…
Behtreen Din Jumma ka Din hai Hadees of the Day | Jumma Series Behtreen Din Jumma ka Din hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Behtreen Din Jis par Sooraj Tuloo hota hai, Jumuah ka Din hai." 📕 Sahih Muslim: 854 (1976)
Ramadan Day 6 : Rozedar ke liye Roza aur Quraan… 06th Ramzan ۞ Hadees: Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi wasallam) ne farmaya:❝ Qayamat ke din Roza aur Qur’an sifarish karenge uspe amal karnewale ke haq me. ❞📚 Musnad Aḥmad 6589
Sureh Kafirun padha karo, Yeh Shirk se aazadi hai Sureh Kafirun padha karo, Yeh Shirk se aazadi hai Hadees-e-Nabwi ﷺ ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Farwah bin Nofal (R.A) se mairvi hai,Unhone Nabi-e-Kareem (ﷺ) ki khidmat me hazir ho kar arz kiya, "Ya RasoolAllah (ﷺ) ! Mujhe koi aisi cheez bataayen jisey Mai bistar par jatey waqt padha karu.' Tou Rasool'Allah ne farmaya "Sureh Kafirun padha karo, Yeh Shirk se aazadi hai." 📕 Sunan Tarimzi, Jild-5, Pg-257, Hadees. 3414
Gadhe, Kutte aur Murghe ki aawaaz sun kar yeh dua kare Gadhe ki aawaaz aur kutte ki bhonk sun kar yeh Dua kare أَعُوذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ 〘 Auzu Billahi Minash Shaitanir Rajim 〙 (Allah ki Panah Mangta/Mangti hu Shaitan Mardud ke Sharr se) 📕 Sahih Bukhari:6115 📕 Sahih Muslim:2610 Raat me Kutte bhonkte waqt ki dua ۞ Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Jab tum raat ko Kutte ke bhonkne aur Gadhhe ke henkne ki aawaaz suno to us'se Allah ki panaah talab karo kyun ke woh aisi cheez ko…
Jis Shakhs ke paas koi ilm mehfuz go aur wo usey… 📖 Hadith (Roman Urdu) Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: "Jis shakhs ke paas koi ilm ho aur wo use chhupaye, to Qayamat ke din usay dozakh ki aag ki lagaam pehnayi jayegi." 📕 Sunan Ibn Majah: Arabic 272 | English 261 ✦ English Hadith It was narrated from Abu Hurairah (R.A) that the Prophet ﷺ said: "Whoever has knowledge and conceals it, will be brought on the Day of Resurrection bridled with reins…
Jab Kapda Pehno Ya Wuzu karo tou apne Daahine se Shuru karo ۞ Hadees: Abu Huraira (R.A) se riwayat hai ki, Unhone kaha ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki : "Jab Kapda Pehno Ya Wuzu karo tou apne Daahine se Shuru karo." 📕 Sunan Abi Dawud, Hadees 4141
Hadees: Allah ke Hukm ki hifazat karo, Allah tumhari… Allah ke Hukm ki hifazat karo, Allah tumhari hifazat karega Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Tum Allah Taala ke Hukm ki hifazat karo, Allah Taala tumhari hifazat karega." 📕 Tirmizi, Hadees 2516
Al-Quran: Naapo to pura naapo aur tolne ke liye sahi… Naapo to pura naapo aur tolne ke liye sahi tarazu istemal karo ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Rabbul Izzat Quran me farmata hai: ‟Jab kisi ko koi cheez naap kar do tou pura naapo aur tolne ke liye saheeh tarazu istemaal karo." 📕 Surah Bani Israil 17:35
Al-Quran: Udhaar lo to likh liya karo Udhaar lo to likh liya karo Allah Rabbul Izzat Quran me farmata hai: "Aye Imaanwalo ! Jab tum kisi mutayyan muddat ke liye udhar ka koi muamla karo to usey likh liya karo." 📕 Surah Baqraah 2:282
Jo mere Hidayat ki pairvi karega Wo Kabhi Gumrah nahi hoga Jo mere Hidayat ki pairvi karega Wo Kabhi Gumrah nahi hoga Allah Rabbul Izzat Quran-e-Kareem me farmata hai: “Jo mere Hidayat ki pairvi karega Wo Kabhi Gumrah nahi hoga.“ 📕 Al Quran; Surah Taha; 20:123 Allah Ta'ala hume Amal ki Taufik Dey,.aur har kism ki Gumrahi se bachaye,.. Ameen
Buzurgo ke tazeem ki Fazilat : Jo jawaan Aadmi kisi… ۞ Hadees: Anas bin Malik (R.A) se riwayat hai ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Jo Jawaan Aadmi kisi Budhe(Buzurg) ki Tazeem iss ke Budhape ki bina per karega tou Allah Ta'ala iss ke Budhaape ke waqt kuch aise logo ko tayyar farma dega, jo budhape me iss ka Aa’ziz wa Akraam karenge." 📚 Mishkaat Jild 2, Safa 1423 Sah Al’mutabeh